Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film PRAJAKTA SHUKRE - DHAKKA

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Gajab Huwa... Raama Ho Gajab Huwa

Singer: PRAJAKTA SHUKRE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

[(raama ho gajab huw
jo bhi ho ajab huwa) - 2
wo paththar dil bhi pighalhi gaya] - 2
raama ho gajab huwa

pehle toh naa re naa
phir bola haan re haan
jaise jhulein hai jhula, woh jhula tha
bas khud pe thi nazar
tha humse bekhabar
apanehi mastiyon mein woh dola tha
phir humsehi takara gaya
(raama ho gajab huwa
jo bhi ho ajab huwa) - 2
wo paththar dil bhi pighalhi gaya
pighalhi gaya - 2

aankhon ki chhor se
haan tujhko gaur se
dekha karein tujhe hum saari umar
palkon ke dor se baandhenge jor se
jaane denge na tujhe saari umar
yeh hamane iraada kiya
(raama ho gajab huwa
jo bhi ho ajab huwa) - 2
wo paththar dil bhi pighalhi gaya
raama ho gajab huwa
pighalhi gaya - 2

Jaana Jindagi Se Na Jaana

Singer: PRAJAKTA SHUKRE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

jaana jindagi se na jaan
pyaar ka yeh khajaana
loot na jaaye kahi
jaana hum rahenge tumhaare
hai jab tak sitaare
hai jab tak jami

duniya saari dekar le lu main ek tera pyaar, yeh pyaar
saathi ho jo tere jaisa kya karana sansaar, sansaar
jami hai kya, jo tu kahe main chaand pe tere saath chaloon
jaana jindagi se na jaana
pyaar ka yeh khajaana
loot na jaaye kahi
jaana hum rahenge tumhaare
hai jab tak sitaare
hai jab tak jami

mere jivan mein hai tere geeto ki jhankaar, jhankaar
tere sang main angaaro par chalne ko taiyaaar, taiyaar
tum dur ho, hazaar hum???, tum paas ho toh mujhe har khushi
jaana jindagi se na jaana
pyaar ka yeh khajaana
loot na jaaye kahi
jaana hum rahenge tumhaare
hai jab tak sitaare
hai jab tak jami
jaana ho jaana....
jaana

Kuchh Toh Kaho Chup Na Raho

Singer: PRAJAKTA SHUKRE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(Kuchh Toh Kaho Chup Na Rah
Dil Ko Jara Kehne Toh Do) - 2
Mit Jaayengi Khaamoshiyaan
Dil Ki Sada Sunne Toh Do
Kuchh Toh Kaho Chup Na Raho
Dil Ko Jara Kehne Toh Do

Tum Chaandani Ka Aanchal Saja Do
Saja Dunga
Palkon Pe Meri Kaajal Saja Do
Saja Dunga
Dhadkan Ke Ghungaroo Behake Hai Tumse
Chaahat Se Apani Har Pal Saja Do
Saja Dunga
Behke Huye Yeh Pal Jo Hai
Inko Jara Rukne Toh Do
Kuchh Toh Kaho Chup Na Raho
Dil Ko Jara Kehne Toh Do


Tumhe Jaan Banaakar Main Dil Mein Basa Loon
Basa Lo Na
Labon Se Tumhaari Main Shabnam Churaa Loon
Chura Lo Na
Armaan Dil Ke Yeh Kehne Lage Hai
Tumhe Aaj Apani Main Dulhan Bana Loon
Bana Lo Na
Abb Tak Mohabbat Ka Dariya Thama Tha
Usako Jara Behne To Do
Kuchh Toh Kaho Chup Na Raho
Dil Ko Jara Kehne Toh Do
Mit Jaayengi Khaamoshiyaan
Dil Ki Sada Sunne Toh Do
Kuchh Toh Kaho Chup Na Raho
Dil Ko Jara Kehne Toh Do

Kya Haal Hai... O Sharaabi Kya Haal Hai

Singer: PRAJAKTA SHUKRE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

o sharaabi, o sharaabi, o sharaabi kya haal ha
dekh ke mere gaal gulaabi, o sharaabi behaal hai
arre meri nigaahein, yeh meri adaayein turangi jaan lein
o sharaabi, o sharaabi, o sharaabi kya haal hai

sheesha sheeshe mein hain nasha sharaabo ka - 2
arre ho hum mein toh hai nashaa ji mast jawaani ka
o sharaabi, o sharaabi, o sharaabi kya haal hai
dekh ke mere gaal gulaabi, o sharaabi behaal hai

yaara aankhon ke pi bhale paimaane tu - 2
aare ho phir bhi pyaasa rahega bekhudi mein tu
o sharaabi, o sharaabi, o sharaabi kya haal hai
dekh ke mere gaal gulaabi, o sharaabi behaal hai
arre meri nigaahein, yeh meri adaayein turangi jaan lein
o sharaabi, o sharaabi, o sharaabi kya haal hai
dekh ke mere gaal gulaabi, o sharaabi behaal hai

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about PRAJAKTA SHUKRE - DHAKKA ...