Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SHAHJAHAN

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Aag Lagi Dil men Woh Pyaari

Singer: NASIM AKHTAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aag lagi dil men woh pyaar
gaane lagiin umangen saari

jagaa ke mujhe soti hain raaten
dil jaane kaya kaya karataa hai baaten
laharaa ke masatiyon men uthin barasaaten
aankhon se ek nashaa hai taari
aag lagi dil men woh pyaari
gaane lagin umangen saari

muhabbat ki duniyaa basaa le
ab koi mujh ko apanaa banaa le
mujhe javaaniyon ki fizaa men udaa le
taare hansen karen gulakaari
aag lagi dil men woh pyaarii
gaane lagin umangen saari

Posted by: p u r n i m a

Aey Dil-e-beqaraar Jhum

Singer: K.L.SAIGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

aey dil-e-beqaraar jhoom, aey dil-e-beqaraar jhoom-

abr-e-bahaar aa gayaa, daur-e-khizaa chalaa gayaa- 2
ishq muraad paa gayaa, husn ki mach raha hai dhoom
(aey dil-e)

chhitakee huee hai chaandanee, masti men hai kali kali- 2
jhoom rahi hai zindagi, tu bhi hazaar baar jhoom
(aey dil-e)

taare hain maahataab hai, husn hai aur shabaab hai- 2
zindaga kaamiyaab hai, aarazaoon ka hai hazoom (aey dil-e)

teraa nashaa,teraa khumaar, ab hai bahaar, hai bahaar 2
peeke khushi men baar baar, peer-e-jawaan ke haath choom
(aey dil-e)

Posted by: p u r n i m a

Chaah Barbaad Karegi

Singer: K.L.SAIGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

chaah barbaad karegi hamen maalum naa thaa -
rote rote hi kategi hamen maalum naa thaa - 2

maut bhi ham pe hansegi hamen maalum naa thaa
zindagi rog banegi hamen maalum naa thaa - 2
chaah barbaad karegi hamen maalum naa thaa

chhaayi ghanaghor ghataa chaand sitaare naa rahe
woh ummiiden naa rahin ab woh sahaare naa rahe
ghair to ghair hi the woh bhi hamaare naa rahe
hampe aisi bhi padegi, hamen maaluum naa thaa - 2
chaah barbaad karegi hamen maalum naa thaa

Posted by: p u r n i m a

Gham Diye Mustakil

Singer: K.L.SAIGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

gham diye mustakil, kitanaa naazuk hai dil, ye na jaana
haaye haaye ye zaalim zamaanaa

de uthe daag lo, unase ai mahalon
kah sunanaa
haaye haaye ye zaalim zamaanaa

dil ke haathon se daaman chhudaakar
gham ki nazaron se nazaren bachaakar
uthake woh chal diye, kahate hii rah gaye,
ham fasaanaa
haaye haaye ye zaalim zamaanaa

koi meri ye roodaad dekhen, ye muhobbat ki bedaad dekhe
phoonk rahaa hai jigar, pad rahaa hai magar,
muskuraanaa
haaye haaye ye zaalim zamaanaa

gham diye mustakil, kitanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa
haaye haaye ye zaalim zamaanaa


Posted by: p u r n i m a

Jab Dil Hi Toot Gaya

Singer: K L SAIGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Jab Dil Hi Toot Gaya, Jab Dil Hi Toot Gay
Hum Jee Ke Kya Karenge, Jab Dil Hi Toot Gaya

Ulfat Ka Diya Humne Is Dil Mein Jalaaya Tha
Umeed Ke Phoolon Se Is Ghar Ko Sajaaya Tha
Ek Bhedi Loot Gayaa
Hum Jee Ke...

Maloom Na Tha Itni Mushqil Hai Meri Raahen
Armaan Ke Bahe Aansoon Hasratne Bhari Aahen
Har Saathi Chhoot Gaya
Hum Jee Ke...

Jab Usne Gesu Bikhraayen

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

jab usane gesu bikharaaye baadal aayaa jhoom k
mast umangen laharaaee hain rangin mukhadaa choom ke

gunchaa mehkaa bulbul chehakaa - 2
naache bhanwaraa ghoom ke

jab usane gesu bikharaaye baadal aayaa jhoom ke

usake nain gulaabi - 2
kar den sabako sharaabi - 2

baadal aayaa jhoom ke jab usane gesu bikharaaye
baadal aayaa jhoom ke

(jab hans-hans kar wo bole kaanon men wo ras ghole
har dil men aramaan dole ishq apani aankhen khole) - 2

(usane paimaanaa chhalakaayaa aa saaqi
masti men aanchal dhalakaayaa aa saaqi) - 2
rum jhum, rum jhum

baadal aayaa jhum ke jab usane gesu bikharaaye
baadal aayaa jhum ke mast umangen laharaaee hain
rangin mukhadaa choom ke

Posted by: p u r n i m a

Jannat Yeh Banaai Hai

Singer: K.L.SAIGAL

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kar lijiye chalakar meri jannat ke nazaar
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare
phoolon se liyaa rang, sitaaron se ujaalaa
har cheez ko ik noor ke dhaanche men hai dhaalaa

is khwaab ki basti ka, falak hai na zameen hai
is husn ki duniyaa ki har ik cheez haseen hai
roshan hai fizaa aur nahin chaand-sitaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare

gaati hai khushi naghme,to hansataa hai wahaan gham
kaliyon ki hansi dekh ke,roti nahin shabanam
fitarat ki zubaan par kahin masti ka fasaanaa
chheda hai khamoshi ne bhi purqas taraanaa
kuchh soye to kuchh jaage hue mast nazaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare

athakheliyaan karati hui chalati hain hawaaen
naghmon ki hai barasaat to zulfon ki ghataayen
rangin hui aur bhi jannat ki kahaani
wah dekhiye (2)
jhule pe ruhi ki jawaani
betaab kiye dete hain maasoom ishaare, maasoom ishaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare

Posted by: p u r n i m a

Jawaani Ke Daaman Ko Rangin Banaa Le

Singer: SHAMSHAD BEGUM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

jawaani ke daaman ko rangin banaa le-
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le-2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

(tere roop pe aayegi rangat sahar ki
hansaa degi kalilyon ko shokhi nazar ki) - 2
ye nazaren kisi se milaakar jhuka le

uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

(ye madamast raaton kaa gehawaaraa, ye zulfen
ye josh-e-jawaani, ye aawaaraa zulfen) - 2
in aawaaraa zulfon ki raaten basaa le

uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

(nikal kar ulajhanaa, ulajhakar nikalanaa
hai insaan ki azamat sau kaanton men chalanaa) - 2
ye kyaa hai jo gul se bhi daaman bachaa le

uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

(ye raaten tujhe gud-gudaayengi lekin
ye aankhen teri muskuraayengi lekin) - 2
agar ye khalish apane dil men basaa le

uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

(biyaawaan bhi hai gulasitaan, dil ke haathon,
ye duniyaa hai duniyaa yahaan dil ke haathon
bahot hai agar do ghadi muskuraa le

uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

jawaani to hai ek shay aani-jaani
banaati hai ulfat ise gair-faani
jawaani ko aa gair-faani banaa le

uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

jawaani ke daaman ko rangin banaa le
uthaa le muhobbat ki tohamat uthaa le - 2
jawaani ke daaman ko rangin banaa le

Posted by: p u r n i m a

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SHAHJAHAN ...