Songs from film SAKHI
Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!
Tum jo aao to pyaar aa jaaye
Singer: MANNA DEY, SUMAN KALYANPUR
Music Director: N/A
Lyricist: N/A
Lyrics
Tum jo aao to pyaar aa jaay
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Kya kahu tumse keh nahi sakta
Bin tumhaare main reh nahi sakta
Tumko gar aitbaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Dil pe mujhko to aitbaar nahi
Ye woh shay hai jisse qaraar nahi
Dil pe gar ikhtiyaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Jab tamanna shabaab par aaye
Har taraf ik khumaar sa chhaaye
Zah-e-qismat jo yaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Kya kahu tumse keh nahi sakta
Bin tumhaare main reh nahi sakta
Tumko gar aitbaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Dil pe mujhko to aitbaar nahi
Ye woh shay hai jisse qaraar nahi
Dil pe gar ikhtiyaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Jab tamanna shabaab par aaye
Har taraf ik khumaar sa chhaaye
Zah-e-qismat jo yaar aa jaaye
Zindagi mein bahaar aa jaaye
Commercial Ad Space
Another Ad Space
Loading engaging content about SAKHI ...
