Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film NAYA AADMI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Garibo Ka Pasina

Singer: RAFI.

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

gareebon ka paseena bah raha hai -2
ye paani bahate-bahate kah raha hai -2
kabhi vo din bhi aayega ye paani rang laayega -2
gareebon ka paseena ...

ye boonden dekh lena ek din toofaan laayengi
zameen to hai zameen ye aasmaan ko bhi hilaayengi
gareebon ke gharon tak chal ke khud bhagwan aayega
ye paani rang laayega ...

sitam ka hadh se badh jaana tabaahi ki nishaani hai
badalte hain sabhi ke din puraani ye kahaani hai
zamaana ek din girte huon ko uthaayega
ye paani rang laayega ...

agar jal kar kisi majboor ne fariyaad kar daali
to kudarat ke kazaane dekhana ho jaayenge khaali
zameen phat jaayegi suraj ka gola toot jaayega
kabhi vo din bhi aayega ...

Laut Gaya Gam Ka

Singer: HEMANT KUMAR, LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

he: a a a a
la: a a a a

la: laut gaya gam ka zamaana
aai khushi lehraati
laut gaya gam ka zamaana
he: laut gaya gam ka zamaana
aai khushi lehraati
laut gaya gam ka zamaana

he: duur gagan mein dekho chamke
aashaaon ke taare aashaaon ke taare
jhilmil pyaare pyaare
la: badli mein chhupkar taaron ke sang
chanda kare ishaare chanda kare ishaare
do: kiski lagan me aaj pavan hain
baagon mein ithalaati

laut gaya gam ka zamaana
aai khushi lehraati
laut gaya gam ka zamaana

la: raat nayi har baat nayi hain
naya naya hai zamaana
kaisa sama suhaana
kaisa sama suhaana
he: gaaye chandaniya dheere dheere
preet bhara afsaana
preet bhara afsaana
la: aaj mere chote se man mein
aasha hai muskaati

do: laut gaya gam ka zamaana
aai khushi lehraati
laut gaya gam ka zamaana

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about NAYA AADMI ...