Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SANYASI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Baali Umariya Bhajan Karu Kaise

Singer: LATA MANGESHKAR, NITIN MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

baali baali umariya bhajan karu kais
chadhati jawani jogan banu kaise
baali baali umariya bhajan karu kaise
chadhati jawani jogan banu kaise
jhutha guru ka wachan karu kaise
saadhu lutera sajan banu kaise
jhutha

chaal meri behki nazar meri doli - 2
chhut gaya bachpan badal gayi boli
teri tu jaane mujhe chhod de akela
main na ban paaunga saadhu se chhaila
maaya maaya mein mann ko magan karu kaise
chadhati jawani jogan banu kaise
baali umariya bhajan karu kaise
chadhati jawani jogan banu kaise
baali

na ghar ki parwaah na logon ka darr hai - 2
aaisi kya teri hi chadhti umar hai
jaane kyon tujhpar bna koi asar hai
teri aur meri barabar umar hai
naajuk naajuk kamariya sambhal chalu kaise
saadhu lutera sajan banu kaise
jhutha guru ka wachan karu kaise
saadhu lutera sajan banu kaise
jhutha

baar baar ye tujhko kaise samjhaaun - 2
tujhse koi rishta main jod nahi paaun
laaj lage batiyaan main kaise bataaun
aaisa na ho main kunwaari reh jaaun
thandi thandi mann ki agan karu kaise
saadhu lutera sajan banu kaise
baali baali umariya bhajan karu kaise
jhutha guru ka wachan karu kaise
chadhati jawani jogan banu kaise
baali

Chal Sanyasi Mandir Mein

Singer: LATA MANGESHKAR. KISHOR KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

chal sanyaasi mandir mein, tera chimata meri choodiyaan
donon saath bajaayenge, saath-saath khankaayenge
kyon ham jaayen mandir mein, paap hai tere andar mein
lekar maala kanth dushaala raam naam gun gaayenge
resham sa ye roop salona yauvan hai ya tapata sona
ye teri mohan si soorat kar gai mujhape haaye jaadoo-tona
kaisa jaadoo-tonaa, saari man ki ye maaya hai
tum pe devi kisi rog ki padi vikat chhaaya hai
chal sanyaasi mandir men, tera kamandal meri gagariya
saath-saath chhalakaayenge, kyon ham jaayen mandir mein
paap hai tere andar mein
ham to jogi raam ke rogi dhooni alag ramaayenge
jaage-jaage so jaati hoon aur sapanon mein kho jaati hoon
tab tu mera ho jaata hai aur piya main teri ho jaati hoon
sapanon mein bharamaakar maanav sachcha sukh khota hai
are, raam naam japate rahane se kashht door hota hai
chal sanyaasi mandir men, tera chola meri chunariya
saath-saath rangavaayenge, kyon ham jaayen mandir mein
paap hai tere andar mein
chhod jhamele baith akele jeevan saphal banaayenge
man se man ka deep jala le madhur milan ki jyoti jaga le
pooran kar de meri aasha aaj mujhe apana le apana le
man se man ka deep jalaana mujhe nahi aata hai
bas pooja ki jyot jalaana mujhe yahi bhaata hai
chal sanyaasi mandir men, mera roop aur teri javaani
milakar jyoti jalaayenge, kyon ham jaayen mandir mein
paap hai tere andar mein
dharm chhodakar, dhyaan chhodakar paap nahi apanaayenge
prem hai pooja prem hai poojan prem jagat hai prem hi jeevan
mat kar tu apamaan prem ka
prem hai naam prabhu ka bada hi paavan
prem-prem kar ke mujhako kar degi ab tu paagal
mera dheeraj dol raha hai, laaj rakhe ganga jal
chal sanyaasi mandir men, teri maalaa, mera gajara
ganga saath nahaayenge

Jaisa Mero Roop Rangila

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

jaisa mera roop rangila waisa mile jawaa
toh sauda patt jaaye haai haai
jaisa mera roop rangila waisa mile jawaan
toh sauda patt jaaye
jaisa mera roop rangila waisa mile jawaan
toh sauda patt jaaye

(ek umariyaan baali meri uspar chadhi jawani
uske upar nasha roop ka ho gayi main deewani)-2
aaise mein phir saath tumhara aur yeh raat suhaani
mumkin hai ho jaaye humse aaj koi nadaani
darti hu kuchh ho na jaaye dol raha imaan
yeh dil na lutt jaaye
jaisa mera roop rangila waisa mile jawaan
toh sauda patt jaaye

