Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film RAM TERI GANGA MAILI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Sun Sahiba Sun

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--CHORUS-
Sun sahiba sun pyaar ki dhun - 2

--FEMALE--
Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun
Sun sun sahiba sun pyaar ki dhun
Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun

--CHORUS--
Sun sahiba sun pyaar ki dhun

--FEMALE--
(Aah, aah)
Aah aah, aah aah, aah aah aah aah aah
Koi haseena kadam pehle badhaati nahin
Majboori dil se na ho to paas aati nahin
Ho, majboori dil se na ho to paas aati nahin
Khushi mere dil ko had se zyaada hai
Tere sang zindagi bitaane ka iraada hai
Oh, preet ke yeh dhaage tu bhi sang mere gun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun

--CHORUS--
Sun sahiba sun pyaar ki dhun

--FEMALE--
(Aah, aah)
Tu jo haan kahe to ban jaaye baat yeh
Hote na ishaara to chal doon main saath bhi - 2
Tere liye sahiba naachoongi main gaaoongi
Dil mein basa le tera ghar bhi basaaoongi
Oh, daal de nigaahon kar de pyaar ka shagun

--CHORUS--
Sun sahiba sun pyaar ki dhun

--FEMALE--
(Aah, aah)
Aah aah, aah aah, aah aah aah aah aah
Mera hi khoon-e-jigar dega gawa hi meri
Tere hi haathon likhi shaayad tabaahi meri
Ho, tere hi haathon likhi shaayad tabaahi meri
Dil tujhpe waara hai, jaan tujhpe waaroongi
Aaye ke na aaye, tera rasta nihaaroongi
Oh, kar le kubul mujhe hoga bada kun
Sun sahiba sun pyaar ki dhun
Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun

--CHORUS--
Sun sahiba sun pyaar ki dhun

--FEMALE--
(Aah, aah)
Oh sahiba sahiba, oh sahiba sahiba oh
Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun
Sun sahiba sun

Tujhe Bulaaye Yeh Meri Baahen

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aa
tujhe bulaaye yeh meri baahen
na aaisi ganga kahi milegi
main tera jeevan main teri kismat
ke tujhko mukti yahi milegi
mere hi paas tujhe aana hai
tere hi saath mujhe jaana hai
mere hi paas tujhe aana hai
tere hi saath mujhe jaana hai
ganga yeh teri hai phir kaisi deri hai aaja re
aaja re ab aa bhi jaa tu aa bhi jaa o o o aa bhi jaa

pahadiyon ki bulandiyon se
kabhi kanaro ki darmiyaan se
kabhi nazar se kabhi zubaan se
tujhe pukara kaha kaha se
tu jiski khoj mein aaya hai
woh jisne tujhko bulaya hai
tu jiski khoj mein aaya hai
woh jisne tujhko bulaya hai
parvat ke peechhe hai jharne ke peechhe hai aaja re
aaja re ab aa bhi jaa tu aa bhi jaa o o o a bhi jaa

kohre ki chaadar lapete hu
paani mein khud ko samete hu
kohre ki chaadar lapete hu
paani mein khud ko samete hu
baahon ke ghere mein mann ke basere mein aaja re
aaja re ab aa bhi jaa tu aa bhi jaa o o o a bhi jaa

suno toh ganga yeh kya sunaye
ke mere tatt par woh log aaye
jinhone aaise niyam banaye ke praan jaaye par vachan na jaaye
vaaden pe tere bharosa hai main jaanti hu tu mera hai
vaaden pe tere bharosa hai main jaanti hu tu mera hai
jab tak na aayega dil mera gaayega aaja re
aaja re (o sahiba)..

Yaara O Yaara Tujhase Mila

Singer: UNKOWN

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

yaara o yaar
tujhase mila mujhe jeene ka ishaara
tune meri tehni si hasti ko ubhaara
sun meri jaan tujhpe qurbaan
meri har saans pe hai tera ehsaan
kaise jaayega utaara

saaheba ho o o o saaheba
tujhsa nahi koi duniya mein pyara
tu hi meri manzil tu hi sahara
dil ke mehmaan kaha mera maan
tere chale jaane se jaane lagi jaan
jaldi aana tu dobara
saaheba

pehan liya maine tere pyar ka gehna - 2
mushkil hai ab tere bin rehna
nainon se keh de din raat na behna - 2
preet mein padta hai birha bhi sehna
saaheba ho o o o saaheba
kal kya hoga kuchh na bachaya
saup diya maine roop yeh kunwara
dil ke mehmaan kaha mere maan
tere chale jaane se jaane lagi jaan
jaldi aana tu dobara

lage rahe pehre tooti na zanzeeren - 2
kar kar haara main toh sab tadbeere
na jaane chahat ki kaisi hai taqdeeren - 2
bichhadti aayi sada ranjho se heere
yaara o yaro
main saagar tu nadiyan ki dhaara
ho ke rahega milan hamara
sun meri jaan tujhpe qurbaan
meri har saans pe hai tera ehsaan
kaise jaayega utaara
saaheba ho o o o saaheba
tujhsa nahi koi duniya mein pyara
tu hi meri manzil tu hi sahara
dil ke mehmaan kaha mera maan
tere chale jaane se jaane lagi jaan
jaldi aana tu dobara
saaheba
yaara
saaheba
yaara
saaheba

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about RAM TERI GANGA MAILI ...