Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film BELA

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Bhigi-Bhigi Palakein Hain Aur Dil Mein Yaad Tumhaari Hai

Singer: ZOHRABAI AMBALEWALI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

bhigi-bhigi palakein hai
aur dil mein yaad tumhaari hai
is pe bhi o bedardi
pyaar ki baazi haari hai

tumhein chaaha ye kya kiya maine
dukh zamaane ka le liya maine
kabhi dushman ki bhi na ho
jo haalat aaj hamaari hai
is pe bhi o bedardi

are o chaand baadalon mein ja
ki mera chaand bhi hai chhip gaya
ujaala kyon rahe jahaan mein
meri to ujadi duniya saari hai
is pe bhi o bedardi

Mohe Baanka Balam Lage Piyaara

Singer: ZOHRA BAI, CHORUS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

mohe baanka balam lage piyaara -
(nanadi parades na jaane de
baanka balam lage piyaara) - 2
mohe baanka balam lage piyaara

kaali-kaali raat jiya dag-mag dolega
ho kaali-kaali raat jiya dag-mag dolega
dag-mag dolega
ho mithe-mithe bol un bin kaun bolega
mithe-mithe bol un bin kaun bolega
suuna dikhega jag saara
suuna dikhega jag saara

nanadi parades na jaane de
baanka balam lage piyaara
mohe baanka balam lage piyaara
mohe baanka balam lage piyaara

saanwali ghataayein jab ghir-ghir aayengi
ho saanwali ghataayein jab ghir-ghir aayengi
bhesh biraane (?) le ke man ka jagaayengi - 2
aise mein unaka bada sahaara
aise mein unaka bada sahaara

nanadi parades na jaane de
baanka balam lage piyaara
mohe baanka balam lage piyaara
mohe baanka balam lage piyaara
nanadi parades na jaane de
baanka balam lage piyaara

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about BELA ...