Aansu jab bhi palko se beh kar aate hai,
Kyaa batlaaye, aap hume kitnaa yaad aate hai….
Aaj bhi patthar bankar khade hai usee mod par,
Tumne jahaa chodaa thaa keh kar, ruko hum aate hai…
Yaad hai ab bhi hume, tere bichadne ka samaa,
Ruk gaye they ek pal ko ye zameen-o-aasma,
Raasto se mit na paaye, tere kadmo ke nisha,
Aaj bhi hum raaho pe palko ko bichaate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Meri aankho me nami zulfo ki barsaato ki hai,
Meri saanso me mehak guzri hui raato ki hai,
Mere hoto pe chamak, ab bhi teri baato ki hai,
Jitnaa unko bhulaana chaahe, aur bhi yaad aate hai
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….
Tu nahi to kyaa huaa, parchaai teri mil gayi,
Dil ke viraane me jaise ek kali si khil gayi,
Raasteki dhoop jaise chandni me dhal gayi,
Tere aanchal ke saaye baadal banke lehraate hai,
Kyaa batlaaye aap hume kitnaa yaad aate hai….