Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film BAHAAR-1951

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Bhagawaan Do Ghadi

Singer: GEETA ROY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

bhagawaan do ghadi zara insaan ban ke dek
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh

o…o…o…o
hai jin ko teri yaad, kabhi un ki le khabar
kabhi un ki le khabar
o aasmaan waale kabhi garibon pe kar nazar
garibon pe kar nazar
dil mein kisi garib ka aramaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh
bhagawaan do ghadi

o…o…o…o
jo kuchh bhi ho raha hai, who teri nazar mein hai
teri nazar mein hai
aa dekh meri aas ki naiyya bhanwar mein hai
sab jaante huye bhi na anjaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh
bhagawaan do ghadi

o…o…o…o
tujh ko khabar nahin koi kitana niraash hai
kitana niraash hai
tinake ki dubate ko maalik talaash hai
maalik talaash hai
insaan ban sake na to bhagawaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh
bhagawaan do ghadi

Posted by: p u r n i m a

Duniya Ka Maza Le Lo

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

duniya ka maza lelo, duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhari -
duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhaari hai -2
duniya ka mazaaaa leeee loooo

duniya ko laat maaro, duniya salaam kare
duniya ko laat maaro duniya salaam kare
mud mud salaam kare, jhuk jhuk salaam kare,bik bik salaam kare
kabhi namaste ji to, kabhi raam raam kare -2
duniya ke baap ho tum
duniya ke baap ho tum, duniya tumhaari hai, yeh duniyaa tumhaari hai
duniya ka mazaaaa leeee loooo

duniya se daro ge to, duniya dabaayegi -2
aankhen dikhaayegi, rob jamaayegi
e ji hansi udaayegi
chain na lene degi, jaan jalaayegi-2
taan ke seena chalo
taan ke seena chalo, duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhaari hai
duniya ka mazaaaa leeee loooo

duniya ke jitane nazaaren hai, tumhaare hai -2
yeh phool tumhaare hai, yeh taare tumhaare hai
chanda tumhaara hai, chandaniyaan tumhaari hai -2
duniya ka mazaaaa leeee loooo

duniya ka maza lelo, duniya tumhaari hai, yeh duniya tumhari -2

Posted by: p u r n i m a

Pyaar Ki Bahaar Le Ke

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

pardesiyaa….. o pardesiyaa..
pyaar ki bahaar le ke ,dil ka qaraar le ke
aaja re aaja pardesiya, aaja pardesiya, o pardesiya

koi mera dosh hai na koi qasoor hai
kyon mere saajana nazron se door hai
nazron se door hai
nazron mein pyaar le ke, sapanon ke haar le ke
aaja re aaja pardesiya, aaja pardesiya, o pardesiya

kahaan gaye baalama mujh ko bisaar ke
yaad karo baalama waa' de who pyaar ke
waa' de who pyaar ke
gul-o-gulzaar le ke, bagh-o-bahaar le ke
aaja re aaja pardesiya, aaja pardesiya, o pardesiya

pyaar ki bahaar le ke ,dil ka qaraar le ke
aaja re aaja pardesiya, aaja pardesiya, o pardesiya

Posted by: p u r n i m a

Saiyaan Dil Me Aana Re

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

saiyaan dil mein aana r
aa ke phir na jaana re
o aa ke phir na jaana re
chham chhama chham chham
raja ban ke aana re
mohe le jaana re
o mohe le ke jaana re
chham chhama chham chham

chaandani raat hogi taaron ki baraat hogi -2
pahele pahele pyaar ki paheli paheli baat hogi -2
khushi khushi gaayen ham, geet suhaana re
saiyaan dil mein aana re
aa ke phir na jaana re
o aa ke phir na jaana re
chham chhama chham chham

thodi thodi sahel hogi, thoda thoda pyaar hoga -2
kabhi iqaraar hoga, kabhi inkaar hoga -2
tera manaana mera rooth jaana re
saiyaan dil mein aana re
aa ke phir na jaana re
o aa ke phir na jaana re
chham chhama chham chham

tum mere paas hoge, gham badi door hoga -2
kehata hai jiya mera hoga zaroor hoga -2
laana re laana, tashrif laana re
saiyaan dil mein aana re
aa ke phir na jaana re
o aa ke phir na jaana re
chham chhama chham chham

Posted by: p u r n i m a

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about BAHAAR-1951 ...