Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film CHAND

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aaye Hain Balama Ho Din Pyaare Pyaare

Singer: ZEENAT BEGUM, DURRANI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aaye hain balama ho din pyaare pyaar
aaye hain balama
aaye hain balama ho din pyaare pyaare
ab jaage bhaag hamaare, din pyaare pyaare

tum haar haar kar jit gaye - 2
ham jit jit kar haare balama hamaare - 2
aaye hain balama

duniya hai ye prit ki dushman
rit ye dekhe prit ki dushman
duniya nayi basaayenge hum tum
gaayenge hum tum mil ke git hamaare
din pyaare pyaare
aaye hain balama

nayi kushiyaan aaj bulaatin hain - 2
kar kar ke ishaare balama hamaare - 2
aaye hain balama ho din pyaare pyaare

Do Dilon Ko Ye Duniya

Singer: MANJU

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

do dilon ko ye duniya milane hi nahin det
aashaaon ki kaliyon ko khilane hi nahin deti

ik baag mein kya dekha bulbul vahaan rota tha
aur paas khada maali kuchh haar pirota tha
dil chir ke ik phuul ka kush kitana vo hota tha
bulbul tha tadap jaata jab suui chabhota tha
dukh sah na saka bulbul kuchh kah na saka bulbul
phir bahane lage aansu aur kahane lage aansu
kya ?
do dilon ko ye duniya

tum mujh se ye phuuchho ge kya phuul ki haalat thi
ruutha huwa maali tha bigadi huyi qisamat thi
aankhon mein to aansu the bechain tabiat thi
sunasaan tha dil usaka barabaad muhabbat thi
bulbul se juda ho kar maali se kafa ho kar
kaanton mein laga rahane aur phuul laga kahane
kya ?
do dilon ko ye duniya

Kya Ye Hi Jawaani Hai

Singer: ZEENAT BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kya ye hi jawaani hai -
har din hai nikhara huwa - 2
har raat suhaani hai - 2
kya ye hi jawaani hai - 2

main gairon se kyuun puuchhuun
(main gairon se kyuun puuchhuun
main apanon se kyuun puuchhuun) - 2
aayina jo kaha hai - 2
tu husn ki raani hai - 2
kya ye hi jawaani hai - 2

(kya kahuun ke kaun aa kar
kya kahuun ke kaun aa kar
sapanon mein bulaata hai) - 2
khulate hi meri aankhein - 2
jaane kahaan jaata hai - 2
ye meri kahaani hai - 2
kya ye hi jawaani hai - 2

jaate huye bachapan se
(jaate huye bachapan se
aate huye jauvan se) - 2
donon se main kahati huun - 2
ye dil ki nayi hai duniya - 2
ab kaise basaani hai - 2
kya ye hi jawaani hai - 2

Panchhi Meri Kushi Ka Zamaana

Singer: ZEENAT BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(panchhi meri khushi ka (zamaana kahaan gaya) - 2) -
aankhon ne jo likha wo (fasaana kahaan gaya) - 2

(ab unako rokane ki zaruurat bhi pad gayi) - 2
wo mere ruuthane ka (bahaana kahaan gaya) - 2

(main dil se puuchhati huun (kahaan hai mera suhaag) - 2) - 2
(dil mujh se puuchhata hai (diwaana kahaan gaya) - 2) - 2

(tu meri qaid mein hai to (main gam ki qaid mein) - 2) - 2
wo tera git mera (taraana kahaan gaya) - 2

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about CHAND ...