Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SHARAABI

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

De De Pyar De - Male

Singer: KISHORE KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

meena arey meena aa gaya tera deewan
bata bata arey kaha hai tera thikana

hum bande hai pyar ke maange sabki khair
apani sabse dosti nahi kisise bair

(de de pyaar de
de de pyaar de pyaar de pyaar de re hamein pyaar de )-2
duniya wale kuchh bhi samajhen ham hain prem deewane
jahaan bhi jaayen tujhe pukaaren gaa ke prem taraane
de de pyaar de ...

aane ko to roz hi aate suraj chaand sitaare
ho phir bhi andheri hai ye duniya tu hi raah dikhaaye
prem pyaar sukh chain ki varshaa teri nazar se barsen
ye dukh dard ki aag mein bhi koi dil naa pyasa tarse
de de pyaar de ...

yahaan dilon ke bich khadi jo vo deewar giraa de
haan dil mein soyi soyi aisi pyaar ki jot jagaa de
pyaar ho dil mein to lagti hai saari duniya pyari
ham saari duniyaa ke saari duniyaa hamaari
de de pyaar de ...

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen

Singer: KISHORE KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen Wahin Raat Ho Gulzar
Mehfil Rangeen Jame Dhoom Mache Daur Chale
Mast Mast Nazar Dekhe Naye Chamatkar
Jahan Chaar Yaar...

One O Clock In My House
There Was A Cat There Was A Mouse
Khel Rahe The Danda Gilli
Chooha Aage Peechhe Billi
Choohe Ko Pad Gaye Jaan Ke Laale
Bola Mujhko Koi Bachale
Mere Paas Tha Bhara Gilass
Pee Gaya Chooha Saari Whisky
Kadak Ke Bola Kahan Hai Billi
Dum Dabake Billi Bhaagi
Choohe Ki Phuti Kismat Jaagi
Khel Risky Tha Whisky Ne Kiya Beda Paar
Mehfil Rangeen Jame...

Ek Tha Husband Ik Thi Wife
Miserable Thi Unki Life
Drunkard Husband Fighter Wife
Roz Ke Jhagde Roz Ke Lafde
Lafde Jhagde, Jhagde Lafde
Biwi Ki Thi Ek Saheli
Usne Usko Kuchh Samjhaya
Tab Biwi Ki Samajh Mein Aaya
Raat Ko Husband Peekar Aaya
Darwaze Pe Phir Chillaaya
Us Din Biwi Ban Gayi Bholi
Kundi Kholi Haske Boli
Janeman Zara Andar To Aao
Pehle To Kuch Khao Vaao
Phir Bistar Pe Hongi Baatein
Bade Pyaar Se Katengi Raatein
Husband Chauka , Yeh Bhule Se Maein Kiske Ghar Aa Gaya Yaar
Meri Biwi Mujhe De Nahin Sakti, Kabhi Itna Pyaar
Husband Bistar Chhodh Ke Bhaaga
Kundi Taala Todh Ke Bhaaga
Bola Devi Mujhe Maaf Kijiye
Mere Saath Zara Insaaf Kijiya
Mujhko Apne Ghar Jaana Hai
Warna Biwi Phir Maregi
Tab Biwiki Samajh Mein Aaya
Peena Chhoot Gaya Biwine Itna Diya Pyaar
Phir Dono Aise Mile Pyaar Mein Hi Doob Gaye
Pyar Agar Mile To Har Nasha Hai Bekaar
Jahan Chaar Yaar...

Kabhi Na Kabhi

Singer: MOHAMMAD RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kabhee naa kabhee
kaheen naa kaheen,
koee naa koee to aayegaa
apanaa mujhe banaayegaa,
dil mein mujhe basaayegaa

kab se tanahaa ghoom rahaa hoon, duniyaan ke wiraane mein
khaalee jaam liye baithhaa hoon kab se is mayakhaane mein
koee to hogaa meraa saakee, koee to pyaas bujhaayegaa
kabhee naa kabhee,
kaheen naa kaheen,
koee naa koee to aayegaa
apanaa mujhe banaayegaa,
dil mein mujhe basaayegaa

