Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film AMBER-1952

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Duniya Mein Nahin Koi Yaar

Singer: LATA MANGESHKAR, RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

lata
duniyaa mein-2
duniyaa mein nahin koi yaar wafaadaar
zamaana sach kehata hai-2
yahaan karnaa kisi se pyaar hai bekaar
zamaana sach kehata hai-2

rafi:
dukh-dard ka hai bazaar ye sansaar
zamaana sach kehata hai-2
milana hai yahaan dushwaar dil ko qaraar
zamaana sach kehata hai-2

lata:
kar gaye who bhi ham se kinaara
jin ko basaaya mann mein
pyaar ki baazi jeet saka hai
koi na is jeevan mein-2
hoti hai yahaan har bar dil ki haar
zamaana sach kehata hai-2

rafi:
kismat ne majboor banaakar
chheen liya sukh ham se
kaaya ki is qaid mein aa kar
koun bachaa hai gham se-2
chalate hai yahaan par vaar, gham ke hazaar
zamaana sach kehata hai-2

lata:
duniyaa mein nahin koi yaar wafaadaar
zamaana sach kehata hai-2

Posted by: p u r n i m a

Ham Pyaar Tum Hi Se

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

hum pyaar tumhi se karte hai-
nadaan baalam tum kyaa jaano
tum rooth gaye, dil tut gayaa
paaya hai jo gum tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

jab hum ko banaaya thaa apnaa
kyun haal naa dil kaa jaan sake
ek phool chunaa
ek phool chunaa aur fenk diyaa
khushboo le naa sake
thukaraa diyaa meri ulfat ko
apnaa ye sitam tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

mit jaaye muhobbat ki duniyaa
ye baat koi aasaan nahin
armaan bharaa
armaan bharaa ye dil meraa
naazuk hai magar naadaan nahin
munh pher lo hum se laakh magar
badalenge naa hum, tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

hum pyaar tumhi se karte hai
nadaan baalam tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

Posted by: p u r n i m a

Hum Tum Ye Bahaar

Singer: LATA MANGESHKAR, RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

rafi
hum-tum ye bahar, dekho rang laaya pyaar, barsaat ke mahine mein
lata:
rhim jhim ye phuhaar, dil gaaye re malhaar, ek aag liye seene mein

rafi:
teri zulfon ki ye rangat hai
jo baadal ban ke chhaee hai-2
lata:
teri aankhon ki ye masti hai
jo saawan ban ke aaee hai-2

rafi:
mera dam jab tak
rahe pyaar ki chumak
mere dil ke nagine mein
lata:
rhim jhim ye phuhaar, dil gaaye re malhaar, ek aag liye seene mein

rafi:
hum-tum ye bahar, dekho rang laaya pyaar, barsaat ke mahine mein
lata:
rhim jhim ye phuhaar, dil gaaye re malhaar, ek aag liye seene mein

lata:
duniya ko humaari ho na khabar
aankhon me ishaare ho jaaye-2

rafi:
ulfat kaa chale aisaa jaadoo
dushuman bhi humaare ho jaaye

lata:
ghum dil se ho door
na ho koi majboor
phir aaye mazaa jeene mein

both:
rhim-jhim ye phuhaar, dil gaaye re malhaar,ek aag liye seene mein

both:
hum-tum ye bahar, dekho rang laaya pyaar, barsaat ke mahine mein
both:
rhim jhim ye phuhaar, dil gaaye re malhaar, ek aag liye seene mein

Posted by: p u r n i m a

Tutegi Na Pyaar Ki Dor

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

tutegi naa pyaar ki do
duniyaa chaahe lagaa le zor
dil ki baat bataaun, baalam dil ki baat bataaun
main dil ki baat bataaun-2

teri muhobbat meri jawaani-2
mil mil ke chhalakaaye masti
ho jag-mag hai dharati kaa aanchal-2
jhil-mil hai aakaash ki basti
ho aakaash ki basti
tu hai chandaa main hoon chakor
manzil apni gagan ki aur
tere paas main aau baalam, dil ki baat bataaun
main dil ki baat bataaun

jhum rahi hai mast umange-2
dil ko milaa hai dil kaa sahaara
ho..o..o.. tu deewaana main hoon deewaani-2
koi naa jaane bhed hamaaraa
ho..o..o.. bhed hamaaraa
tu hai mere man kaa mor
soon le mere dil ke chor
jeevan tujh pe lootaun baalam, dil ki baat bataaun
main dil ki baat bataaun

tutegi naa pyaar ki dor
duniya chaahe lagaa le zor
dil ki baat bataaun baalam, dil ki baat bataaun
main dil ki baat bataaun

Posted by: p u r n i m a

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about AMBER-1952 ...