Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film KUCH DIL NE KAHA

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Mere Sone Rab Ne

Singer: UDIT NARAYAN AND ANURADHA PAUDWAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--CHORUS-
Kudiye kudiye kudiye, kudiye kudiye kudiye
Oye mundiya mundiya mundiya, mundiya mundiya mundiya

--MALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai - 2
Jaise mere sapnon se abhi abhi tu nikalke
Is duniya mein aayi hai
Mere sone rab ne kinni soni cheez banaayi hai - 2

--FEMALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai
Jaise mere sapnon se abhi abhi tu nikalke
Is duniya mein aaya hai
Mere sone rab ne tujhe mere liye banaaya hai - 2

--MALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai, haai haai
Haai, jaadu hai koi teri aankhon mein

--FEMALE--
Dil aa raha hai teri baaton mein

--MALE--
Teri bindiya ke lashkaare
Jaise din mein nikle taarein

--FEMALE--
Meri mehndi ke rang saare
Ab to hai naam tumhaare

--MALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai - 2
Mere nainon ki is doli mein
Abhi abhi tu baithke aayi hai
Mere sone rab ne kinni soni cheez banaayi hai, oye
Mere sone rab ne kinni soni cheez banaayi hai

--FEMALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai, oh oh

--CHORUS--
(Kudiye kudiye kudiye, kudiye kudiye kudiye
Oye mundiya mundiya mundiya, mundiya mundiya mundiya) - 2

--MALE--
Hoye, dekha na tumsa koi pehle kabhi

--FEMALE--
Jo bhi hai dil mein humse keh do abhi

--MALE--
Kehna sunna kya gori
Bas baandh lo preet ki dori

--FEMALE--
Jab hum raazi tum raazi
Kyoon kar raho chori chori

--MALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai
Hoye, tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai
Jaise jannat ki har ek khushboo
Tere ang ang mein samaayi hai
Mere sone rab ne kinni soni cheez banaayi hai - 2

--FEMALE--
Tujhe dekha to bas mujhe aisa lagta hai
Jaise mere sapnon se abhi abhi tu nikalke
Is duniya mein aaya hai
Mere sone rab ne tujhe mere liye banaaya hai - 2

Meri Nazar Ke Saamne

Singer: UDIT NARAYAN

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Hey hey aa ha ha ha, ho ho oh ho h
Meri nazar ke saamne aake
Chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
Haan, meri nazar ke saamne aake
Arre chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
Yaad nahin kuch iske alaava - 2
Ladki thi ya koi chhalaava - 2
Meri nazar ke saamne aake
Chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
Haan, yaad nahin kuch iske alaava
Yaad nahin kuch iske alaava
Ladki thi ya koi chhalaava - 2
Meri nazar ke saamne aake
Arre chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
La la la la la, la la la la la, la la la la la la - 2
Kaajal tujhe bana loongi, haan haan haan haan
Aankhon mein tujhe laga loongi, haan haan haan haan
Mere kadmon mein dil rakh de
Main paagal tujhe bana doongi
Uske husn ka tha yeh daava - 2
Ladki thi ya koi chhalaava - 2
Meri nazar ke saamne aake
Arre chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
Palkon mein tujhe bitha loonga, haan haan haan haan
Seene se tujhe laga loonga, haan haan haan haan
Kya reh jaayega paas tere
Main sab kuch tera chura loonga
Ho, mere ishq ka tha yeh daava
Mere ishq ka tha yeh daava
Ladki thi ya koi chhalaava - 2
Meri nazar ke saamne aake
Chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
Arre meri nazar ke saamne aake
Chhup gayi voh ek jhalak dikhaake
Haan, yaad nahin kuch iske alaava
Yaad nahin kuch iske alaava
Ladki thi ya koi chhalaava - 4

