Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film BEYOND RHYTHMSCAPE

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Saawariyaan Tujh Bin Chain Kahaan Se Paanvu

Singer: KAILASH KHER

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

saawariyaan saawariyaan.............
saawariyaan tujh bin chain kahaan se paanvu
kajarariyaan ratiya mein nainan ko jagaavu

chaan chidaayein woh nahin aaye
tanahaayi abb bahot sataayein
waqt kate na badhate jaaye
har ik pal ko saal banaaye
saawariyaan tujh bin chain kahaan se paanvu
kajarariyaan ratiya mein nainan ko jagaavu

(girte taarein se kuchh maangu
bas yahin aas le raat ko jaagu) - 2
par har raat na girta taara
dhund liya aakash yeh saara
kaun jatan kar tujhko paanvu
kaise kar tere paas main aanu
saawariyaan tujh bin chain kahaan se paanvu
kajarariyaan ratiya mein nainan ko jagaavu

saawariyaan saawariyaan..........

Tore Sang Preet Ki Dori

Singer: SHUBHA MUDGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

yeh sajna baalama, tore sang preet hamaar

(tore sang preet ki dori, bandh gayi jab se mori
baalam naam ki odhe chunariyaan, ghumu ban ban prem dagariyaan
abb ghar aaja, jhalak dikha ja, rahiya taku main tori) - 2
tore sang preet ki dori, bandh gayi jab se mori

saawan ke jhulein, ambava ki deriyaan, panghat ka paani
yaad dilaayein bisari baatein, birah mein bahi main deewaani
karvat le beetein ratiyaan mori
tore sang preet ki dori, bandh gayi jab se mori
baalam naam ki odhe chunariyaan, ghumu ban ban prem dagariyaan
abb ghar aaja, jhalak dikha ja, rahiya taku main tori
tore sang preet ki dori, bandh gayi jab se mori

gili boonde le angadaayi tute baadal kaare - 2
jitne aansu the akhiyan mein, khatam huye ab saare
rahiyaan taku har ratiyaan tori
tore sang preet ki dori, bandh gayi jab se mori
baalam naam ki odhe chunariyaan, ghumu ban ban prem dagariyaan
abb ghar aaja, jhalak dikha ja, rahiya taku main tori
tore sang preet ki dori, bandh gayi jab se mori - 2

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about BEYOND RHYTHMSCAPE ...