Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film KAVITA KRISHNAMURTHY - DIL KI AWAAZ

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Beeti Yaadein Ho Beeti Yaadein

Singer: KAVITA KRISHNAMURTHY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

beeti yaadein ho beeti yaadei
beeti yaadein haay beeti yaadein
beeti yaadei dila gaya mausam - 2
dard dil ka badha gaya mausam
beeti yaadei dila gaya mausam - 2

(jab bhi tanhaayi mein
woh yaad aaye - 2) - 2
dil mein khushiyaan - 3
saja gaya mausam
dil mein khushiyaan saja gaya mausam
dard dil ka badha gaya mausam
beeti yaadei dila gaya mausam

(aisa lagta hai
unake aane se - 2) - 2
mere aangan - 3
mein aa gaya mausam - 2
dard dil ka badha gaya mausam
beeti yaadei dila gaya mausam

kuchh kahaan maine
kuchh suna unase - 2
(saare shikave - 3
mita gaya mausam) - 2
dard dil ka badha gaya mausam
beeti yaadei dila gaya mausam
(ek teri yaad hain
meri dhadkan - 2) - 2
waqt aaya - 3
chala gaya mausam
dard dil ka badha gaya mausam - 2
beeti yaadei dila gaya mausam - 2
dard dil ka badha gaya mausam
beeti yaadei dila gaya mausam - 2

Dil Hai Viraan Haath Khaali Hai

Singer: KAVITA KRISHNAMURTHY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

dil hai viraan haath khaali hai -
(zindagi ki ek ??? hai
dil hai viraan haath khaali hai) - 2

julm ki shab gale laga mujhko - 2
roshani khatm honewaali hai
zindagi ki ek ??? hai
dil hai viraan haath khaali hai

kya huva sab jo ajanabi hai yahaan - 2
ek surat toh debhi bhali??? hai
zindagi ki ek ??? hai
dil hai viraan haath khaali hai

ek nishaani hai mausame gul ki - 2
sukhi patto ki jo daali hai
zindagi ki ek ??? hai
dil hai viraan haath khaali hai

mere ghum ka hisaab kuchh bhi nahi - 2
ehamiyat aapane badhaayi hai
(zindagi ki ek ??? hai
dil hai viraan haath khaali hai) - 2
dil hai viraan haath khaali hai
dil hai viraan...

Dil Ki Aawaaz Hoon

Singer: KAVITA KRISHNAMURTHY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

dil ki aawaaz hoon saanson mein basalo mujhko -
main kavita hoon, tarnnum mein sajaalo mujhko
dil ki aawaaz...

hoon wo khushboo jo hawaayon mein bikhar jaati hai - 2
raaj ban jaayungi sine mein chhupalo mujhko
main kavita hoon, tarnnum mein sajaalo mujhko
dil ki aawaaz...

dil ki dhadkan mujhe har baar yehi kehti hai - 2
main amaanat hoon ??? sanbhaalo mujhko
main kavita hoon, tarnnum mein sajaalo mujhko
dil ki aawaaz...

usaki dil lene ka andaaj niraala thehara - 2
??keh raha tha ke anghoti mein sajaalo mujhko
main kavita hoon, tarnnum mein sajaalo mujhko
dil ki aawaaz...

unaki khwaayish hai ki mahtaab rahein baadal mein - 2
julf kehti ki chehare se hataalo mujhko
main kavita hoon, tarnnum mein sajaalo mujhko
dil ki aawaaz...

aajamaalena meri maa ki duwaayon ka asar - 2
??khaadi ko shauk se jab chaahe bulaalo mujhko
main kavita hoon, tarnnum mein sajaalo mujhko
dil ki aawaaz...

Ishq Mein Naam Yuun Kar Gaye

Singer: KAVITA KRISHNAMURTHY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

ishq mein naam yuun kar gaye -
(jalke parwaane khud mar gaye
ishq mein naam yuun kar gaye) - 2

aap bas muskaraate rahe - 2
saare ilzaam hum par gaye??
jalke parwaane khud mar gaye
ishq mein naam yuun kar gaye

umrrbhar jo rahe badguma - 2
ro pade jab mere ghar gaye
jalke parwaane khud mar gaye
ishq mein naam yuun kar gaye

unake daaman mein khushiyaan rahe - 2
mere pehalu mein gum bhar gaye
jalke parwaane khud mar gaye
ishq mein naam yuun kar gaye

aapako thi hamaari kasam - 2
aap kyun dil se baahar gaye
(jalke parwaane khud mar gaye
ishq mein naam yuun kar gaye) - 2
ishq mein naam yuun kar gaye...

Le Deke Mugaddar Mein Tufaan Ka Sahaara Hai

Singer: KAVITA KRISHNAMURTHY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

le deke mugaddar mein, tufaan ka sahaara hai -
tuti huyi kashti hai, aur dur kinaara hai
le deke mugaddar mein, tufaan ka sahaara hai

kyun gum se pareshaan ho, wo gum bhi hamein de do - 2
wo gum bhi hamein de do
jo bhog?? tumhaara hai, wo roj hamaara hai
tuti huyi kashti hai, aur dur kinaara hai
le deke mugaddar mein, tufaan ka sahaara hai

achchha hi kiyaan tumne, muh pher liyaan hamse - 2
muh pher liyaan hamse
kuchh din se hamaara bhi gardish mein sitaara hai
tuti huyi kashti hai, aur dur kinaara hai
le deke mugaddar mein, tufaan ka sahaara hai

magroor wafa teri, barhum hai ana meri - 2
barhum hai ana meri
shayad yeh hawaa jiske aane ka ishaara hai
tuti huyi kashti hai, aur dur kinaara hai
le deke mugaddar mein, tufaan ka sahaara hai

hum mehal junoo thehare, sehara mein bhatak lete - 2
sehara mein bhatak lete
aawaaz hamein de kar, kyun tumne pukaar hai
tuti huyi kashti hai, aur dur kinaara hai
le deke mugaddar mein, tufaan ka sahaara hai - 2

Yeh Galat Hai Toh Bataayo

Singer: KAVITA KRISHNAMURTHY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai -
(tum agar khud ho kayaamat toh kayaamat kya hai
yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai) - 2

apani ashahon ke samndar mein dubo sakti hoon - 2
dil mein uthate huwe sholo ki haqiqat kya hai - 2
tum agar khud ho kayaamat toh kayaamat kya hai
yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai

aajamaane mein mujhe tumko kabaahat kya hai - 2
jaan main tumpe pe luta dungi, yeh daulat kya hai - 2
tum agar khud ho kayaamat toh kayaamat kya hai
yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai

todna ho toh bahot sochke todo dil ko - 2
kya tumhe ilm nahi ??? ki ajmad kya hai - 2
tum agar khud ho kayaamat toh kayaamat kya hai
yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai

dar-e-dil, ranj-o-alam, khuni jigar, didaayanam, dar-e-dil
dar-e-dil, ranj-o-alam, khuni jigar, didaayanam
dhundlo inmein jara maal-e-jalimat kya hai - 2
(tum agar khud ho kayaamat toh kayaamat kya hai
yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai) - 2
yeh galat hai toh bataayo ki sadaakat kya hai

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about KAVITA KRISHNAMURTHY - DIL KI AWAAZ ...