Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film NAGHMA -1953

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aye Mere Majboor Dil

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aye mere majboor dil, ho naa bahut beqaraa
yun naa tadap raat-din, yun naa machal baar baar
aye mere majboor dil

phir wohi din aayenge
phir wohi din aayenge, woh mere ho jaayenge
woh mere ho jaayenge
tujhako yakeen ho to ho, mujhako nahin aitabaar
aye mere majboor dil

zindagi barbaad ho
zindagi barbaad ho, lab pe naa fariyaad ho
lab pe naa fariyaad ho
hai to ye mushkil, magar jaise guzare goozaar
aye mere majboor dil

chain kahan paayenge
chain kahan paayenge, tadape chale jaayenge
tadape chale jaayenge
dard pe kaboo nahin, un pe nahin ikhtiyaar
aye mere majboor dil

Posted by: p u r n i m a

Badi Mushkil Se

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

badi mushkil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
badi mushkil se
badi mushkil se dil ki beqaraari ko qaraar aayaa
ke jis zaleem ne tadapaayaa, us hi par mujhko pyaar aayaa
badi mushkil se
badi mushkil se dil ki beqaraari ko qaraar aayaa
badi mushkil se

iraade chhutane waale naa armaan tutane waale - 2
mujhe tujh par yakeen hai aye meraa dil lootane waale - 2
mujhe meri muhabbat
mujhe meri muhabbat kaa na ab tak aitabaar aayaa
badi mushkil se
badi mushkil se dil ki beqaraari ko qaraar aayaa
badi mushkil se

muhabbat raaz hai ye raaz baton mein na khul jaaye - 2
bahot rokaa, bahot chaaha na lab par dil ki baat aaye - 2
magar phir bhi tumhaaraa
magar phir bhi tumhaaraa naam, lab par baar baar aayaa

Posted by: p u r n i m a

Kahe Jaadoo Kiya

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kaahe jaadoo kiya..a..a..a.
kaahe jaadoo kiya mujhko itana bata jaadoogar baalama
ho..o.. jaadoogar baalama - 2
mujhko apni khabar hai naa dil kaa pataa, jaadoogar baalama
ho..o.. jaadoogar baalama - 2

kyon nazar se na ab tak nazar mil saki
ho..o.. na nazar mil saki
dil ke parde hi parde mein bijali giri
aisi bijali giri
hosh udane lage , toor jalne lagaa, jaadoogar baalamaa
ho..o.. jaadoogar baalama - 2

phir wohi dhun suna, phir wohi geet gaa
ho..o..o.. phir wohi geet gaa
aisaa naghamaa thaa seene se dil kheench gayaa
haaye dil kheench gayaa
mujhko tadapaa ne waale ho tera bhala, jaadoogar baalma
ho..o.. jaadoogar baalama - 2

Posted by: p u r n i m a

Kaheta Hai ye Dil

Singer: PREMLATA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kahetaa hai ye di
kahetaa hai ye dil, chal un se mil
uthate hai qadam ruk jaate hai - 2
dil ham ko kabhi samajhaataa hai
ham dil ko kabhi samajhaate hai - 2

dil aa gayaa un par, preet huee
yeh haar huee ke jeet huee
who jaan ke dhokaa dete hai
ham jaan ke dhokaa khaate hai - 2

seene mein khatak si baaqi hai
milne main jhijhak si baaqi hai
nazaron ko bhi laaj aati hai
armaan abhi sharamaate hai - 2

kahetaa hai ye dil, chal un se mil
uthate hai qadam ruk jaate hai - 2

baheki hai nazar, betaab hai dil
berang hai, har rangeen mehafil
kyaa pyaar ki paheli manzil mein
aise bhi zamaane aate hai - 2

kahetaa hai ye dil, chal un se mil
uthate hai qadam ruk jaate hai - 2

Posted by: p u r n i m a

Teer Chalaa Teer Chalaa

Singer: TALAT MAHMOOD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

teer chalaa, teer chala

O teer chalaane waale zaraa
aa saamne aa kar teer chalaa
teer chalaa, teer chalaa
tu ne mujhe chhup kar loot liyaa
aa saamne aa kar teer chalaa
teer chalaa, teer chalaa…………

dil toDane waale khouf naa khaa
soorat to deekhaa, nazaren to milaa
ham bhi hai tere, dil bhi hai teraa
aa saamne aa kar teer chalaa
teer chalaa, teer chalaa…………..

mein aur kahin, tu aur kahin
ulfat ka to yeh dastoor nahin
phir bhi tujhe dil detaa hai duaa
aa saamne aa kar teer chalaa
teer chalaa, teer chalaa…………..

Posted by: p u r n i m a

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about NAGHMA -1953 ...