Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film PURAB AUR PACHHIM

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Dulhan chali

Singer: MAHENDRA KAPOOR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Purab mein, suraj ne chhedi, jab kirno ki shehnaa
Chamak uthha sindoor gagan pe, pachchim tak laali chhaayi

Chorus: Hmm…hmm…

Dulhan chali, haan pahen chali,
Ho re dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli

Chorus: Dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli

Chorus: Aa…ho…

Taaj-mahal jaisi taaza hai surat
Chalti phirti ajanta ki murat
Mel milaap ki mehandi rachaaye…balidaanon ki rangoli
Dulhan chali

Chorus: Ho pahen chali teen rang ki choli

Chorus: Ho…

Aur sajegi abhi aur sawregi
Chadhhti umariya hai aur nikhregi
Apni aazaadi ki dulhaniya…deep ke upar holi
Dulhan chali

Chorus: Ho pahen chali teen rang ki choli

Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Dulhan chali

Chorus: Ho pahen chali teen rang ki choli

Desh prem hi azaadi ki dulhaniya ka war hai
Is albeli dulhan ka sindoor suhaag amar hai
Maata hai Kasturba jaisi… baabul Gandhi jaise

Chorus: Baabul Gandhi jaise

Chaacha iske Nehru Shaastri… daren na dushman kaise

Chorus: Daren na dushman kaise

Veer Shivaaji jaise viren, Lakshmi baai behna
Lakshman jis ke bodh Bhagat Singh, uska phir kya kehna

Chorus: Uska phir kya kehna

Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga

Chorus: Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga

Aage peechhe teenon sena le ke chalen tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga

Chorus: Sena chalti hai le ke tiranga

Ho koyi hum praant ke vaasi ho koyi bhi bhaasha-bhaashi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi

Chorus: Sabse pehle hain bhaaratvaasi -4

Jab Zeero Diya Mere Bharat Ne

Singer: MAHENDRA KAPOOR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

jab ziro diyaa mere bhaarat ne, duniyaan ko tab ginatee aaye
taaron kee bhaashaa bhaarat ne, duniyaan ko pahale sikhalaayee
detaa naa dashamal bhaarat to, yoo chaand pe jaanaa mushkil thaa
dharaatee aaur chaand dooree kaa andaajaa lagaanaa mushkil thaa
sabhyataa jahaa pahaale aayee, pahale janamee hain jahaape kalaa
apanaa bhaarat wo bhaarat hai, jis ke pichhe sansaar chalaa
sansaar chalaa aaur aage badhaa, yoo aage badhaa, badhataa hee gayaa
bhagawaan kare ye aaur badhe, badhataa hee rahe aaur foole fale

hai pareet jahaa kee reet sadaa, main geet wahaa ke gaataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

kaale gore kaa bhed nahee, har dil se humaaraa naataa hai
kuchh aaur naa aataa ho hum ko, humei pyaar nibhaanaa aataa hai
jise maan chookee saaree duniyaa, main baat wahee doharataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

jeete ho kisee ne desh to kyaa, hum ne to dilon ko jeetaa hai
jahaa raam abhee tak hain nar me, naaree mein abhee tak seetaa hai
kitane paawan hain log jahaa, main neet neet sheesh zookaataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

itanee mamataa nadiyon ko bhee, jahaa maataa kah ke bulaate hai
itanaa aadar insaan to kyaa, patthar bhee pooje jaate hai
us dharatee pe maine janam liyaa, ye soch ke main itaraataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo

Koi Jab Tumhara Hridaya Tod De

Singer: MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

koee jab tumhaaraa hriaday tod d
tadapataa huaa jab koee chhod de
tab tum mere paas aanaa pirye
meraa dar khulaa hai, khulaa hee rahegaa, tumhaare liye

abhee tum ko meree jarurat nahee, bahot chaahanewaale mil jaayenge
abhee rup kaa yek saagar ho tum kanwal jitane chaahogee khil jaayenge
darpan tumhe jab daraane lage, jawaanee bhee daaman chhoodaane lage
tab tum mere paas aanaa pirye
meraa sar zukaa hai, zukaa hain rahegaa, tumhaare liye

koee sharta hotee naheen pyaar me, magar pyaar sharton pe tum ne kiyaa
najar mein sitaare jo chamake jaraa, buzaane lagee aaratee kaa diyaa
jab apanee najar mein hee girane lago, andhero mein apane hee ghirane lago
tab tum mere paas aanaa pirye
ye deepak jalaa hai, jalaa hee rahegaa tumhaare liye

Purwaa Suhani Aayi Re

Singer: LATA MANGESHKAR, MAHENDRA KAPOOR, MANHAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kahi na aaisi subahaa dekh
aa..
jaise baalak ki muskaan
laakh durr kahi ??
aa halki si murli ki taan
gurubaani gurudwaare
toh masjid se uth ti aadaa
aatma aur parmatma mile jahaa
yahi hai woh sthaan

dholi dhol bajana
taal se taal milana
dholi dhola - 2 dholi dhol baajana
ta ta thaiyya tak tak thaiyya
taal se taal milana

purwaa suhaani aayi re purwaa - 2
husno ki raani aayi re purwaa
mere ruke nahi paanv naach utha sara gaanv
preet pe jawani chhayi re purwaa
purwa suhaani aayi re purwaa

mausam ka musaafir khada raste mein
na na..
o o mausam ka musaafir khada raste mein
uske haathon sab kuchh luta saste mein
chhoti si umariya hai lanmbi si dagariya re
jeevan hai parchhai re purwaa
purwaa suhaani aayi re purwaa
hoi dholi dhol bajana bajana
hoi taal se taal milana milana

kar le kar bhi le pyar ki pooja
na..
kar le kar bhi le pyar ki pooja
pyar ke rang pe chadhe na rang duja
kya yeh koi sapana hai mere liye apana hai
baat meri ban aayi re
purwaa suhaani aayi re purwaa

ho meera si deewani re naachi mastaani
meera si deewani re naachi mastaani
tu toh pehkar gam toh aankhon mein opaani
ghungharu deewane hue
rishte purane hue
geet mein kahani gaayi re purwa
purwaa suhaani aayi re purwaa
purwaa suhaani aayi re purwaa - 2
husno ki raani aayi re purwaa
mere ruke nahi paanv naach utha sara gaanv
preet pe jawani chhayi re purwaa
purwa suhaani aayi re purwaa

hoi dholi dhol bajana bajana
hoi taal se taal milana milana
dholi dhol bajana
taal se taal milana

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about PURAB AUR PACHHIM ...