Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film ROTI KAPDA AUR MAKAN

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Arey Hai Hai Yeh Majboori

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Are hai hai yeh majboorii, yeh mausam aur yeh doori mujhe pal pal hai tadpaay
Teri do takiyan di naukri te mera lakhon kaa saawan jaaye re
Are hai hai yeh....

Kitne saawan beet gaye, baithi hoon aas lagaaye
Kiss saawan mein mile sajanwa, woh saawan kab aaye kab aaye
Madhur milan kaa yeh saawan hathon se nikla jaaye
O teri do takiyan....

Prem ka aisa bandhan hai jo bandh ke phir naa toote
Are naukari kaa hai kya bharosa, aaj mile kal chhoote, kal choote
Ambar pe hai dhara swayam aur phir bhi too ghabraye
O teri do takiyan.....

Posted By : Babydoll

Aur Nahi Bas Aur Nahi

Singer: MAHENDRA KAPOOR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aur nahi bas aur nahi, gam ke pyaale aur nahi
dil mein jagah nahi baaki, rok nazar apni saaki to
aur nahin bas ...

sapane nahi yahaan tere, apne nahi yahaan tere
sachaai ka mol nahi, chup ho ja kuch bol nahi
pyaar preet chillaayega to, apna gala ganvaayega
patthar rakh le seene par, kasamein kha le jeene par
gaur nahi hai aur nahi, parwaano par gaur nahi
aansu aansu dhalte hain, angaaron par chalte hain to
aur nahi bas aur nahi ...

kitna padhu zamaane ko, kitna gadhoon zamaane ko
kaun gunon ko ginta hai, kaun dukhon ko chunta hai
hamdardi kaafoor hui, neki chakanaachoor hui
ji karta bas kho jaaoon, kafan odhakar so jaaoon
daur nahi ye aur nahi, insaanon ka daur nahi
farz yahaan par farzi hai, asli to khudgarzi hai to
aur nahi bas aur nahi ...

bimaar ho gayi duniyaa, bekaar ho gayi duniya
marne lagi sharam ab to, bikne lage sanam ab to
ye raat hai nazaaron ki, gairon ke sath yaaron ki
ji hai bigaad doon saari, duniya ujaad doon saari
zor nahi hai zor nahi, dil pe kisi ka zor nahi
koi yaad machal jaaye, saara aalam jal jaaye to
aur nahi bas aur nahi ...

Main Na Bhulunga

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

mai naa bhooloongaa, main naa bhooloonge
mai naa bhooloongaa, main naa bhooloongee
in rasamon ko, in kasamon ko, in rishte naaton ko
mai naa bhooloongaa, main naa bhooloongee

chalo jag ko bhoole, khayaalon mein zoole
bahaaron mein dole, sitaaron ko chhoo le
aa teree main maang sawaaru, too dulhan ban jaa
maang se jo dulhan kaa rishtaa, main naa bhooloongee

samay kee dhaaraa me, umar bah jaanee hai
jo ghadee jee lenge, wahee rah jaanee hai
mai ban jaaoo saans aakharee, too jeewan ban jaa
jeewan se saanson kaa rishtaa, main naa bhooloongee

barasataa saawan ho, mahakataa aangan ho
kabhee dil doolhaa ho, kabhee dil dulhan ho
gagan ban kar zoome, pawan ban kar ghoome
chalo raahe mode, kabhee naa sang chhode
kahee pe chhoop jaanaa hai, najar naheen aanaa hai
kahee pe bas jaayenge, ye din kat jaayenge
are kyaa baat chalee, wo dekho raat dhalee
ye baate chalatee rahe, ye raate dhalatee rahe
mai man ko mandir kar daaloo, too poojan ban jaa
mandir se poojaa kaa rishtaa main naa bhooloongee

Mehengaayi Maar Gayi

Singer: MUKESH, LATA MANGESHKAR, CHANCHAL, JANI BABU QAWWAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

usane kaha tuu kaun hai, mainne kaha ulfat ter
usane kaha takata hai kyaa, mainne kaha suurat teri
usane kaha chaahata hai kyaa, mainne kaha chaahat teri
mainne kaha samajha nahin, usane kaha qismat teri

ek hamein aankh ki ladaai maar gayi
duusari to yaar ki judaai maar gayi
tisari hamesha ki tanhaai maar gayi
chauthi ye khuda ki khudaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mehnagaayi maar gayi

tabiyat thik thi aur dil bhi beqaraar na tha
ye tab ki baat hai jab kisi se pyaar na tha
jab se prit sapanon mein samaai maar gayi
man ke mithe dard ki gaharaai maar gayi
nainon se nainon ki sagaai maar gayi
soch soch mein jo soch aayi maar gayi,
baaki kuchh bacha

kaise vaqt mein aa ke dil ko dil ki lagi bimaari
mehnagaayi ki daur mein ho gayi manhagi yaar ki yaari
dil ki lagi dil ko jab lagaai maar gayi
dil ne ki jo pyaar to duhaai maar gayi
dil ki baat duniya ko bataai maar gayi
dil ki baat dil mein jo chhupaai maar gayi,
baaki kuchh bacha

pahale mutthi vich paise lekar
pahale mutthi mein paise lekar thaila bhar shakkar laate the
ab thaile mein paise jaate hain mutthi mein shakkar aati hai
haay mehnagaayi mehnagaayi
duhaai hai duhaai mehnagaayi mehnagaayi
tuu kahaan se aayi, tujhe kyon maut na aayi, hay mehnagaayi
shakkar mein ye aate ki milaai maar gayi
paudar vaale duddh di malaai maar gayi
raashan vaali lain di lambaai maar gayi
janata jo chikhi chillaai maar gayi,
baaki kuchh bacha

garib ko to bachchon ki padhaai maar gayi
beti ki shaadi aur sagaai maar gayi
kisi ko to roti ki kamaai maar gayi
kapade ki kisi ko silaai maar gayi
kisi ko makaan ki banavaai maar gayi
jivan de bas tinn nisaan-roti kapada aur makaan
??? ??? ke har insaan
kho baitha hai apani jaan
jo sach sach bola to sachchaayi maar gayi
aur baaki kuchh bacha to mehnagaayi maar gayi

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about ROTI KAPDA AUR MAKAN ...