Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film PYAAR TUNE KYA KIYA

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Ku ku ku, ku ku ku

Singer: SONU NIGAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Ku ku ku, ku ku ku, subahaa subahaa koyal bol
Ku ku ku, ku ku ku, sunke saari duniya jaage
Tum bhi jaago, bhaago bhaago
Looto haseen in nazaaron ko jhat se
Ramaiyyo, Krishnaiyyo, dhoop bhi aayi milne ko
Chhodo re susti ko, mast hoke ghar se niklo
Zindagi hai khoobsurat, iska hai kya mol, yaaron zara samjho

Baadalon se bani yeh kiski chhavi
Lag rahi hai mujhe koi ladki haseen
Saat rangon ki odhke chunar yeh nayi
Hai chali re chali yeh kahan ko chali
Uchhal kood karti yeh hawa, peechha karti hai uska
Sar sar sar sar kehti hai, kya hoga matlab iska
Isse jaano, pehchaano, ho jaaoge pal mein fidaa
Ku ku ku, ku ku ku, subahaa subahaa koyal bole
Ku ku ku, ku ku ku, sunke saari duniya jaage
Tum bhi jaago, bhaago bhaago
Looto haseen in nazaaron ko jhat se

Hey eh, eh eh eh eh, eh eh eh eh
Haiyya ho, haiyya ho, haiyya ho

Sab tere hai yahan tu dekh pyaar se
Har khushi hai yahan pe ekta taar se
Voh bhi to hai yahin pe, chaahoon main jisse
Voh chhipi hai milegi ek din mujhe
Jaag jaag kar yeh taarein kisko takte rehte hai
Parvat pe behte jharnein kisse milne tarse hai
Isse jaano, pehchaano, ho jaaoge pal mein fidaa
Ku ku ku, ku ku ku, subahaa subahaa koyal bole
Ku ku ku, ku ku ku, sunke saari duniya jaage
Tum bhi jaago, bhaago bhaago
Looto haseen in nazaaron ko jhat se

Ay, Ramaiyyo, Krishnaiyyo, dhoop bhi aayi milne ko
Chhodo re susti ko, mast hoke ghar se niklo
Zindagi hai khoobsurat, iska hai kya mol, yaaron zara samjho

Hey eh, eh eh eh eh, eh eh eh eh
Haiyya ho, haiyya ho, haiyya ho

Pyaar Tune Kya Kiya

Singer: SONU NIGAM AND ALKA YAGNIK

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--FEMALE-
Pyaar tune kya kiya, mm hmm mm mm kya kiya
Ek hi pal mein achaanak
Pyaar tune kya kiya, ae pyaar tune kya kiya
Ek hi pal mein achaanak di hai nayi duniya
Di hai nayi khushiyaa

--MALE--
Pyaar tune kya kiya, ae pyaar tune kya kiya
Ek hi pal mein achaanak di hai nayi duniya
Di hai nayi khushiyaa


--FEMALE--
Pehli dafaaon se dekh kar, hone laga kuch aisa asar - 2
Khud se hui main bekhabar
Main hoon yahan, dil mera hai vahan

--MALE--
Pyaar tune kya kiya, ae pyaar tune kya kiya

--FEMALE--
Ek hi pal mein achaanak di hai nayi duniya
Di hai nayi khushiyaa

--MALE--
Tu de raha hai ehsaas yeh, jaise koi mere paas hai - 2
Jiske badan ko chhookar mere badan ko chhoo rahi hai hawa

--FEMALE--
Pyaar tune kya kiya, ae pyaar tune kya kiya
Ek hi pal mein achaanak di hai nayi duniya
Di hai nayi khushiyaa

--MALE--
Pyaar tune kya kiya, ae pyaar tune kya kiya
Ek hi pal mein achaanak di hai nayi duniya
Di hai nayi khushiyaa

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about PYAAR TUNE KYA KIYA ...