(iska dil uska dil sabka dil hai kaala
khol raha har koi dekho ek duje ka taala) - 2
sone ka pinjara le koi khada udhar dilwala
idhar jaal le ghum raha hai mujhe pakadne wala
kispar karu bharosa saare log yahaa beimaan
gala na katt jaaye
jaisa mera roop rangila waisa mile jawaan
toh sauda patt jaaye
jaisa mera roop rangila waisa mile jawaan
toh sauda patt jaaye

Shaam-E-Furqat Ka Dhal Gaya Saya

Singer: LATA MANGESHKAR, PREMNATH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

sitaaren duubne lage haai kiski aah leka
chiraag bujhane lage haai kiski aah lekar
koyal haske mast kare
jab aalap se dil ke walwale dabb jaayenge
table ki khadak

shaam-e-furqat shaam-e-furqat ka dhal gaya saya re
(shaam-e-furqat ka dhal gaya saya re
aanewala sajan nahi aaya re) - 2
shaam-e-furqat ka dhal gaya saya re

meri adaa sabse judaa log hue mujhpe fidaa
durr na baitho dekhnewalo paas toh aaon dil se laga lo
aaj hai mauka armaan nikalon
raadhe shaam
apana aashiq apana aashiq tumhi ko banaya re
apana aashiq tumhi ko banaya re
aanewala sajan nahi aaya re
shaam-e-furqat ka dhal gaya saya re

naam mera chaaron taraf
shor mera chaaron taraf
jisne bhi dekha mera nazara
har koi bola maara re maara
jaan se pyara mera ishaara
apani chutki se - 2 sabko nachaya re
apani chutki se sabko nachaya re
raadhe shaam
shaam-e-furqat ka dhal gaya saya re

Yeh Hai Geeta Ka

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aa
karmanye wadika raste
maa phale shukla jan
karam kiye jaa phal ki ichha mat kar aye insaan
jaise karm karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geeta ka gyan - 6
karam kiye jaa phal ki ichha mat kar aye insaan
jaise karm karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geeta ka gyan - 6

iss prani ka kashta durr karo maharaj
yeh kaun hai devi kya kashta hai isse
roopchand hai reshamwala kapde ka vyopari
bees baras tak saath rehkar bhaag gayi iski naari
aur agar woh saath mein rehti marr jaati bechari
pati dev ke mann bhaai thi baala ek kanwari
pati bana patni ka dushman sankat mein thi jaan
jaise karm karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geeta ka gyan - 6

gurudev iss kanya ka mukhada toh bhola bhala hain kintu
kintu kintu kya
mrugnaini ke chanchal baala mann mein liye udaasi
dukh ke andar dabi hui hai sukh ki hai abhilashi
kisike ghar ki raajkumari bani kisiki daasi
majboori ke aankh mein aansu palken phir bhi pyaasi
pal pal dhoye armaanon ke gangajal se traan
jaise karm karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geet ka gyan - 6

aap toh gyani hai antaryaami hai batayiye na maharaj
kya devi
kaunsi duwidha aapki charnon mein inn ko le aayi
kis chinta mein magan hai dono kyon aankhen pathraai
yeh mare hue hai ya jeevit
yeh marnewale hai devi inka ant nikat hai
tathasthu
in dono drushto ne milke kaisi chaal chalaai
ek kansa mama ban baitha ek duryodhan bhai
krishna kans ka todega phir kalyug mein abhimaan
jaise karam karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geet ka gyan - 6

haay gurudev yeh main kya dekh rahi hu
jinke darshanon ko duniya tarasti ahi swayam darshan dene aa rahe hai
pahucha hua hai saadhu kya kya chamatkar dikhaye
bholi janta bole ishwar roop badalke aaye
yeh janta ki bhul hai devi yeh mahapaapi hai ghor apraadhi
ved shashtro ki bhasha yeh dhongi kya jaane
yeh pooja karwaye apani prabhu ko kya jaane
yeh saadhu ke bhes mein daaku roj pakhand rachaye
rishiyon ko badnaam kare santon pe daag lagaye
din mein daake daale paapi raat mein katal karaye
sach bole sanyasi iska kabhi na ho kalyan
jaise karam karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geet ka gyan - 6
karam kiye jaa phal ki ichha mat kar aye insaan
jaise karm karega waise phal dega bhagwaan
yeh hai geeta ka gyan - 6

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SANYASI ...