Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film FIRDAUS

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aa Ja Ke Dil Tujh Ko Ro Ro Pukaare

Singer: ASHA BHOSLE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aa ja ke dil tujh ko ro ro pukaare -
aise mere din na guzare guzaare
saajan aa ja, aa ja, aa ja ho saajan aa ja

god mein tera pyaar hai khele - 2
dil mein aramaanon ke mele - 2
bhige bhige naina hamaare - 2
phuut rahe hain dard tumhaare
saajan aa ja, aa ja, aa ja ho saajan aa ja

des paraaya log paraaye - 2
kaun hai jo mera gam khaaye - 2
roti huun is dard ke maare - 2
chhuut gaye sab saath sahaare
saajan aa ja, aa ja, aa ja ho saajan aa ja

Kisi Bevafa Ke Sataaye Hue Hain

Singer: ASHA BHOSLE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kisi bevafa ke sataaye hue hain -
muhabbat ke sadame uthaaye hue hain - 2
kisi bevafa ke sataaye hue hain

muhabbat na karana na karana na karana - 2
muhabbat ko ham aazamaaye hue hain - 2
kisi bevafa ke sataaye hue hain

na todo sitam aaj ham bekason pe
ham bekason pe
na todo sitam aaj ham bekason pe
ke thokar zamaane ki khaaye hue hain - 2
kisi bevafa ke sataaye hue hain

muhabbat ki qasamein uthaaye hue hain - 2
kisi bevafa ke sataaye hue hain

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about FIRDAUS ...