Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Apni Yaadon Ko

Singer: SHAAN

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
Hmm, apni yaadon ko chhod na jaana
Apne vaadon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana
Apni yaadon ko chhod na jaana
Apne vaadon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana

Jaise tune toda mera dil, tera dil tootega - 2
Tere haathon se bhi kisi ka daaman chhootega
Yaad rakhna, o bekadar, bekhabar bewafa
Mm hmm hmm hmm
Hmm, saari rasmon ko chhod na jaana
Apni kasmon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana

Hmm, mere baad ab kisko barbaad karegi
Mere baad ab kisko barbaad karegi
Meri tarah tu bhi ek din faryaad karegi
Yaad rakhna, o beadab, besamajh beimaan
Mm hmm hmm hmm
Haan, aise apnon ko chhod na jaana
Mere sapnon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana
Apni yaadon ko chhod na jaana
Apne vaadon ko tod no jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana

Chaand ho ya na ho

Singer: SONU NIGAM AND ALKA YAGNIK

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--FEMALE-
(Chaand ho ya na ho, chaandni raat hai
Main tere saath hoon, tu mere saath hai) - 2

--MALE--
Aur kuch ho na ho, ek hi baat hai
Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

--FEMALE--
(Kaisa yeh mausam o saajan hai
Baadal hai koi na saawan hai) - 2
Lag raha hai magar aaj barsaat hai
Main tere saath hoon, tu mere saath hai

--MALE--
Mm, aur kuch ho na ho, ek hi baat hai
Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

(Pyaar ke kachche dhaage ki is dor se
Ek duje ko chal baandh le zor se) - 2
Apne armaanon ki aaj baaraat hai
Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

--FEMALE--
Chaand ho ya na ho, chaandni raat hai
Main tere saath hoon, tu mere saath hai

--MALE--
Aa, khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

--FEMALE--
(Aa aa aa, aa ha ha, aa ha aa aa aa aa)

Main bewafa, main bekadar

Singer: KUMAR SANU

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(Main bewafa, main bekadar, maine tera dil tod
Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar
Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar) - 2

Duniya ke sab aashiqon ki todi hai sab maine rasme - 2
Beche hai sab apne vaade, bechi hai sab apni kasme
Bechi hai sab apni kasme
Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda
Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar
Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar

Yeh pyaar ishq aur mohabbat kya hai yeh ab maine jaana - 2
Vaapas magar kaise aaye guzra hua voh zamaana
Guzra hua voh zamaana
Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda
Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar
Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar

Pyaar Ishq Aur Mohabbat

Singer: UDIT NARAYAN AND ALKA YAGNIK

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le
Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le
Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2

Humko bhi rog yeh lag jaaye agar
Aisa ho to ho kya, aisa kyoon ho magar
Jisne bhi yeh dil diya, jisne bhi yeh gham liya
Kuch na poochho uski baatein
Lambi lambi kaali raatein
Uski aankhon se neend rukhsat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2

--FEMALE--
Is jagaa hum mile phool dil mein khile
Kya khabar, kya pataa hum mein tum mein ho kya
Baaton baaton mein kabhi, aankhon aakhon mein kabhi
Chaar din ki dosti mein
Ek zara si dillagi mein
Bas kisi ek din sharaarat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le
Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai

--BOTH--
Pyaar ishq aur mohabbat - 2

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT ...