Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film LIBAAS

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Khaamosh Sa Afsaana

Singer: LATA MANGESHKAR AND SURESH WADKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Da da da da di da da, da da da da di da da -

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota - 2
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
La la la la, la la la la
Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega - 2
Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega
Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai - 2
Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai
Tumne koi, oh, deep jalaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya - 2
Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya
Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Sili Hawa Chhoo Gayi

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Sili Hawa Chhoo Gayi, Sila Badan Chhil Gaya -
Neeli Nadi Ke Pare, Pila Sa Chaand Khil Gaya
Sili Hawa Chhoo Gayi, Sila Badan Chhil Gaya
Tumse Mili Jo Zindagi, Humne Abhi Boyi Nahin - 2
Tere Siva Koi Na Tha, Tere Siva Koi Nahin
Sili Hawa Chhoo Gayi, Sila Badan Chhil Gaya
Oh, Aah
Jaane Kahan Kaise Shaher Leke Chala Yeh Dil Mujhe - 2
Tere Bagair Din Na Jala, Tere Bagair Shab Na Bujhe
Sili Hawa Chhoo Gayi, Sila Badan Chhil Gaya
Jitne Bhi Tai Karte Gaye, Badhte Gaye Yeh Faasle - 2
Milon Se Din Chhod Aaye, Saalon Se Raat Leke Chale
Sili Hawa Chhoo Gayi, Sila Badan Chhil Gaya
Neeli Nadi Ke Pare, Pila Sa Chaand Khil Gaya
La La La La La La La, La La La La La La La

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about LIBAAS ...