Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film BHAGGMATI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Ishq Abhi Tak Zinda Hain

Singer: FAREED SABRI JAIPURI, VINOD SEHGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

bit gayi hain sadiya leki
ishq abhi tak zinda hain
bhul gaya tarikh zamana
ishq abhi tak zinda hain
ek khuda ke sau jalwo se
har zarra sa zinda hain
ishq abhi tak zinda hain - 2

yaha ka har patthar kehta hain afsana dildaro ka
har khandar mein poshida hain apna chand saitaro ka
yaha ki naaye hain wado ki
mausam hain deedar ka
ishq haqeeqat ishq fasana
ishq abhi tak zinda hain - 6
ishq abhi tak abhi tak abhi tak zinda hain
ishq abhi tak zinda hain - 9
mere saiyaa ...

kaho hawaaose phool chadhaye
phool chadaye phool chadaye - 2
kaho fizaaose rang udaye
rang udaye rang udaye - 2
kaho hawaaose phool chadhaye
kaho fizaaose rang udaye
kaho gagan se shish jhukaye
shish jhukaye shish jhukaye - 2
yeh dharti hain dilwalo ki
yeh mandir hain pyar ka
taaj raha na taqt yaha pe
ishq abhi tak zinda hain - 4
ishq abhi tak abhi tak zinda hain
ishq khuda hain
ishq nafi hain
ishq hain lamha
ishq sadi hain
ishq hi meera ka iktaara
ishq hi majnu ka banjara
ishq hi jam jam ka fauaara
ishq hi ganga ji ki dhara
yahi woh miti hain jisne har bhed bhaav mitaya tha
yahi mohammad kuli ko sabne dil ko dharam banaya tha
ek khuda ke sau jalwo se har jarra sa zinda hain
ishq abhi tak abhi tak zinda hain
ishq abhi tak zinda hain - 10

Meri Jaan Meri Jaan

Singer: REKHA BHARADWAJ

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

meri jaan meri jaan meri jaan meri jaa
haay dekhna dildaar taaro ki ataari mein
meri jaan meri jaan meri jaan meri jaan
haay dekhna dildaar taaro ki ataari mein
mere naina ke dono bat khule hain intejaari mein
meri jaan meri jaan meri jaan

kabhi suraj kabhi badal
kabhi dono satate hain
meri jaan
kabhi suraj kabhi badal
kabhi dono satate hain
piya ghar daar hamne bech daala teri yaari mein
meri jaan - 4

kabhi kehte ho ab aaye
kabhi kehte ho tab aaye
meri jaan
kabhi kehte ho ab aaye
kabhi kehte ho tab aaye
hamari jaan jaayegi tumhari intejaari mein
meri jaan - 4
haay dekhna dildaar taaro ki ataari mein
mere naina ke dono bat khule hain intejaari mein
meri jaan meri jaan meri jaan
jaan meri jaan meri jaan meri jaan meri jaan meri jaan

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about BHAGGMATI ...