Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SAUTEN

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Zindagi Pyar Ka Geet

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(Zindagi pyaar ka geet ha
Ise har dil ko gaana padega) -2
Zindagi ghum ka sagar bhi hai
Hanske us paar jaana padega

Jis ka jitna ho aanchal yahaan par
Us ko saugaat utni milegi
La la la, la la la, la la la la la la la~
Jis ka jitna ho aanchal yahaan par
Us ko saugaat utni milegi
Phool jeevan mein gar na khile to
Kaanton se bhi nibhaana padega
Zindagi pyaar ka geet hai
Ise har dil ko gaana padega

Hai agar door manzil to kya
Raasta bhi hain mushkil to kya
La la la, la la la, la la la la la la la~
Hai agar door manzil to kya
Raasta bhi hain mushkil to kya
Raat taaron bhari na mile to
Dil ka deepak jalaana padega
Zindagi pyaar ka geet hai
Ise har dil ko gaana padega

Zindagi ek peheli bhi hai
Sukh dukh ki saheli bhi hai
La la la, la la la, la la la la la la la~
Zindagi ek peheli bhi hai
Sukh dukh ki saheli bhi hai
Zindagi ek wachan bhi to hai
Jise sab ko nibhaana padega
Zindagi pyaar ka geet hai
Ise har dil ko gaana padega
Zindagi ghum ka sagar bhi hai
Hanske us paar jaana padega

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SAUTEN ...