Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SHARARAT

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Ajab Hai Dastan Teri Ay

Singer: MOHD RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindag
Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi
Kabhi Hasa Diya Rula Diya Kabhi
Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi

Tum Aayi Maa Ki Mamta Liye To Muskuraye Hum
Ke Jaise Phirse Apne Bachpan Mein Laut Aaye Hum
Tumhare Pyaar Ke Isi Aanchal Tale
Phirse Deepak Jale Phirse Deepak Jale
Dhala Andhera Jagi Raushani
Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi

Magar Bada Hi Sangdil Hai Yeh Malik Tera Jahan
Yahan Maa-Beton Pe Bhi Log Uthate Hai Ungliyan
Kali Woh Pyaar Ki Sulagte Reh Gayi
Har Taraf Aag Thi Har Taraf Aag Thi
Hasane Aayi Thi Rulakar Chali
Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi

Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi
Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi
Kabhi Hasa Diya Rula Diya Kabhi
Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi

Dil Ne Pyar Kiya

Singer: MOHAMMAD RAFI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se
Pachtaarahen Hein...
Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha..
Tum Pe Waara Tha.,
Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se...

Kal Tum Ne Jo Hamse Waade Kiye The,
Kahan Hai Kahan Hai Kahan Hai.. Voh Waade..,
Kal Tumne Jo Hamse Khayin Thi Kasame,
Kahan Hai Kahan Hai Kahan Hai.. Voh Kasame..,
Na Itaraayi Yeh Na Muskaayi Yeh, Sharmaayiye..
Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha..
Tum Pe Waara Tha.,
Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se...

Ay Jaan-e-jaan Tum Ko Pooja Hai Ham Ne..,
Zara Yaad Kijye Voh Raaten Suhaani,
Humraaz Thi Tum Meri Zindagi Ki,
Magar Aaj Badali Huyi Hai Kahani,
Yeh Kya Hogaya, Yeh Kyon Hogaya, Samaj Na Saka..
Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha..
Tum Pe Waara Tha.,

Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se...
Ay Gulbadan Sabse Mumtaaz Thi Tum,
Mahal Pyar Kaa Ik Banaya Tha Maine..,
Yeh Kiski Nazar Se Jala Aashiyaana,
Bade Naaz Se Ghar Sajaayatha Maine,
Luti Zindagi, Miti Bandagi.. Mili Bekasi..
Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha..
Tum Pe Waara Tha.,

Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se...
Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se,
Pachtaarahen Hein...
Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha..
Tum Pe Waara Tha.,
Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se...

Ek Ladki Mujhe

Singer: SONU NIGAM AND ALKA YAGNIK

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
Ek ladki mujhe chaahti hai magar - 2
Bolti kuch nahin, main kya karoon

--FEMALE--
Ek ladka mujhe dekhta hai magar - 2
Bolta kuch nahin, main kya karoon

--MALE--
Meri tamanna usko pataa hai
Anjaan hai voh sab jaankar
Usne to meri duniya badal di
Uski mohabbat mein hai asar
Uske binaa ab tanhaa lage hai
Mujhko meri zindagi

--FEMALE--
Aisa lagta hai kyoon, vaisa lagta hai kyoon - 2

--MALE--
Aisa lagne lagaa, main kya karoon

--FEMALE--
Mehsoos har pal karti hoon usko
Voh dhadkanon ka ehsaas hai
Dil keh raha hai usko bataa doon
Voh meri saanson ki pyaas hai
Bas jaaoongi main uski nazar mein
Doongi usse har khushi

--MALE--
Keh rahi bekhudi, kab milegi khushi - 2

--FEMALE--
Sharm aaye mujhe, main kya karoon

--MALE--
Ek ladki mujhe

--FEMALE--
Ek ladka mujhe

--BOTH--
Mmm hmm hmm hmm hmm hmm
Hum kya kare

Kuch tum kaho, kuch hum kahe

Singer: SONU NIGAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

(Kuch tum kaho, kuch hum kah
Phir ho shuru yeh daastaan) - 2
Yeh to kahaani hai apne pyaar ki
Betaab dhadkan ke ikraar ki
Dil mein hai kya, tum jaan lo
Jo hum kahe maan lo
Jaan lo, maan lo, jaan lo
Kuch tum kaho, kuch hum kahe

Hosh hai kahin na qaraar hai
Dard hai ajab sa khumaar hai
O, kya kare, deewanon sa haal hai
Har ghadi tumhaara khayaal hai
Neend bhi aaye na raat bhar
Dhoondhti tumhe har ghadi nazar
Tumko nahin shaayad iski hai khabar
Chaahega na koi tumko is kadar
Dil mein hai kya, tum jaan lo
Jo hum kahe maan lo
Jaan lo, maan lo, jaan lo
Kuch tum kaho, kuch hum kahe

Hum teri baahon mein so gaye
Chain ke panaahon mein kho gaye
O, ek haseen suhaani se shaam de
Aa tujhe mohabbat ka naam de
Hum sabhi rasmon ko tod de
Tum kaho to duniya bhi chhod de
Hoke judaa ek pal na reh paayenge
Royenge, tadpenge, hum mar jaayenge
Dil mein hai kya, tum jaan lo
Jo hum kahe maan lo
Jaan lo, maan lo, jaan lo - 2
Kuch tum kaho, kuch hum kahe
Phir ho shuru yeh daastaan

Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai

Singer: HARIHARAN, ARVINDER SINGH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akel
Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela
Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela
Humko Aisa Laga Jab Hame Tu Mila
Surmiye Raat Mein Chand Jaise Kila
Tere Charon Taraf Hai Laga
Sitaron Ka Yeh Mela
Sitaron Ka Yeh Mela

Bhola Hai Sada Hai Tu Koyi Shehzaada Hai
Hum Tujhko Chahenge Apna To Yeh Vaada Hai
Gham Ho Chhaye Khushi Keh Rahi Zindagi
Tujh Pe Qurbaan Hai Apni Jaan
Deewane Muskura De
Deewane Muskura De
Deewane Muskura De

Aankhon Mein Sapne Hai Anjani Yeh Raatein Hai
Tum Se Woh Kehni Hai Is Dil Mein Jo Baaten Hai
Tu Shararat Kare Hum Se Jagda Kare
Phir Bhi Hum To Tujhe Apna Maane
Yeh Raaz Tune Jaane
Yeh Raaz Tune Jaane
Yeh Raaz Tune Jaane

Lambhi Umr Ki Hum Tujko Duaen De
Chume Tera Maatha Teri Balaye Le
Mamta Ke Aanchal Mein Tujhko Sulaye Gaye
Tujhse To Hai Koyi Naata
Lage Tu Hame Pyaara Tu Sab Se Hai Nyaara
Hamara Tu Sahara
Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela
Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela
Humko Aisa Laga Jab Hame Tu Mila
Surmiye Raat Mein Chand Jaise Kila
Tere Charon Taraf Hai Laga
Sitaron Ka Yeh Mela
Sitaron Ka Yeh Mela
Sitaron Ka Yeh Mela

Mehki Hawaaon Mein

Singer: SONU NIGAM AND K.K.

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE 1-
Hmm hmm, mm mm eh hey, ay ra di de, re re
(Hey mehki hawaaon mein chaaron dishaaon mein
Nikla main aazaad hoke
Manzil meri jaane kahan hai
Mujhko nahin hai pataa) - 2
Dil kahe jhoom loon, aasmaan choom loon - 2

Beete din tanhaai ke
Masti ke pal aaye hai
Yaaron is deewane ki
Khushiyaan vaapas laaye hai
Mujhko un veeraanon mein
Lautke jaana nahin

--MALE 2--
Hmm, tera unse bhalaa ab hai kya vaastaa
Jo mili har khushi, dard hai kis baat ka

--MALE 1--
Bekhabar ho gaya, main kahan kho gaya - 2

Hum to aise panchhi jo pinjre se ud jaate hain
Karte apni marzi ki
Haath kisi ke na aate hai
Humko saare zamaane ka
Dard aur gham bhool jaana hai

--MALE 2--
Hmm, khoshishe teri saari ho jaayengi na kaam
Chain se na kategi teri subh-o-shaam
Yaad unki jab aayegi to rulaayega dil
Ab kabhi na main bhool paayega dil

Na Kisi Ki Aankh Ka

Singer: TALAT AZIZ

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Na kisi ki aankh ka noor hoon -
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main voh ek musht-e-ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar mujhse bichhad gaya
Jo chaman fizaa mein ujad gaya
Main ussi ki fasle bahaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qaraar hoon

Main kahan rahoon, main kahan basoon
Na yeh mujhse khush, na voh mujhse khush
Main zameen ki peeth ka boj hoon
Main falak ke dil ka ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Paye faateha koi aaye kyoon
Koi chaar phool chadaaye kyoon
Koi aake shamma jalaaye kyoon - 2
Main voh bekasi ka mazaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main voh ek musht-e-ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Singer: TALAT AZIZ

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoo
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon

Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Yeh Main Kahan

Singer: SONU NIGAM

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE 1-
(Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai) - 2
Do hi ghadi mein ghabra gaya
Yahan zindagi badi bore hai
Aaye nazar na koi raasta
Kinse padaa hai mera vaasta
Samajh mein kuch bhi aaye na
Main kya karoon bhalaa
Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai

Koi jaane na, yaaron ke binaa
Khoya khoya sa main rahoon
Yaad aa rahe beete din mujhe
Kaise yeh ghutan main sahoon
Dekho to gaur se achha sa jhel hai
Tum saare rehte jahan
Na koi khwaab hai, na koi rang hai
Na koi hai daastaan
Neend se jaago, saath mere bhaago
Mushkil hai jeena yahan

--MALE 2--
Poocho zara hai kaisi zindagi
Jaise jeeyo hai vaisi zindagi
Jahan hai gham vahin khushi
Yeh socho to zara

--MALE 1--
Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai

--MALE 2--
Nafratein yahan rukti hi nahin
Is duniya mein pyaar hai
Begaana hai yahan koi bhi nahin
Aisa yeh parivaar hai
Dharti ki gaud mein yeh apna swarg hai
Hanske yahan rehte hain hum
Hai unche hausle umeedein bhi hai jawaan
Humko na yahan koi gham
Naadaan hai, baccha hai
Akal ka tu kachcha hai
Tujhko nahin kuch bhi pataa

--MALE 1--
Buddhe ped ho, kuch na paaoge
Jhukoge na jo tum, to toot jaaoge
Na zid karo re maan lo
Yeh kehna tum mera

--MALE 2--
Aati jaati hain mushkilein badi
Haar hum kabhi maante nahin
Jaan jaaoge, maan jaaoge
Tum abhi hamein jaante nahin
Yeh bataayenge beta kal tujhe
Buddhe ped hi denge phal tujhe
Buzurgon ki jo na sune
Voh roye baad mein

--MALE 1--
Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SHARARAT ...