kisee ne meraa dil naa dekhaa, naa dil kaa paigaam sunaa
mujh ko bas aawaaraa samajhaa, jis ne meraa naam sunaa
ab tak to sab ne thukaraayaa, koee to paas bithhayegaa
kabhee naa kabhee,
kaheen naa kaheen,
koee naa koee to aayegaa
apanaa mujhe banaayegaa,
dil mein mujhe basaayegaa

kabhee to degaa sannaate mein, pyaar bharee aawaaz koee
kaun ye jaane kab mil jaaye raste mein humaraaz koee
mere dil kaa dard samajhakar do aansoo to bahayegaa
kabhee naa kabhee,
kaheen naa kaheen,
koee naa koee to aayegaa
apanaa mujhe banaayegaa,
dil mein mujhe basaayegaa

Log Kehte Hai Ke Main Sharaabi Hoon

Singer: KISHORE KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon
Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan ...
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon

Kisipe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kisike Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha
Kisiko Dekhke Saanson Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara

Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hava Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon...

Thodi Aankhon Se Pila De Re Sajni Deewaani
Tujhe Maein Tujhe Maein
Tujhe Naulakha Manga Doonga Sajni Deewaani...

Manzile Apni Jagah Se

Singer: KISHORE KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Manzilo Pe Aa Ke Lootate Hai Dilon Ke Caaravaa
Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyaar Ki

Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah (2)
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa (2)
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot
Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot
Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan
Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa
Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunaah
Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Meraa Sanam
Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hauslaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare

Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain

Singer: KISHORE KUMAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain Dilon Ke Carava
Kashtiyaan Saahil Pe Aksar Doobti Hain Pyaar Ki

Manzilen Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Na De To Musafir Kya Kare
Yoon To Hai Hamdard Bhi Aur Hamsafar Bhi Hai Mera
Badh Ke Koi Haath Na De Dil Bhala Phir Kya Kare

Doobne Wale Ko Tinke Ka Sahar Hi Bahut
Dil Behal Jaaye Fakat Itna Ishaara Hi Bahut
Itne Par Bhi Aasmaan Wala Gira De Bijliyan
Koi Batlade Bhala Yeh Doobta Phir Kya Kare

Pyaar Karna Jurm Hai To Jurm Hamse Ho Gaya
Kaabile Maafi Hua Karte Nahin Aise Gunha
Sangdil Hai Yeh Jahan Aur Sangdil Mera Sanam
Kya Karen Josh-E-Junoon Phir Hausal Phir Kya Karen

Mujhe Le Chalo Aaj Is

Singer: MOHAMMAD RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Mujeh Le Chalo, Aaj Phir Us Gali Mein
Jahan Pehele Pehele Yeh Dil Ladkadaaya,
Voh Duniya Voh Meri, Mohobbat Ki Duniya,
Jahan Se Mein Betaabiyan Le Ke Aaya,
Mujeh Le Chalo...

Jahan So Rahi Hai, Meri Zindagani,
Jahan Chod Aaya, Mein Apni Jawani,
Wahan Aaj Bhi Ek Chokat Mein Taaza,
Mohobbat Ke Sajadon, Ki Hogi Nishani, (2)
Mujeh Le Chalo...

Voh Duniya Jahan, Uske Naksh-e-kadam Hai,
Wahin Mere Khushiyan, Wahin Mere Gam Hai,
Mein Le Aavunga Khakh, Us Rehguzar Ki,
Ke Us Rehguzar Ke, Tho Zar-e-sanam Hai, (2)
Mujeh Le Chalo...

Wahan Ek Rangin, Chilman Ke Peeche,
Chumakta Huva Uska, Ruksaar Hoga,
Basalunga Aankhon Mein, Voh Roshni Mein,
Yunhi Kuch Ilaaj-e-dil-e-zaar Hoga, (2)
Mujeh Le Chalo...

Mujeh Le Chalo, Aaj Us Gali Mein,
Jahan Pehele Pehele Yeh Dil Ladkadaaya,
Voh Duniya Voh Meri, Mohobbat Ki Duniya,
Jahan Se Mein Betaabiyan Le Ke Aaya,
Mujeh Le Chalo...

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SHARAABI ...