Sad Shayari
- Ab bhi jab unki gali se guzara karte hai,
Unke ghar pe jaane kyun nazar karte hai.
Aankhon main dil main bhare hain saraab,
Par hum kahan kissi ko iski khabar karte hai.
Woh to khush naseebi ke din the jo guzar gaye,
Ab kahan woh rukh apna idhar karte hai.
Daste hain nagin ki tarah ye alfaz-e-ruswaae,
Kya bataien ke hum kaise guzar basar karte hai.
Uff khaamoshi har jagan dil ko daratti hai,
Chalo is sanate main hi teh ye rahguzar karte hai.
Dard to ye barta hi rahega iska koi ilaaj nahin,
Nashtar le kar bhi hum kaanton pe safar karte hai.
Muhsin kya baat hai aap ki ghazal ki bhi,
Seedha dil pe aake aap asar karte hai.