Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film ALBELA (1951)

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Dheere Re Aaja Ri

Singer: LATA MANGESHKAR, CHITALKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Lata Mangeshka

dheere se aaja ri ankhiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
chhote se nainan ki bagiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja

o ...
lekar suhaane sapanon ki kaliyaan, sapanon ki kaliyaan
aake basa de palakon ki galiyaan, palakon ki galiyaan
palakon ki chhoti si galiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
dheere se ...

o ...
taaron se chhup kar taaron se choree, taaron se chori
deti hai rajani chanda ko loree, chanda ko lori
hansata hai chanda bhi nindiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
dheere se ...

Sad Version : Duet Song

dheere se aaja ri ankhiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
chhote se nainan ki bagiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja

o ...
aankhen to sab ki hain ik jaisi
jaisi ameeron kee, gareebon ki vaisi
palakon ki sooni si galiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
dheere se ...

o ...
jagati hai ankhiyaan soti hai qismat, soti hai qismat
dushman gareebon ki hoti hai qismat, hoti hai qismat
dam bhar gareebon ki kutiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
dheere se ...

Haseeno Se Mohabbat Ka

Singer: CHITALKAR, CHORUS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

ho.. haseeno se mohabbat ka
ah.. haseeno se mohabbat ka
bura anjaam hota hain
meri jaan pyar mein ghar baar bhi neelam hota hain - 4
haseeno se mohabbat ka bura anjaam hota hain
meri jaan pyar mein ghar baar bhi neelam hota hain

ho.. kabhi kajal ki farmaaish
kabhi powder ki farmaaish
kabhi circus ki zidd hain
aur kabhi theater ki farmaaish
nikalwati hain diwala
aji dilbar ki farmaaish
kacheri aur thaane mein bahut hi naam hota hain - 2
meri jaan pyar mein ghar baar bhi neelam hota hain
haseeno se mohabbat ka bura anjaam hota hain

ho.. takke ho jeb mein toh
arey takke ho jeb mein toh
husnwale dil lagate hain
gale mein daalkar baahein
badi ulfat jatate hain
agar aashiq ho kadka
toh durr se rasta dikhate hain
ho jiska bank mein khata wahi gulfaam hota hain
meri jaan pyar mein ghar baar bhi neelam hota hain
haseeno se mohabbat ka bura anjaam hota hain

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about ALBELA (1951) ...