Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film JUSTJOO

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aarjoo Justjoo Sirf Tu Tu Hi Tu

Singer: KUNAL GANJAWALA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(aarjoo, justjoo, sirf tu, tu hi tu -
tere siva kaun mera, meri tu, tu hi tu - 2) - 2
aarjoo, justjoo, sirf tu, tu hi tu

(khaabon mein, yaadon mein, dhadkan mein, saanson mein
har lamha har pal hai tu
dil jispe waara hai, jaan se jo pyaara hai
ae ??? pyaar tu) - 2
tere bina kaise rahoon, meri tu, tu hi tu - 2
aarjoo, justjoo, sirf tu, tu hi tu

(baago bahaaron mein, galiyon sitaaron mein
hai har nazaaron mein tu
jispe dil aaya hai, dil ko jo bhaaya hai
tu ik hazaaron mein tu) - 2
aur main kya kahoon, meri tu, tu hi tu - 2
aarjoo, justjoo, sirf tu, tu hi tu - 2
tere siva kaun mera, meri tu, tu hi tu - 2

Aawaara Paagal Hawa Ka Jhonka

Singer: ARNAV CHAKRAVORTY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(aawaara paagal hawa ka jhonk
yeh shaayaraana deewaana dil hai)- 2
tumhaari yaadon mein uljha baitha
hamaara dil toh deewaana dil hai
(aawaara paagal hawa ka jhonka
yeh shaayaraana deewaana dil hai) - 2

(jhatak ke julfein giraayi bijali
nazar churaake kyun ja rahe ho) - 2
(kareeb aao toh hum bhi ji le
tadap raha jo deewaana dil hai) - 2
aawaara paagal hawa ka jhonka
yeh shaayaraana deewaana dil hai

(jhukaayi palkein toh raat aayi
uthaake palkein subah bulaayi) - 2
tere ishaaron ka aisa jaadu
dhadak raha jo deewaana dil hai
(aawaara paagal hawa ka jhonka
yeh shaayaraana deewaana dil hai) - 2

(tu saamane aa didaar karloon
bharosa saanson ka kuchh nahi) - 2
(ghazal hamaari labon se chhu lo
machal raha jo deewaana dil hai) - 2
(aawaara paagal hawa ka jhonka
yeh shaayaraana deewaana dil hai) - 2

Bholi Baatein Sharam Ka Parada Maujon Ki Rawaanisi

Singer: ARNAV CHAKRAVORTY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaanisi -
mere khaabon mein aaye jaaye - 2, ladaki ek deewaanisi) - 2
bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaani si

(husn ko usake sajada karuun main, aur kisiko kya jaanu
maan liya hai usakohi sab kuchh, aur kisi ko kya maanu)- 2
kisso mein woh, usakahi charcha, baaki baat puraanisi
mere khaabon mein aaye jaaye - 2, ladaki ek deewaanisi
bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaani si

(aasmaan, jameen, chaand, taare, sabke sab hai usape fida
koi kahin us jaisa nahi hai, sabse alag woh, sabse juda) - 2
roop salona, nain kitaabi, prem ki kahaanisi
mere khaabon mein aaye jaaye - 2, ladaki ek deewaanisi
bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaani si - 2

Husn Dekhe Hai Bahot Chehare Dekhe Hai Kayi

Singer: ARNAV CHAKRAVORTY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(husn dekhe hai bahot, chehare dekhe hai kay
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha) - 2

palkon pe bund si theari, jaise gehna ho sharam ka
bolate hoto ki kanpan, (jaise gehna ho sharam ka - 2)
parada karate hai bahot, sharm karate hai kabhi
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha
husn dekhe hai bahot, chehare dekhe hai kayi
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha

teri hai chaal mein chamcham, paayaliya kya karegi
tere hai bol mein sargam, (baasuriya kya karegi - 2)
geet sunate hai bahot, gazal kehate hai kayi
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha
husn dekhe hai bahot, chehare dekhe hai kayi
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha
jism koyi jaadu ho jaise, nazare hatati hi nahi
??? julfon ki ghataaye (dil se chhatati hi nahi - 2)
roop dekhe hai bahot, rang dekhe hai kayi
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha
husn dekhe hai bahot, chehare dekhe hai kayi
koyi aisa nahi dekha, tere jaisa nahi dekha

Patta Patta Rutha Baitha

Singer: KUNAL GANJAWALA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(patta patta rutha baith
undar tak main??? tuta baitha
tujhe pukaaru aaja aaja
chhodake tu na ja na ja
yeh jameen chup, aasamaan gum??
tanaha tadapu naaja aaja) - 2

(jabse tu mujhse khafa hai
jism mein mere jaan kahaan hai) - 2
kyun yeh doori, kya majboori - 2
kyun yeh aalam bewafaa
patta patta rutha baitha
undar tak main??? tuta baitha
tujhe pukaaru aaja aaja
chhodake tu na ja na ja
yeh jameen chup, aasamaan gum??
tanaha tadapu naaja aaja

(mujhse huyi kya bhul bata de
dard-e-dil ki koyi dawa de)- 2
kaise jiyuun, kyun main jiyuun - 2
jine koyi wajah de
(patta patta rutha baitha
undar tak main??? tuta baitha
tujhe pukaaru aaja aaja
chhodake tu na ja na ja
yeh jameen chup, aasamaan gum??
tanaha tadapu naaja aaja) - 2

Raat Ki Baat Mulaakaat Woh Barsaat Ka Darr

Singer: ARNAV CHAKRAVORTY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

raat ki baat, mulaakaat, woh barsaat ka darr -
shukriya mausam-e-haalat teri baahon ka darr??
raat ki baat, mulaakaat, woh barsaat ka darr
raat ki baat

(aaj bhi yaad hai simati huyi sardi ki tarah
tera aaghosh mein aana dil mein dhadkan ki tarah) - 2
?? thikaan woh barsaat ka darr
raat ki baat, mulaakaat, woh barsaat ka darr
shukriya mausam-e-haalat teri baahon ka darr??
raat ki baat, mulaakaat, woh barsaat ka darr - 2

(daud kar aayi subah tujhko lene ke liye
bhatakati saanson ne puchcha bichhad ke kaise jiye) - 2
sulagate dard ki garmi, woh barsaat ka darr
shukriya mausam-e-haalat teri baahon ka darr??
raat ki baat, mulaakaat, woh barsaat ka darr
shukriya mausam-e-haalat teri baahon ka darr??
raat ki baat, mulaakaat, woh barsaat ka darr
raat ki baat

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about JUSTJOO ...