Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film HUMNASHIN

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aankhain Hai Ya Jaame Sharaab

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab -
Dilwaalon ka haal kharaab - 2
Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab

Halaka halaka baadal hai jaise usaka aanchal hai - 2
Raat bhi kitani paagal hai dekh rahi hai chaand kaha - 2
Dekh rahi hai chaand kaha - 2
Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab

Saqi hai tanahai hai dil par masti chayi hai - 2
Tauba kya angdai hai tut na jaaye shakhe gulab - 2
Tut na jaaye shakhe gulab - 2
Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab

Rut aayi hai pine ki lon bhadaki hai sine ki - 2
Do hi rahe jine ki ek mohabat ek sharaab - 2
Ek mohabat ek sharaab - 2
Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab
Dilwaalon ka haal kharaab - 6

Ek Husne Benaqaab

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi-
Kal raat khud sharaab ne muzhase kaha ke pi
Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi

Usake badan ki shakh ne rah meri rokali - 2 rah meri rokali
Honto ke do gulab ne mujhase kaha ke pi - 2
Kal raat khud sharaab ne mujhase kaha ke pi
Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi

Rukhsar lab nigaah badan sab sharaab the - 2 sab sharaab the
pyase har ek khwab ne mujhase kaha ke pi - 2
Kal raat khud sharaab ne mujhase kaha ke pi
Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi

Khushboo bhare varak the jo khulate chale gaye - 2 khulte chale gaye
Masti bhari kitab ne mujhase kaha ke pi - 2
Kal raat khud sharaab ne mujhase kaha ke pi
Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi

Gore Gaal Pe Kala Til

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Gore gaal pe kaala til hain - 2 woh ladki badi chanchal ha
Deewaana kar dala deewaana mujhe kar dala
Kabhi hosh udale jaaye - 2 kabhi neend churaale haaye
Deewaana kar dala deewaana mujhe kar dala
Gore gaal pe kaala til hai

Honth gulaabi chal sharaabi nain hai usake tikhe
Usake roop ki dhoop ki aage chaand sitaare phike
Use dekh ke koyal gaaye - 2 use dekh ke baadal chaaye
Roop bada matwaala - 2
Deewaana kar dala hoy deewaana mujhe kar dala
Gore gaal pe kaala til hai

Phoolon se wo baatein karati chaandani ke sang khele
use dekh ke lag jaate hai geet ghazal ke mele
Sangeet khanak uthata hai - 2 har geet mehak uthata hai
Wo masti ka pyala - 2
Deewaana kar dala hoy deewaana mujhe kar dala
Gore gaal pe kaala til hai

Shaayar usape geet likhe aur gaayak tan lagaaye
Taar sitaar ke chede saragam aur bansuri gaayein
Wo phoolon ki hai wadi - 2 wo pariyon ki shehajaadi
Premrang rang dala - 2
Deewaana kar dala hi deewaana mujhe kar dala
Gore gaal pe kaala til hai woh ladki badi chanchal hai
Deewaana kar dala hi deewaana muzhe kar dala
Gore gaal pe kaala til hai

Kuchh Bhi Bacha Na Kehne Ko

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi -
Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi
kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi - 2

Tauba ke tutane ka mujhe bhi malal hai - 2
Par kya kare ke shehar mein barsat ho gayi - 2
Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi
kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi

Phir yu huva ki waqt ka phaasa palat gaya - 3
Umeed jeet ki thi magar maat ho gayi - 2
Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi
kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi

Naksha uthake koi naya shehar dhundiye - 2
Is shehar mein to sabase mulakaat ho gayi - 2
Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi
kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi

Sooni Sooni Thi Fiza

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Sooni sooni thi Fiz
Maine yu hi uske baalon mein gondi ghamoshiyon ko chhu liya chhu liya
Sooni sooni thi Fiza

Woh moodi thodi hansi main bhi hansa - 2
Phir hamaare saath nadiya wadiya baadal phool shehar jungal
Sabke sab hasne lage - 2
Sooni sooni thi Fiza

Ek mohhale mein kisi ghar ke kisi kone ki chhoti si hansi ne - 2
Dur tak faili hui duniya ko roshan kar diya hai
zindagi mein zindagi ka rang phir se bhar diya hai (bhar diya hai) - 2
Sooni sooni thi Fiza
Maine yu hi usake balon mein gondi ghamoshiyon ko chhu liya chhu liya
Sooni sooni thi Fiza

Tumse Milkar Hi Yakeen Hota Hain

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Tumse milkar hi yakeen hota hain -
Koi itana bhi haseen hota hain
Tumse milkar hi yakeen hota hain

Woh samajhte nahi khamoshi ko - 2
Hum se izhaar nahi hota hain - 2
Koi itana bhi haseen hota hain
Tumse milkar hi yakeen hota hain

Tumako dekhe bhi to dekhe kaise - 2
dil kahi hosh kahi hota hain - 2
Koi itana bhi haseen hota hain
Tumse milkar hi yakeen hota hain

Ek hi baar behakati hai nazar - 2
Ishq sau baar nahi hota hai - 2
Koi itana bhi haseen hota hain
Tumse milkar hi yakeen hota hain

Zindagi Jaam Se Behlaane Chale Jaayenge

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge -
Gum sataayega to - 2 maikhane chale jaayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2

Tere maikhaane ki rounak hai hamaare dum se - 3
Tune mooh moda to - 2 deewaane chale jaaayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2

Hum samjhate hai teri aankhon ki kimat saaqi - 3
Deke kuchh hosh ke - 2 nazaraane chale jaayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2

Meri khaamoshi ne rakhha hai aaj tera bharam - 3
Kal bahot door ye - 2 afasaane chale jaayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2
Gum satayega to - 2 maikhane chale jaayenge
Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2

Zulf Ghata Bankar Lehraaye

Singer: PANKAJ UDHAS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye -
Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye aur ghazal ho jaaye
Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye

Jis deepak ko haath lagaado jalein hazaaron saal - 2 jalein hazaaron saal
Jis kutiya mein raat bitaado TajMahal ho jaaye - 2
Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye
Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye

Kitani yaadein aa jaati hain dastak diye bagair - 2 dastak diye bagair
Ab itana bhi sunaapan kya ghar jungal ho jaaye - 2
Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye
Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye

Tu aaye to pankh lagaakar ud jaati hai shaam - 2 ud jaati hai shaam
Milon lanmbi raat simatakar pal do pal ho jaaye - 2
Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye
Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye - 2

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about HUMNASHIN ...