Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film MAINE PYAAR KIYA

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aaja Shaam Hone Aayi

Singer: LATA MANGESHKAR & S.P.BALASUBRAHMANYAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
Tu chal main aayi

Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
No no
Tu chal main aayi

Baja kya hai dekho zara tum ghadi
Guzar jaaye na prem ki ye ghadi
Baja kya hai dekho zara tum ghadi
Guzar jaaye na prem ki ye ghadi
Aati hoon thoda sa dheeraj dharo
Laga doongi main prem ki phir jhadi
Utni hi door hai tu jitni kareeb hai
Tere mere pyaar ka kissa ajeeb hai
Dhat tere ki
Ab to jaan pe ban aayi
Ye hai pyaar ki gehraai
Ab to jaan pe ban aayi
Ye hai pyaar ki gehraai
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
My God
Tu chal main aayi
Come soon yaar

Bahut ho chuki hai teri dillagi
Chali aao ab shaam dhalne lagi
Hey bahut ho chuki hai teri dillagi
Chali aao ab shaam dhalne lagi
Mere dil mein kitni umangein bhari
Tumhein main batati hoon aakar abhi
Haan ha mera jaadu chal gaya tera chehra khil gaya
Peechhe peechhe main chali aage aage tu chala
Dhat tere ki
To kar do sabko tum goodbye
Maine pyaar kiya main aayi
Kar do sabko tum goodbye
Maine pyaar kiya main aayi
To kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
Make it fast
Tu chal main aayi
Oh come on.

Dil Deewana (duet)

Singer: LATA MANGESHKAR & S.P.BALASUBRAHMANYAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil deewana bin sajna k
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dhak dhak bole it ut dole
Din raina
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na .

Dil Deewana (female)

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil deewana bin sajna k
Maane na
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dhak dhak bole it ut dole
Din raina
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Duniya maange apni muraadein main to maangoon saajan
Duniya maange apni muraadein main to maangoon saajan
Rahe salaamat mera sajna aur sajna ka aangan
Iske siva dil rab se kuchh bhi chaahe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Jee ye chaahe banake aanchal tumko lapetoon tan pe
Jee ye chaahe banake aanchal tumko lapetoon tan pe
Kabhi ye sochoon main ud jaoon tumko liye gagan pe
Aur bhi kuchh hain dil ke iraade kya kehna
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na .

Dil Deewana (male)

Singer: S.P.BALASUBRAHMANYAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil deewana bin sajna k
Maane na
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dhak dhak bole it ut dole
Din raina
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dard judaai kya hota hai tum jaano main jaanoon
ho ho ho ho ho
Dard judaai kya hota hai tum jaano main jaanoon
Pyaar bulaaye duniya roke kiska kehna maanoon
Tumse mile bin dil ko kuchh bhi soojhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

oh ho ho ho ho
oh ho ho ho ho
Banke lahoo nas nas mein mohabbat daude aur pukaare
ho ho ho ho ho
Banke lahoo nas nas mein mohabbat daude aur pukaare
Pyaar mein sab kuchh haar diya par himmat kaise haarein
Keh do duniya dil ka rasta roke na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na

Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na .

Kabootar Ja Ja Ja

Singer: LATA MANGESHKAR & S.P.BALASUBRAHMANYAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Ja ja
Ja ja
Ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Pehle pyaar ki pehli chitthi
O o pehle pyaar ki pehli chitthi saajan ko de aa
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja

Unse kehna jabse gaye tum main to adhuri lagti hoon
In honthon pe chup si lagi hai na roti na hansti hoon
Bhool hui jo unhein sataaya
O O bhool hui jo unhein sataaya aisa paap kiya
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Ja ja

Mann hi mann mein unko apna sab kuchh maan chuki hoon main
Vo kya hain main kaun hoon unki ab ye jaan chuki hoon main
Unko apne saath hi laana
O o unko apne saath hi laana dil hi nahin lagta
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Ja ja

Oh oh....
Yahan ka mausam bada haseen hai phir bhi pyaar udaas hai
Unse kehna door sahi main dil to unhi ke paas hai
Tu ye sandesa unko sunaana
O o tu ye sandesa unko sunaana main peechhe aaya
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja
Kabootar ja ja ja

Ah aah....
Jahaan bhi dekhoon tum hi tum ho aur nazar na kuchh aaye
Dil ye chaahe is aalam mein kaash zamaana ruk jaaye
Aaj se pehle kabhi nahin thi
Aaj se pehle kabhi nahin thi itni haseen duniya

Kahe Tohse Sajna

Singer: SHARDA SINHA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Kahe tohse sajn
Kahe tohse sajna
Ye tori sajaniya
Pagh paghliye jaaon tohri balaiyaan main
Pagh paghliye jaaon tohri balaiyaan
Magan apni dhun mein rahe more sainya
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan

Badariya se barsoon ghata banke chhaaoon
Badariya se barsoon ghata banke chhaaoon
Badariya se barsoon ghata banke chhaaoon
Jiya tohe chaahe tohe ang lagaoon
Laaj nigodi mori roke hai paiyaan
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan main
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan

Main jag ki koi reet na jaanu
Main jag ki koi
O main jag ki koi reet na jaanu
Maang ka tohe sindoor maanu
Tu hi choodiyaan mori tu hi kalaiyaan
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan main
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan

Mohe laage pyaare sabhi rang piya re
Mohe laage pyaare
Mohe laage pyaare sabhi rang piya re
Dukh sukh mein har pal rahoon sang piya re
Dardava ko baateumar larkaiyaan
O pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan

Kahe tohse sajna
Ye tori sajaniya
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan main
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan
Pagh paghliye jaoon tohri balaiyaan

Maine Pyaar Kiya

Singer: LATA MANGESHKAR & S.P.BALASUBRAHMANYAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil deke darde mohabbat liya ha
Soch samajh ke ye sauda kiya hai
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..

Dil deke darde mohabbat liya hai
Soch samajh ke ye sauda kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..

Pehle pahal jab usay maine dekha
Vo ban gayi meri kismat ki rekha
Khabar kya thi ye baat itni badhegi
Mohaabat mein mahnat bhi karni padegi
Dilwaale mahnat se darte nahin hai
Darte hain vo pyaar karte nahin hai
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..

Duniya ki daulat thukra chuka hoon
Zulfon ki chhaaon mein aakar ruka hoon
Ye chhaaon meri hai meri rahegi
Jo main kahoonga vo duniya kahegi
Ye chaand sooraj bhi chhodein chamakna
Mushkil hain mere iraade badalna
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..

Main teri dil tera ye jaan teri
Tera mohabbat hai pehchaan meri
Main aaj kehti hoon ye sabke aage
Ek din main keh doongi ye rab ke aage
Tujhko hi bigde banana padega
Bichhde huey dil milana padega
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O ..
Dil deke darde mohabbat liya hai
Soch samajh ke ye sauda kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about MAINE PYAAR KIYA ...