Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film HUM KISI SE KAM NAHIN

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Bachna Ae Haseeno

Singer: KISHORE KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Bachnaa ae haseenon lo main aa gayaa
Hay, bachnaa ai haseenon lo main aa gayaa
Husn ka aashiq, husn ka dushman
Apni ada hai yaaron se judaa, hai ho!
Hai, bachnaa..

Hai, duniya mein nahin hai, aaj meraa sa deevaana
Pyaar vaalon ki jubaan pe, hai mera hi taraana
Sabki rang bhari aankhon pe aaj, chamak raha hai mera hi nashaa,
Hi ho!
Hai, bachnaa..

Jaam milte hain aadab se, shaam deti hai salaami
Geet jhukte hai labon pe, saaz karte hain ghulaami
Ho koi, pardaa ya baadshaah, aaj to sab hain mujhpe fidaa,
Hai ho!
Hai, bachnaa..

Ek hungaama uthaa doon, main to jaaoon jidhar se
Jeet leta hoon dilon ko, ek halki si nazar se
Mehboobon ki mehfil mein aaj, chhayi hai chhayi hai meri hi adaa,
Hai ho!
Hai, bachnaa..

Kya Hua Tera Wada

Singer: MOHAMMED RAFI AND SUSHMA SHRESHTHA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
(Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada) - 2
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada

--FEMALE--
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada

--MALE--
Yaad hai mujhko, tune kaha tha
Tumse nahin roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baahon mein beeti har shyaam
Bewafa yeh bhi kya yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Oh kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuch bhi yaad nahin
Kya hua tera waada
Woh kasam, woh iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Woh din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera waada
Woh kasam woh irada

Yeh Ladka Hai Allaah

Singer: ASHA BHOSLE AND MOHD. RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Yeh ladka hai allah kaisa hai deewan
Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana
Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai
Hote hote hote, pyaar hota hai
Ho, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana
Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana
Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai
Hote hote hote, pyaar hota hai
Ho, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana

Humne to itna dekha, humne to itna sikha
Dil ka sauda hota hai sauda zindagi ka
Ho, humne to itna dekha, humne to itna sikha
Dil ka sauda hota hai sauda zindagi ka
Milte hi kaise koi hota hai deewana
Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana
Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai
Hote hote hote, pyaar hota hai
Ho, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana

Ho sakta hai dekho na, samjho mitti ko sona
Pal bhar ka hasna ho jaaye jeevan bhar ka rona
Haan, ho sakta hai dekho na, samjho mitti ko sona
Pal bhar ka hasna ho jaaye jeevan bhar ka rona
Dekho jaldi mein kabhi dil ko na lagaana
Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana
Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai
Hote hote hote, pyaar hota hai
Oh, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana

(Bholi ho tum kya jaano, abhi mujhko pehchaano
Sapna tumhaara main hoon, maano ya na maano) - 2
Dekho nadaani se mujhe na thukraana
Nahin to gaati heer hogi yeh taraana
Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai
Hote hote hote, pyaar hota hai

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about HUM KISI SE KAM NAHIN ...