Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film GUNAAH

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Dil Ne Kaha

Singer: SONU NIGAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil ne kah
(Kaun hai voh sanam jispe fida hue
Pehli nazar mein hum, dil ne kaha) - 2
Uski talaash mein badhne lage kadam, dil ne kaha
Uljha hua hoon main jiske sawaalon mein
Rehti hai chupke voh mere khayaalon mein, dil ne kaha
Kaun hai voh sanam jispe fida hue
Pehli nazar mein hum, dil ne kaha
Aankhon ki sharaarat se, saanson ki haraarat se
Mujhko jalaati hai voh, ho ho
Jab main so jaata hoon, paagal ho jaata hoon
Khwaabon mein aati hai voh
Uljha hua hoon main jiske sawaalon mein
Rehti hai chupke voh mere khayaalon mein, dil ne kaha
Kaun hai voh sanam jispe fida hue
Pehli nazar mein hum, dil ne kaha
Voh jiski adaaon ne, voh jiski nigaahon ne
Jeena sikhaaya mujhe, ho ho
Jab koi aahat ho, to aisa lagta hai
Usne bulaaya mujhe
Uljha hua hoon main jiske sawaalon mein
Rehti hai chupke voh mere khayaalon mein, dil ne kaha
Kaun hai voh sanam jispe fida hue
Pehli nazar mein hum, dil ne kaha
Dil ne kaha

Humne tumko dil yeh de diya

Singer: ALKA YAGNIK AND BABUL SUPRIYO

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(Humne tumko dil yeh de diy
Yeh bhi na poochha kaun ho tum) - 2
Yeh faisla jo dil ne kiya - 2
Yeh faisla jo dil ne kiya to
Yeh bhi na socha kaun ho tum

--MALE--
Humne tumko dil yeh de diya
Yeh bhi na poochha kaun ho tum
Dil hai ke maanta nahin
Is dil pe kiska zor hai
Teri or kheencha jaa raha hoon
Jaane yeh kaisi dor hai

--FEMALE--
Tumko hai kuch ho gaya
Aahon pe aahein bharte ho
Deewaane ho, tum deewaane
Deewaani baat karte ho

--MALE--
Hum to chalo
Hum to chalo deewaane sahi par
Apni bataao, kaun ho tum

--FEMALE--
Arre humne tumko dil yeh de diya
Yeh bhi na poochha kaun ho tum

--MALE--
Yeh faisla jo dil ne kiya - 2
Yeh faisla jo dil ne kiya tab
Yeh bhi na socha kaun ho tum

--FEMALE--
Aa aa aa, aa aa aa
Tumpe yakeen aa gaya
Yeh kaisa aitbaar hai
Kya hai yeh dil ki bebasi
Ya naam iska pyaar hai

--MALE--
Yunhi nahin bechain hoon
Yunhi nahin betaab hoon
Tumne dekha tha jo kal
Maano vahi main khwaab hoon

--FEMALE--
Aankhon ne
Aankhon ne aankhon mein dekhkar
Yeh pehchaana kaun ho tum

--MALE--
Humne tumko dil yeh de diya
Yeh bhi na poochha kaun ho tum
Yeh faisla jo dil ne kiya - 2
Yeh faisla jo dil ne kiya tab
Yeh bhi na socha kaun ho tum
Arre humne tumko dil yeh de diya
Yeh bhi na poochha kaun ho tum

Jab Dil Churaaye

Singer: BABUL SUPRIYO AND ALKA YAGNIK

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
(Jab dil churaaye koi, apna banaaye koi
Sapne dikhaaye aur ho jaaye phir judaa) - 2
Chaahat ke sab afsaane, dil jinko sach hi maane
Banke voh reh jaate hai ek ansuni sada
Ho, kyoon dekhe humne chaahat ke sapne
Dil sochta hai aur rota hai zaar zaar

--FEMALE--
Jab dil churaaye koi, apna banaaye koi
Sapne dikhaaye aur ho jaaye phir judaa

--MALE--
Yeh dooriyaan dil ki, majbooriyaan dil ki
Sach hai magar phir bhi maane na dil mera

--FEMALE--
Bheegi si aankhon mein, sooni si raahon mein
Hum le chale hain kitni yaadon ka caaravaan

--MALE--
Ho, ab mann hi mann mein, deewaanepan mein
Dil sochta hai aur rota hai zaar zaar

--FEMALE--
Jab dil churaaye koi, apna banaaye koi
Sapne dikhaaye aur ho jaaye phir judaa

--MALE--
Jab dil churaaye koi
Hey, haan haan haan haan

--FEMALE--
Aah, aah, aah

--MALE--
Dil mein tamanna hai, dil mein iraade hain
Khwaabon ke mele lekar jaaye bhi to kahan

--FEMALE--
Kuch tum na keh sake, kuch hum na keh sake
Jaane kyoon ho jaati hai khaamosh yeh zubaan

--MALE--
Ho, kya dil ko ho gaya, kya dil ka kho gaya
Dil sochta hai aur

--FEMALE--
Rota hai zaar zaar
Jab dil churaaye koi, apna banaaye koi
Sapne dikhaaye aur ho jaaye phir judaa

--MALE--
Chaahat ke sab afsaane, dil jinko sach hi maane

--FEMALE--
(Mm hm, aa ha)

--MALE--
Banke voh reh jaate hai ek ansuni sada

Mere Dil Pe Kisi Ne

Singer: SONU NIGAM AND ALKA YAGNIK

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
Mm hm, mm hm hm mm hm, eh hey hey hey hey, la la la la la
Mere dil pe kisi ne poochhe bina hi kuch likh diya hai
Hm, mere dil pe kisi ne poochhe bina hi kuch likh diya hai

--FEMALE--
Tumne yeh sach kaha hai, mujhko bhi aisa kuch lag raha hai

--MALE--
Yeh kya hua, kaise hua, yeh kab hua, ho
Mere dil pe kisi ne poochhe bina hi kuch likh diya hai

--FEMALE--
Tumne yeh sach kaha hai, mujhko bhi aisa kuch lag raha hai
Anjaane do musaafir hum jaane pehchaane se lag rahe hain

--MALE--
Pal bhar mein ek duje ke kaise deewaane se lag rahe hain

--FEMALE--
Hum tum na milte to yeh kitna achchha hota

--MALE--
Mil to gaye ab socho hum kaise honge judaa

--FEMALE--
Yeh kya hua, kaise hua, yeh kab hua, ho

--MALE--
Mere dil pe kisi ne poochhe bina hi kuch likh diya hai
Ab aage hai kahan jaana, apni manzil hamein mil gayi hai

--FEMALE--
Tanha the, hum akele the, ab to mehfil hamein mil gayi hai

--MALE--
Dil chaahe chhup jaaye, chup se pyaar ki baahon mein

--FEMALE--
Ab jeena, ab marna yaar ki baahon mein

--MALE--
Yeh kya hua, kaise hua, yeh kab hua, ho

--FEMALE--
Mere dil pe kisi ne poochhe bina hi kuch likh diya hai

--MALE--
Tumne yeh sach kaha hai, mujhko bhi aisa kuch lag raha hai

--BOTH--
Yeh kya hua, kaise hua, yeh kab hua, ho

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about GUNAAH ...