Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film HASEENA MAAN JAAYEGI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Bekhudi Mein Sanam

Singer: LATA MANGESHKAR AND MOHAMMAD RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--FEMALE-
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
Aa gaye, aa gaye
Aa gaye paas hum, aa gaye paas hum

--MALE--
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam - 2
Aa gaye, aa gaye
Aa gaye paas hum, aa gaye paas hum

--FEMALE--
(Oh oh oh)
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
Aa gaye, aa gaye
Aa gaye paas hum, aa gaye paas hum

--MALE--
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

--FEMALE--
Aag yeh kaisi mann mein lagi hai
Mann se badhi to tan mein lagi hai

--MALE--
Aag nahin yeh dil ki lagi hai
Jitni bujhaayi, utni jali hai

--FEMALE--
Dil ki lagi na ho to kya zindagi hai
Saath hum jo chale mit gaye faasle

--MALE--
Aa gaye, aa gaye
Aa gaye paas hum, aa gaye paas hum

--BOTH--
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

--MALE--
Khoyi nazar thi, soye nazaare
Dekha tumhe to jaage yeh saare

--FEMALE--
Dil ne kiye jo dil ko ishaare
Milke chale hum saath tumhaare

--MALE--
Aaj khushi se mera dil yeh pukaare
Tera daaman mila, pyaar mera khila

--FEMALE--
Aa gaye, aa gaye
Aa gaye paas hum, aa gaye paas hum

--BOTH--
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

--FEMALE--
Dil ki kahaani pahonche zubaan tak
Kisko khabar ab pahonche kahan tak

--MALE--
Pyaar ke raahi aaye yahan tak
Jaayenge dil ki had hai jahan tak

--FEMALE--
Tum paas jo to chale hum aasmaan tak
Dil mein armaan liye laakh toofaan liye

--BOTH--
Aa gaye, aa gaye
Aa gaye paas hum, aa gaye paas hum
Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam - 3

Dilbar Dilbar Kehte Kehte

Singer: MOHD RAFI, LATA MANGESHKAR, ANAND BAKSHI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Rafi: dilbar dilbar kehte kehte hua deewaan
aankh mein meri jhaakh ke dekho jaanejaana
kaun tumhaara apna hai aur kaun begaana
oh meri jaan zara pehchaan (2)

Lata: dilbar dilbar sunte sunte hui deewaani
haaye re kiss manzil pe aa ke ruki kahaani
bol mere dil kisse hai ab preet nibhaani
phansi hai jaan (4)

Rafi: ab husn ishq ka sangam ho jaane de
aagosh mein apni jaanam kho jaane de
yeh mel hai dil se dil ka koyi khel nahin
do dil na agar mil jaaye woh mel nahin

Lata: ho mar gayi mar gayi ab kya karoon main
haaye re mohabbat jee ya maroon main
usse miloon ya isse miloon main ho
phansi hai jaan (4)

Rafi: yeh zulf teri aawara haay kya kehna
mujhe loot liya dildara haay kya kehna
jo pyaar kare yeh uss ka andaaz nahin
parvaane ke jalne mein aawaaz nahin

Lata: ho kaisi mushkil aan padi hai
do raahe pe preet khadi hai
iss zaalim se aakh ladi hai ho
phansi hai jaan (4)

Rafi: teri aankhen hai ya zaalim paimaane hai
teri ek baat mein laakhon afsaane hai
tu dekh gaur se mujhko tera apna hoon
har raat ko tu jo dekhe woh sapna hoon

Lata: ho ek hai dil aur do deewane
ek shamma aur do parvaane
kya hoga yeh koi na jaane ho
phansi hai jaan (4)

Rafi: dilbar dilbar kehte kehte hua deewaana
arre aankh mein meri jhaakh ke dekho jaanejaana
kaun tumhaara apna hai aur kaun begaana
oh meri jaan zara pehchaan (2)

Lata: phansi hai jaan (2)
Rafi: oh meri jaan zara pehchaan (2)
Lata: phansi hai jaan (2)

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about HASEENA MAAN JAAYEGI ...