Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film ALAMGIR (ALBUM)

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Neele Neele Ambar Par

Singer: ALAMGIR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Neele neele ambar par chaand jab aay
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Ho, oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Pyaar se kasne ko baahon mein basne ko
Dil mera lalchaaye koi to aa jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Ho, thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Saanson ki garmi ko haathon ki narmi ko
Mera mann tarsaaye koi to chhoo jhaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Ho, chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Pyaar mein nahaane ko doob hi jaane ko
Dil mera tadpaaye khwaab jaga jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele neele ambar par
La la la la la la..
Hm hm hm hm.. La la la la la la
Oh.. oh oh oh

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about ALAMGIR (ALBUM) ...