Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film MALHAAR

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Bade Aarmano se rakha hai sanam teri kasam

Singer: MUKESH, LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Bade Aarmano se rakha hai sanam teri kasa
O Balam teri kasam
pyaar ki duniya mein yeh pehla kadam
Ho, pehla kadam
Juda naa kar sakenge humko jamane ke sitam
Ho, Jamane ke sitam
Pyaar ki duniya mein yeh pehla kadam
Ho, pehla kadam

Le utha pyaar bhi angdaai hai, dil bhi jaha
Aaji, aase mein layi jate ho tum bolo kaha
Door duniya ki nigahoo se kahi jayenge hum
Pyaar ki duniya mein yeh pehla kadam
Ho, pehla kadam

Teri do aakhoon mein dikhte hai mujhe dono jahan
Innhi mein kho gaya dil mera kaho dhoondu kahan
Chaand ghatha ho ghate apni mohabbat na ho kaam
Pyaar ki duniya mein yeh pehla kadam
Ho, pehla kadam

Meri naiya ko kinare ka intazaar nahi
Tera aanchal ho to patwaar bhi darkaar nahi
Tere hote hue kyon ho mujhe toofan ka gam
Pyaar ki duniya mein yeh pehla kadam
Ho, pehla kadam

Dil Tujhe Diyaa Thaa

Singer: MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

dil tujhe diyaa thaa rakhane k
tu ne dil ko jalaa ke rakh diyaa
kisamat ne de ke pyaar mujhe
meraa dil tadapaa ke rakh diyaa
dil tujhe diyaa thaa

bhanware ke labon par fariyaaden
kaliyon ke labon par muskaanen
bhanware ka kaleja kaliyon mein
haaye ! kis ne chhupaa ke rakh diyaa
kisamat ne de ke pyaar mujhe
meraa dil tadapaa ke rakh diyaa
dil tujhe diyaa thaa

jis dard se duniyaaa darati hai
jis ghum se kinaara karati hai
teri nazar ne mere mein
woh dard chhupa ke rakh diyaa
kisamat ne de ke pyaar mujhe
meraa dil tadapaa ke rakh diyaa
dil tujhe diyaa thaa

jab dil mein tumhe basaayaa tha
aasha kaa deep jalaayaa tha
taqdeer ke ek hi jhonke ne
woh deep bujha ke rakh diyaa
kisamat ne de ke pyaar mujhe
meraa dil tadapaa ke rakh diyaa
dil tujhe diyaa thaa

Posted by: p u r n i m a

Ek Baar Agar Tu Kahe De

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

ek baar agar tu kahe de-
tu hai meri ke mein hun teraa
lata:
ham do albele panchhi-2
ham donon ka ek basera

lata:
do dil dhadke hai,chounk uthi hai jawaaniyaan
mukesh: kuchh kaha hai nigahon ne, chhed ke pyaar ki kahaaniyaan-2
lata:
mera dil hi nahin hai mere bas mein-2
ye kis ne jaadoo phera, kaho ji ye kis ne jaadoo phera
ham donon ka ek basera

mukesh:
aa jaaye na kahin ham-tum kisi ki nigahon mein
lata:
sang sang hi chale ham zindagi ki rahon mein-2
mukesh:
tujhe chheen na le koi mujh se - 2
ye jag hai bada lootera, suno ji ye jag hai bada lootera

both:
ham donon ka ek basera….

lata:
dekho aaee hai sitaaron ki timtimaati ye toliyaan
mukesh: chalo in ki chhaon mein ham khele aankh micholiyaan

both:
chalo in ki chhaon mein ham khele aankh micholiyaan
tute na kabhi jeevan bhar - 2
ye bandhan tera mera, o ho ji ye bandhan tera mera
ham donon ka ek basera

lata:
ek baar agar tu kahe de - 2
mukesh:
tu hai meri ke mein hun tera

Hota Raha Yunhi Agar

Singer: MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

hota raha yunhi agar anjaam wafaa k
legaa na zamaane mein koi naam wafaa ka

sindoor ki laali hai kisi ke suhaag mein
jeete jee jal rahaa hai koi ghum ki aag mein
is ke siwaa hogaa bhi kyaa anjaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi

jaa kar nahin aanaa jise kyon dekhen wo mudake
milate nahin humraahi doraahe pe beechhad ke
maalum hai hotaa hai jo anjaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi

kasame nahin nibhati, dhare rahe jaate hai waa' de
ye ret ki deewaar hai jo chahe giraa de
sou kaam jafaaon ke hai, ek kaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi

Posted by: p u r n i m a

Kahaan Ho Tum Zaraa Aawaaz Do

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

lata
kahaan ho tum zaraa aawaaz do, hum yaad karate hai
kabhi bharate hai aanhe, aur kabhi fariyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

lata:
judaa bul-bul hai apane phool se, aur ro ke kaheti hai- 2
ari duniyaa kiyaa who zulm, jo saiyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

mukesh:
jaha hai aur ab jis haal mein hai, hum tumhaare hai- 2
tumhi aabaad ho dil mein, tumhi ko yaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

lata:
humaari bebasi ye hai ke hum kuchh kahe nahin sakate- 2
wafa badnaam hoti hai, agar fariyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

mukesh:
tere qadamon mein rahene ki tamanna, dil mein rakhate hai- 2
judaa duniyaa ne hum ko kar diya, fariyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

Posted by: p u r n i m a

Muhobbat Ki Kisamat

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

muhobbat ki kisamat banaa ne se pahel
zamaane ke maalik tu royaa to hoga, royaa to hoga
muhobbat pe yeh zulm dhaane se pahele
zamaane ke maalik tu royaa to hoga, royaa to hoga

tujhe bhi kisi se agar pyaar hota
agar pyaar hota
humaari taraha tu bhi kisamat pe rota
kisamat ko rota
yeh ashkon ke mele lagaane se pahele
zamaane ke maalik tu royaa to hoga, royaa to hoga
muhobbat ki kisamat

mere haal par ye jo hanste hai taare
hansate hai taare
ye taare hai teri hansi ke ishaare
hansi ke ishaare
hansi mere ghum ki udaane se pahele
zamaane ke maalik tu royaa to hoga, royaa to hoga
muhobbat ki kisamat

muhobbat ko tu ne dilon mein basaaya
dilon mein basaaya
muhobbat ne ghum ka ye toofaan uthaaya
toofaan uthaaya
ye toofaan duniyaa mein laane se pahele
zamaane ke maalik tu royaa to hoga, royaa to hoga
muhobbat ki kisamat

Posted by: p u r n i m a

Taara Tute Duniyaa Dekhe

Singer: MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(basa li dil mein teri yaad, aansoo ponchh liy
rahe tu shaad, humaara hai kya, jiye na jiye)

tara tute, duniyaa dekhen, dekha na kisi ne dil tut gaya
dekha na kisi ne dil tut gaya

kitane hi taare tute, hoga na kabhi andhiyaara
aasmaan par bahot hai taare, dil tha ek humaara
dil tha ek humaara
tut na jaaye kyun dil us ka, saathi jis ka chhut gaya
dekha na kisi ne dil tut gaya
taara tute

chand ko apana daagh hai pyaara
chhupi hai koi kahaani
mein bhi chhupaaye hun, seene mein, kisi ki ek nishaani
kisi ki ek nishaani
kaise manaaon, aansoo apane, bhaag hi mujh se rooth gaya
dekha na kisi ne dil tut gaya
taara tute

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about MALHAAR ...