Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film ANHONI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Hamein Na Koi Pukare

Singer: TALAT, LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

sama ke dil mein hamaare zara kayaal rahe
hamein na koi pukaare zara kayaal rahe

bahaar ban ke koi is chaman mein a hi gaya
hamaare soye hue pyaar ko jaga hi gaya
javaan hue hain nazaare zara kayaal rahe
hamein na koi pukaare ...

ye dil ka dard nigaahon ki pyaas dhokha
zameen pe rah ke sitaaron ki aas dhokha hai
ye sabz-o-baag hain saare zara
hain pyaase nain bechaare zara kayaal rahe

na dagamaga de ye kashti bhanvar zamaane ka
yahi to vaqt hai maanjhi ko aazamaane ka
na chhoot jaaye kinaare zara kayaal rahe
hain pyaase nain bechaare zara kayaal rahe

ye geet gaate hue mast vaadiyon ki qasam
main ik tumhaare ishaare pe rakh rahi hoon qadam
ham ab hue hain tumhaare zara kayaal rahe
hain pyaase nain bechaare zara kayaal rahe
sama ke dil mein hamaare ...

Is Dil Ki Haalat

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

is dil ki haalat kya kahiy
jo shaad bhi hai naashaad bhi hai
is dil ki haalat kya kahiye
jo shaad bhi hai naashaad bhi hai

kuch kho bhi diya kuch pa bhi liya
kuch kho bhi diya kuch pa bhi liya
ik raag khushi ne ga bhi liya
aur honthon pe fariyaad bhi hai
dil shaad bhi hai naashaad bhi hai

is dil ki haalat kya kahiye
jo shaad bhi hai naashaad bhi hai

bujhate hain chiraag
bujhate hain chiraag uthata hai dhuaan
seene mein basa hai gam ka jahaan
aabaad bhi hai barabaad bhi hai
dil shaad bhi hai naashaad bhi hai

is dil ki haalat kya kahiye
jo shaad bhi hai naashaad bhi hai

chaahat ka zamaana dekha tha
chaahat ka zamaana dekha tha
ik kvaab suhaana dekha tha
kuch bhool gaye kuch yaad bhi hai
dil shaad bhi hai naashaad bhi hai

is dil ki haalat kya kahiye
jo shaad bhi hai naashaad bhi hai

mai dil hoo ek aramaan bharaa

Singer: TALAT MEHMOOD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

mai dil hoo yek aramaan bhara
too aa ke muze pahachaan jaraa

khud maine husn ke haathon me
shaukhee kaa chhalakataa jaam diyaa
gaalon ko gulaabon kaa rutabaa
kaliyon ko labon kaa naam diyaa
aakhon ko diyaa saagar gaharaa
too aa ke muze pahachaan jaraa

ye sach hain teree mahafeel me
mere afasaane kuchh bhee nahee
par dil kee daulat ke aage
duniyaa ke khajaane kuchh bhee nahee
yoo muz se nigaahon ko naa churaa
too aa ke muze pahachaan jaraa

Mere Dil Ki Dhadkan

Singer: TALAT, LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

mere dil ki dhadakan kya bole?
- kya bole?
main jaanoon aur tu jaane
main jaanoon aur tu jaane
mera pyaar bhara man kyon dole?
- kyon dole?
main jaanoon aur tu jaane
main jaanoon aur tu jaane

chali gayi raat madbhari havaaon ke dole pe ho ke savaar
de gayi chaand ki pari nigaahon ko sapanon ka paagal kumaar
hamein kis ne diye ye nazaraane
- kaun jaane
main jaanoon aur tu jaane ...

mahaki thi raat ki raani khile the gagan mein chameli ke phool
poochha main ne kaan mein tum se muhabbat hai kaisi mazedaar bhool
main sun ke lagi kyon sharamaane?
- kaun jaane
main jaanoon aur tu jaane ...

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about ANHONI ...