Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film RAAT AUR DIN

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aawara Ai Mere Dil

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aawaara ai mere dil
jaane kahaan hai teri manzil
aawaara ai mere dil

veeraanon men, saharaaon mein
aati jaati in raahon mein
tere ishaaron par
naachi main jeevan bhar
aavaara ...

ab to batalaa, ai dil mere
baaki hain ab kitane phere
ab to ruke ye safar,
mera bhi ho koi ghar
aavaara ...

raat aur din ke ye do chahare
kaun hai apanaa, ye to kah de
main kaun hoon main kya hoon
sach hoon ya saaya hoon
aavaara ...

kaise kaise toofaan aaye
bijali chamkee, baadal chhaaye,
par na ruke ham tum,
par na jhuke ham tum
aawaara ...

Dil Ki Girah Khol Do

Singer: LATA MANGESHKAR, MANNA DEY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

dil kee giraah khol do, choop naa baithho, koee geet gaa
mahafeel mein ab kaun hain ajanabee, tum mere paas aao

milane do ab dil se dil ko, mitane do majabureeyon ko
sheeshe mein apane doobo do, sab faasalo dooriyon ko
aakhon mein main musakuraoo tumhaare jo tum muskuraao

hum tum naa hum tun rahe ab kuchh aaur hee ho gaye ab
sapanon ke zilamil nagar me, jaane kahaa kho gaye ab
humaraah poochhe kisee se naa tum apanee manjil bataao

kal hum se poochhe naa koee, kyaa ho gayaa thaa tumhe kal
mudakar naheen dekhate hum dil ne kahaa hain chalaa chal
jo door peechhe kahee rah gaye, ab unhe mat bulaao

Jeena Humko Raas Na Aaya

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

jeenaa hum ko raas naa aayaa, hum jaane kyo jeete ha
kyaa saawan kyaa bhaado, apane sab din rote beete hai

hum se to jag ruthh gayaa hai, yek tumhaaraa kyaa shikawaa
ab kyo aahe bharate hain hum ab kyo aasoo peete hai

pyaar kee baazee aasaan samaze, hum ne badee naadaanee kee
dil kee duhaayee denewaale, ye baazee kab jeete hai

daur-ye-junoon mein kyaa kyaa suzee, kyaa kyaa hum ne kar daalaa
khud hee gareebaan faad liyaa hai, khud h gareebaan seete hai

Naa Chedo Kal Ke Afsaane

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

naa chhedo kal ke afasaane, karo is raat kee baat
chhalakane do ye paimaane, karo is raat kee baate

naa fir ye raat aayegee, naa dil uchhalegaa seene me
naa hogee rang pe mahafil naa ayesaa rang jeene me
milenge kab ye diwaane, karo is raat kee baate

har yek din kal kaa zagadaa hai, har yek din kal kaa hain ronaa
ye ghadeeyaan raat kee tum bhee, naa aauron kee tarah khonaa
jo kal hogaa khudaa jaane, karo is raat kee baate

karo wo baat jisase boz dil kaa door ho jaaye
karo wo jikr jisase bekasee kaafoor ho jaaye
mile hain dil ko bahalaane, karo is raat kee baate

Phool Sa Chehra Chaand Si Rangat

Singer: RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

phool sa chehara chaand si rangat chaal qayaamat kya kahie
jo bhi dekhe ho jaaye paagal apani to haalat kya kahie

apani ada se aap simatana saaye se apane aap jhijhakana
haath lage to kumhala jaao aisi nazaaqat kya kahie
phool sa chehara ...

ek nazar se dekh lo jisako bemaut vo to maara hi jaaye
oopar se bholi andar se qaatil aisi sharaarat kya kahie
phool sa chehara ...

jisako zamaana kahata hai sooraj ye to tumhaara naq{}sh-e-qadam hai
mil jaaye jisako tujh si haseena usaki to haalat kya kahie
phool sa chehara ...

Raat Aur Din Diya Jale

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

raat aaur din diyaa jale, mere man mein fir bhee andhiyaaraa ha
jaane kahaa hai, o saathee, too jo mile jeewan ujiyaaraa hai

pag pag man meraa thhokar khaaye, chaand sooraj bhee raah naa dikhaaye
ayesaa ujaalaa koee man mein samaaye, jis se piyaa kaa darshan mil jaaye

gaharaa ye bhed koee muz ko bataaye, kisane kiyaa hain muzapar anyaay
jis kaa ho dip wo sukh naheen paaye, jyot diye kee duje ghar ko sajaaye

khud naheen jaanoo dhoondhe kis ko najar, kaun dishaa hain mere man kee dagar
kitanaa ajab ye dil kaa safar, nadiyaan mein aaye jaaye jaise lahar

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about RAAT AUR DIN ...