Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SAVERAA

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Chhupaa Chhupi O Chhupi

Singer: LATA, MANNA DEY, CHORUS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Lata
chhuppaa chhuppi, o chhuppi, aagad baagad jaai re
chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billi aayi re
chorus:
chhuppaa chhuppi, o chhuppi, aagad baagad jaai re
chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billi aayi re
mannaa:
billi boli myaanv kaahe ghabaraao
main to chali kaashi gale mil jaao
Lata:
o chhuppaa chhuppi
chorus:
lallalalla lallallaa
mannaa:
bam bam bam bam bamabam bam myaanv

Lata:
mat ham ko banaa ari mausi
tere dil mein zaruur hai kaalaa
chorus:
mat ham ko banaa ari mausi
tere dil mein zaruur hai kaalaa
Lata:
kisi aur ko dikhalaa jaake
ye jog ye kanthi maalaa
chorus:
kisi aur ko dikhalaa jaake
ye jog ye kanthi maalaa
mannaa:
raam kaa naam lo aankh se kaam lo
raam kaa naam lo aankh se kaam lo
kal jo huaa thaa bhuul jaao bhuul jaao
Lata:
chhuppaa chhuppi

mannaa:
main to raam ki jogan apanaa
paralok sudhaaran jaauun
aakir to budhaapaa thaharaa
ab laut ke aauun na aauun
Lata:
daant bhi tez tere panje bhi tez hain
daant bhi tez tere panje bhi tez hain
man mein wahi hai daav lage to lagaao
Lata:
chhuppaa chhuppi

Maane Na

Singer: GEETA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

maane na maane na maane n
tere bin moraa jiyaa na maane
aise nainaan bhaye re divaane raam
haay raam
maane na maane na maane na

aisi adaa bhaa gayi ham se rahaa naa gayaa
mahafil mein yuun aae vo ki un pe ye dil aa gayaa
bin piye hi nashaa chhaa gayaa
maane na maane na maane na

dekho idhar bhi zaraa ham se sharam kis liye
ham to tere ho chuke tere dil mein bharam kis liye
ham pe itanaa sitam kis liye
maane na maane na maane na

ik hi mulaaqaat mein ye kyaa gazab ho gayaa
dil ko sambhaalaa magar na jaane kahaan kho gayaa
jo bhi honaa thaa vo ho gayaa
maane na maane na maane na

Nadiyaa Ke Paani

Singer: LATA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(nadiyaa ke paani o re nadiyaa ke paan
chup chup jaiyo sajanaa se kahiyo
bairi bin tere kaise bitegi jawaani) - 2

mausam aaye mausam jaaye saajan tum na aaye - 2
o bachapan ke mit - 2
tumhaare bin ab rahaa na jaaye

nadiyaa ke paani

(dil tum ko pahachaane lekin
ye ankhiyaan bharamaaye) - 2
in donon ke bich - 2
akele ham tadape rah jaaye

nadiyaa ke paani

Thaharo Zaraa Si Der Ko

Singer: GEETA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

thaharo zaraa si der to aakir chale hi jaaoge -
tum hi kaho karenge kyaa yaad jo ham ko aaoge
thaharo zaraa si der to

mil jaae teraa pyaar to qismat sanvaar lenge ham - 2
qadamon mein tere zindagi yuun hi guzaar lenge ham
dil mein naa rakh sake to kyaa nazaron se bhi giraaoge
tum hi kaho karenge kyaa yaad jo ham ko aaoge
thaharo zaraa si der to

qaabil nahin hain ham tere phir bhi ye hai karam teraa - 2
tujh ko naa paa saken to kyaa mil to gayaa hai gam teraa
aankhon se duur jaake bhi dil se naa jaane paaoge
tum hi kaho karenge kyaa yaad jo ham ko aaoge
thaharo zaraa si der to

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SAVERAA ...