Meri Neend Chura Le

Singer: UDIT NARAYAN

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Ho ho ho, ho oh o
Oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh
Meri neend chura le, mera chain chura le - 2
Dil mein basaake mujhko le jaa
Bas dil mujhko de jaa
Ho ho ho, ho oh oh
Ho oh oh, ho oh oh, aa aa aa
Meri neend chura le, mera chain chura le
Arre meri neend chura le, mera chain chura le
Dil mein basaake mujhko le jaa
Bas dil mujhko de jaa
Ho ho ho, ho oh oh
Oh oh oh, ho oh oh, aa aa aa
Chaand se gira ek chaand ka tukda
Voh ban gaya tera sundar mukhda
Ho, chaand se gira ek chaand ka tukda
Voh ban gaya tera sundar mukhda
Dekh to peechhe mudke o chaand se mukhde waali
Arre dekh to peechhe mudke o chaand se mukhde waali
Dil mein basaake mujhko le jaa
Bas dil mujhko de jaa
Ho ho ho, ho oh oh
Ho oh oh, aa aa aa, ho oh oh
(Ho, dekh mujhe main kam to nahin hoon
Main bhi jawaan hoon, main bhi haseen hoon) - 2
Tu apne husn se chaahe mera ishq mila le - 2
Dil mein basaake mujhko le jaa
Bas dil mujhko de jaa
Ho ho ho, ho oh oh
Aa aa aa, hm mm mm, oh oh oh
Meri neend chura le, mera chain chura le
Hey meri neend chura le, mera chain chura le
Dil mein basaake mujhko le jaa
Bas dil mujhko de jaa
Ho ho ho, ho oh oh
Aa aa aa, aa aa aa, oh oh oh

Neend Aati Hai

Singer: UDIT NARAYAN

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
Neend aati hai na is dil ko qaraar aata hai
Kya karoon ae yaar mujhko tujhpe pyaar aata hai

--CHORUS--
La la la la, la la la la la, la la la la la - 2

--MALE--
Neend aati hai na is dil ko qaraar aata hai
Kya karoon ae yaar mujhko tujhpe pyaar aata hai

--CHORUS--
La la la la, la la la la la, la la la la la - 2

--MALE--
Tu nahin aayegi jab paigaam yeh aata hai - 2
Chhodke mujhko yeh dil mera chala jaata hai
Teri galiyon mein tera voh naam pukaar aata hai
Kya karoon ae yaar mujhko tujhpe pyaar aata hai

--CHORUS--
La la la la, la la la la la, la la la la la - 2

--MALE--
Khoob hasti hai, machalti hai, bahut khilti hai - 2
Ek bas mere siva sab logon se milti hai
Mere hisse mein tera bas intezaar aata hai
Kya karoon ae yaar mujhko tujhpe pyaar aata hai

--CHORUS--
La la la la, la la la la la, la la la la la - 2

--MALE--
Neend aati hai na is dil ko qaraar aata hai
Kya karoon ae yaar mujhko tujhpe pyaar aata hai

--CHORUS--
La la la la, la la la la la, la la la la la - 4

Sanu tere naal pyaar

Singer: UDIT NARAYAN

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Standing there, shadows in the hear
Hoping that it might be you, but it wasn' t anyone at all
I can still remember the way things were
If I can truly bring you back, then you won' t even say a word
I can love you more than anybody else I mean it, woh woh
I can love you more than anybody else I mean it, yaani ke
(Saanu tere naal pyaar ho gaya
Saada dil beqaraar ho gaya) - 2
Masti teri aankhon mein, jaadu teri baaton mein
Sochoon main tere baare mein, jaagoon ab to raaton mein
Arre re re re re
Masti teri aankhon mein, jaadu teri baaton mein
Sochoon main tere baare mein, jaagoon ab to raaton mein
Jaagoon ab to raaton mein, raaton mein
You don' t seem to know I love you baby - 2
Bada mushkil intezaar ho gaya
Saanu tere naal pyaar ho gaya
Ho saanu tere naal pyaar ho gaya
Saanu tere naal pyaar ho gaya
Bechaini kya hoti hai soniye tu to jaane na
Dil tera deewaana hai, meri gal na maane na
Ho ho ho
Bechaini kya hoti hai soniye tu to jaane na
Dil tera deewaana hai, meri gal na maane na
Meri gal na maane na, maane na
You don' t seem to know I love you baby - 2
Tere bin jeena dushvaar ho gaya
Saanu tere naal pyaar ho gaya
Ho saanu tere naal pyaar ho gaya
Saanu tere naal pyaar ho gaya
Standing there, shadows in the heart
Hoping that it might be you, but it wasn' t anyone at all
I can still remember the way things were
If I can truly bring you back, then you won' t even say a word
I can love you more than anybody else I mean it, woh woh
I can love you more than anybody else I mean it, yaani ke
(Saanu tere naal pyaar ho gaya
Saada dil beqaraar ho gaya) - 4

[Contributed by: Unknown]

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about KUCH DIL NE KAHA ...