Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film RUSTOM SOHRAB

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Ab Der Ho Gayi Valla

Singer: ASHA BHOSLE

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

O
( Ab Der Ho Gayi Valla
Tu Chod De Mera Palla ) -2
Phir Milenge Inshaa-Alla
Ab Der Ho Gayi Valla
Tu Chod De Mera Palla
Phir Milenge Inshaa-Alla
Ab Der Ho Gayi Valla -2

( Mujhe Rok Na Zaalim Bedardi
Haay Lagti Hai Mujhko Sardi ) -2
Mujh Jaisi Phir Na Paaoge
Mar Jaaungi Main Ui Alla
Ab Der Ho Gayi Valla
Tu Chhod De Mera Palla
Ab Der Ho Gayi Valla


( Ayi Jaan-E-Mohabbat Jaane De
De Mujhko Ijaazat Jaane De ) -2
Main Tumse Waada Karti Hoon
Kal Aaoongi Inshaa-Alla
Ab Der Ho Gayi Valla
Tu Chod De Mera Palla
Ab Der Ho Gayi Valla

( Achha Sarkaar Kudaa-Haafiz
Mere Dildaar Kudaa-Haafiz ) -2
Kyon
Kafa Ho Gaye
Kya Kehane Hain Subhaan-Alla
Ab Der Ho Gayi Valla
Tu Chod De Mera Palla
Ab Der Ho Gayi Valla -2

Aye Dilruba

Singer: SIRAIYYA, NIMMI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aye dilaruba aye dilaruba
aye dilaruba nazaren mila
kuch to mile gam ka sila
aye dilaruba ...

ashqon ka ik dariya baha
pyaasa tha dil pyaasa raha
nazaren milaa, nazaren mila
rahane na de koi gila
aye dilaruba ...

Maazandaraan Mazandaaran

Singer: TALAT MOHAMMAD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

maazandaraan! maazandaraan! - 2
mere vatan! mere jahaan! ai gulsitaan! jannat-nishaan!

har phool teraa ik chaman,
har shaaKh hai naazuk dulhan
ai jaaneman, ai jaaneman
sadqe tere..
sadqe tere ye jism-o-jaan
maazandaraan! maazandaraan!

zarre hain tere yaa guhar,
paDti hai shaahoN ki nazar
laal-o-jawaahir is qadar,
mumkin nahin..
mumkin nahin jinkaa bayaan
maazandaraan! maazandaraan!

ik husn ki mahfil hai tu,
har shauq ki manzil hai tu
ham aashiqoN kaa dil hai tu,
har lab pe teri daastaan
maazandaraan! maazandaraan!

Phir Tumhari Yaad Aayi

Singer: MANNA DE, SAADAT KHAN, RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

phir tumhaari yaad aayi aye sanam, aye sanam
ham na bhoolenge tumhein, allaah kasam
allaah qasam, allaah qasam, allaah qasam

manna de:
haal-e-dil yaar ko likhu kaise
haath dil se juda nahi hota
kis tarah unko bataayen apna gam, aye sanam
ham na bhoolenge tumhein, allaah kasam

saadat khaan:
tum mere dil mein, meri aankhon mein ho
tum mere khwabon, meri aahon mein ho
door rehakar bhi juda honge na ham, aye sanam
ham na bhoolenge tumhein, allaah kasam

rafi:
jabse dekhi surat unki, ham shama jalaana bhool gaye
ruksaar ki surkhi kya kahiye, phoolon ka fasaana bhool gaye
bas itni kahaani hai apni, jab aankh mili behosh hue
daaman se hawa tum kar na sake, ham hosh mein aana bhool gaye
kitne pyare hain mohabbat ke sitam, aye sanam

kya lutf aa raha tha - 3, dilbar ki dillagi se
nazarein bhi thi mujhi par, parda bhi tha mujhi se
kya haseen tasveer thee, allaah kasam, aye sanam
ham na bhoolenge tumhein, allaah kasam
allaah kasam, allaah kasam, allaah kasam

Ye Kaisi Ajab Daastaan Ho Gayi Hai

Singer: SURAIYYA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(ye kaisi ajab daastaan ho gayi ha
chhupaate chhupaate bayaan ho gayi hai) - 2
ye kaisi ajab daastaan ho gayi hai

ye dil kaa dhadakanaa, ye nazaron kaa jhukanaa
jigar mein jalan si ye saanson kaa rukanaa
kudaa jaane kyaa daastaan ho gayi hai
chhupaate chhupaate bayaan ho gayi hai
ye kaisi ajab daastaan ho gayi hai

bujhaa do bujhaa do, bujhaa do sitaaron ki shamme bujhaa do
chhupaa do chhupaa do, chhupaa do haseen chaand ko bhi chhupaa do
yahaan raushani mahamaan ho gayi hai
aa aa aa aa, ye kaisi ajab daastaan ho gayi hai

ilaahi ye tuufaan hai kis balaa kaa
ki haathon se chhutaa hai daaman hayaa kaa
kudaa ki qasam aaj dil kah rahaa hai - 2
ki lut jaaun main naam lekar vafaa kaa
tamannaa tadap kar javaan ho gayi hai
aa aa aa aa, ye kaisi ajab

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about RUSTOM SOHRAB ...