Sad Shayari
- Meri tasveer main rang aur kisi ka to nahi,
Gher len mujhko sab aake main tamasha to nahi.
Zindagi tujhse har ik saans pe samajhuta karun,
Shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi.
Rooh ko dard mila dard ko ankhen na mili,
Tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi.
Sochte sochte dil dubne lagta hai mera,
Zahan ki tah main ‘Muzaffar’ koi dariya to nahi.
Zakhm-e-tanhai mein khushbu-e-hina kis ki thi,
Saya deewar pe mera tha sada kis ki thi.
Uski raftar se lipti rahi meri ankhen,
Us ne mar kar bhi na dekha ke wafa kis ki thi.
Waqt ki tarah dabe paon ye kaun aya hai,
Main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi.
Ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera,
Hath to maine uthaye the dua kis ki thi.
Meri ahon ki zaban koi samajhta kaise,
Zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi.
Ag se dosti us ki thi jala ghar mera,
Dee gayee kis ko saza aur khata kis ki thi.
Maine binaiyan bo kar bhi andhere kate,
Kis ke bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi.
Chhod di kis liye tu ne “Muzaffar” duniya,
Justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi.