FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from JAANAM

Read available JAANAM lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aawaara Aawaara

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Aawaara Aawaara

(Aawaara kehta tha mujhe yeh jahaa Jis din se paaya jaanam tujhe meherbaan) - 2 Aabaad hone lagi sooni si yeh zindagi Karne laga pyaar main, karne laga aashiqui Mere dil ne pukaara, aawaara aawaara aawaara Aawaara kehta tha mujhe yeh jahaan Jis din se paaya jaanam tujhe meherbaan Aawaara kehta tha Kuch tere jalwon ne deewaana kiya Kuch to is dil se bhi sharaarat hui Mere tasavur mein basi tu hi tu Tujhse o jaanam yun mohabbat hui Sadiyon se mujhko bhi teri aarzoo Badli hai kismat yeh mili jab se tu Aabaad hone lagi sooni si yeh zindagi Karne laga pyaar main, karne laga aashiqui Mere dil ne pukaara, aawaara aawaara aawaara Aawaara kehta tha Jis din se nazaron mein tu shaamil hui Har shay mein karta hoon nazaara tera Yunhi bhatakta rehta main saari umar Mujhko agar na milta sahaara tera Ab koi hasrat hai na kuch aas hai Teri vafa ab to mere paas hai Aabaad hone lagi sooni si yeh zindagi Karne laga pyaar main, karne laga aashiqui Mere dil ne pukaara, aawaara aawaara aawaara

Is Tarah Pyaar Se

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Is Tarah Pyaar Se

(Is tarah pyaar se tumne dekha sana Kya kahe kya hua, hum rahe ab na hum Tumhaara kya gaya, hamaara dil gaya Ke ab dil ko sanam kahan dhoondenge hum) - 2 Is tarah pyaar se Na hum jaante tumhe, na pehchaante ho tum Yeh achchha nahin hai jo kiye tumne hosh gum Tumhe yeh khabar hai kya yeh dard-e-jigar hai kya Badi khoob dillagi mere saath tumne ki Tumhaara kya gaya, hamaara dil gaya Ke ab dil ko sanam kahan dhoondenge hum Is tarah pyaar se Tumhaare bina hamein na ab chain aayega Hamaara khayaal to tumhe bhi sataayega Yehi sach hai maan lo, na yun imtahaan lo Judaa hoke jaao na, ke ab aazmaao na Tumhaara kya gaya, hamaara dil gaya Ke ab dil ko sanam kahan dhoondenge hum Is tarah pyaar se tumne dekha sanam Kya kahe kya hua, hum rahe ab na hum Tumhaara kya gaya, hamaara dil gaya Ke ab dil ko sanam kahan dhoondenge hum Is tarah pyaar se tumne dekha sanam Hm hm hm hm hm hm, hm hm hm hm hm hm

Main Jisse Pyaar Samajh Baitha

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Main Jisse Pyaar Samajh Baitha

Main jisse pyaar samajh baitha - Dil machalne ki aadat to nahin Muskuraake yun tera milna Kahin teri sharaarat to nahin - 2 Ho ho ho ho main jisse pyaar samajh baitha Dil machalne ki aadat to nahin Muskuraake yun tera milna Kahin teri sharaarat to nahin - 2 Ho ho ho main jisse pyaar samajh baitha Kaunsi duniya se tu aayi Yeh husn kahan se laayi Lootkar le jaaye na mujhko Yeh teri kaatil angdaai Kis tarah main bachaaoon dil - 3 Dil ke bachne ki soorat to nahin - 2 Ho ho ho ho main jisse pyaar samajh baitha Kyoon judaa lagti hai tu sab se Main soch raha hoon kab se Bas yehi kehta hai dil mera Maang loon tujhko main rab se Pyaar tera mile mujhko - 3 Aur kuch apni chaahat to nahin - 2 Ho ho ho ho main jisse pyaar samajh baitha Main jisse pyaar samajh baitha Dil machalne ki aadat to nahin Muskuraake yun tera milna Kahin teri sharaarat to nahin - 2 Ho ho ho main jisse pyaar samajh baitha Oh main jisse pyaar samajh baitha

Pyaar Ka Matlab

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Pyaar Ka Matlab

Pyaar ka matlab samjhegi vo Jab sapnon mein kho jaayegi Mujhko paagal karne waali - 2 Khud bhi paagal ho jaayegi La la ra la la la la - 4 Uske chehre ko maine padha hai Kaun yeh usko bataaye Uski aankhen to kehti hai mujhse Laakh voh mujhse chhupaaye Pyaar hai usko bhi, maanegi voh us din - 2 Jis din mere seene pe voh Sar ko rakhkar so jaayegi Mujhko paagal karne waali - 2 Khud bhi paagal ho jaayegi La la ra la la la la - 4 Roz milta hoon us dilrooba se Phir bhi dil mera bhare na Log kehte main uspe fida hoon Voh yakeen mujhpe kare na Jaan pe ban gayi, ban gayi hai jaan pe - 2 Jaan ka rona ab kya roye Jaani hogi to jaayegi Mujhko paagal karne waali - 2 Khud bhi paagal ho jaayegi La la ra la la la la - 4 Pyaar ka matlab samjhegi voh Jab sapnon mein kho jaayegi Mujhko paagal karne waali - 2 Khud bhi paagal ho jaayegi La la ra la la la la - 4

Teri In Adaaon Ne

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Teri In Adaaon Ne

Teri in adaaon n Teri in adaaon ne is dil ko ghaayal kar diya Jeeye hum kis tarah jaanam - 2 Jeena hi mushkil kar diya Teri in adaaon ne is dil ko ghaayal kar diya Jeeye hum kis tarah jaanam Jeena hi mushkil kar diya Teri in adaaon ne Zulfon mein tera chehra hai jaanam Chaand badli mein jaise Tu muskuraaye to maine jaana Phool khilte hain kaise O jaane jaan, sharma na aise Mujhse nazar chura na aise Teri in adaaon ne Haai, teri in adaaon ne is dil ko ghaayal kar diya Jeeye hum kis tarah jaanam - 2 Jeena hi mushkil kar diya Teri in adaaon ne Tere badan ki mastaani khushboo Pyaar dil mein jagaaye Har khwaab mera ho jaaye sachcha Tu jo baahon mein aaye Dil ki lagi dikhaaoon tujhko Aa pyaar main sikhaaoon tujhko Teri in adaaon ne Haai, teri in adaaon ne is dil ko ghaayal kar diya Jeeye hum kis tarah jaanam - 2 Jeena hi mushkil kar diya Teri in adaaon ne is dil ko ghaayal kar diya Jeeye hum kis tarah jaanam Jeena hi mushkil kar diya Teri in adaaon ne

Yeh Jeevan Pyaar Se

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Yeh Jeevan Pyaar Se

Yeh jeevan pyaar se bhar do tu Bas itna kar do tum Mit jaaye dil se tanhaaiyaan Maheka do aaj tamannaayein Maheka do khwaabon ko Chaahat ki deke rangeeniyaan Yeh jeevan pyaar se bhar do tum Bas itna kar do tum Jab tum na the to kuch na tha Naakaam yeh zindagaani thi Aawaara tha yeh dil mera Badnaam apni kahaani thi Tumne hi jeena sikhaaya Apna jo mujhko banaaya Uthi hai dil mein phir halchal Ho jaaoonga paagal Leti hai dhadkan angdaaiyaan Yeh jeevan pyaar se bhar do tum Bas itna kar do tum Har saans mein samaaye ho tum Basne lage ho nigaahon mein Ab har taraf bahaare khili Veeraan si dil ki raahon mein Jeene ka ehsaas tum ho Ab to mere paas tum ho Mile ho jab se tum jaanam Chaahat ka yeh mausam Laaya hai kitni raanaaiyaan Yeh jeevan pyaar se bhar do tum Bas itna kar do tum Mit jaaye dil se tanhaaiyaan Maheka do aaj tamannaayein Maheka do khwaabon ko Bas itna kar do tum - 2
Back to Film List

About JAANAM Songs and Lyrics

Explore the JAANAM soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for JAANAM.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics