Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SHAHENSHAH BABAR

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Bulbul Aa Tuu Bhi Gaa

Singer: KHURSHEED, CHORUS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

bulbul aa tuu bhi ga
pyaar ke gaane main gaauun
tuu bhi gaa

saaz bharaa hai gale men tere
soz bharaa hai dil men mere
gaa gaa ke tuu ji bahalaaye
main kyaa karuun, tuu bataa
tuu bataa, bulbul aa, aa~
pyaar ke gaane main gaauun
tuu bhi gaa-

jab pyaar dil men aataa
to karaar dil se jaataa
sharamaanaa,
jhunjhalaanaa,
ghabaraanaa,
ek raaz ke lakh bahaane
phir bhi naa rahe chhupaa
naa chhupaa, bulbul aa, aa
pyaar ke gaane main gaauun
tuu bhi gaa

Muhabbat Men Saaraa Jahaan

Singer: KHURSHEED

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

uhabbat men saaraa jahaan jal rahaa ha
zamin to zamin aasamaan jal rahaa hai

wahaan roshani dekhane ko hai duniyaa
hamaaraa yahaan aashiyaan jal rahaa hai

jigar phunk rahaa hai nikalate hain aansuu
barasataa hai paani makaan jal rahaa hai

Na Bhuulenge Tujhako

Singer: KHURSHEED

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

na bhuulenge tujhako bhulaa dene vaal
meri hasaraton ko mitaa dene vaale

rahegi in aankhon men tasvir teri
nigaahon se mujhako giraa dene vaale

duaa ban ke nikalenge shikave hamaare
bhalaa ho teraa dil dukhaa dene vaale

mere aansuon par hanse chaahe duniyaa
magar tuu na hansanaa rulaa dene vaale

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SHAHENSHAH BABAR ...