Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film SHREE 420

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Dil ka haal sune dil waala

Singer: MANNA DEY

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Dil ka haal sune dil waal
Seedhi si baat na mirch masaala
Kehke rahega kehne waala
Dil ka haal sune dil waala
Chhote se ghar mein gareeb ka beta
Main bhi hu maan ke naseeb ka beta - 2
Ranj-o-gham bachpan ke saathi
Aandhiyo mein jali jeewan baati
Bhukh ne hain bade pyaar se paala
Dil ka haal sune dil waala

(Haay karu kya surat aisi,
Gaanthhke poore chor ke jaisi) - 2
Chalta phirta jaanke ek din,
Bina dekhe pehchaan ke ek din
Baandhke le gaya pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Budhhe daaroga ne chashme se dekha -2
Aage se dekha peechhe se dekha,
Upar se dekha neeche se dekha
Bola ye kya kar baithhe ghotaala,
Haay ye kya kar baithhe ghotaala
Ye to hai thaanedaar ka saala
Dil ka haal sune dil waala

Gham se abhi azaad nahi main
Khush magar aabaad nahi main -2
Manzil mere paas khadi hai,
Paau mein lekin bedi padi hai
Taanga deta hai daulat waala,
Dil ka haal sune dil waala

Sun lo magar ye kisi se na kehna
Tinke ka leke sahaara na behna -2
Bin mausammal haar na gaana,
Aadhi raat ko machchil laana
Varna pakad lega pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Ichak Dana Beechak Dana

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Lata: Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dan
Kids: (repeat)
Lata: Chhajje upar ladki naache laka hai deewana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya?
Kids: Pranam(?) Ichak dana beechak dana daane upar dana ichak dana

Lata: Chhoti si chokri laalbayi naam hai
Kids: (repeat)
Pehne woh ghaghra ek paisa daam hai
Kids: (repeat)
Lata: O, o o o o a a a a
Munh mein sabke aag lagaaye aata hai rulaana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya?
Kids: Michree!!, Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana

Lata: Hari thi man bhari thi laakh moti jadi thi
Kids: (repeat)
Lata: Raja ji ke baag mein dushaala odhe khadi thi
Kids: (repeat)
Lata: O, o o o o a a a a
Kachche-pakke baal hain uske mukhda hai suhana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya? Bolo bolo
Raaj: Buddhee
Kids: Bhutta!!, Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana

Lata: Ek janwar aisa jiske doom par paisa
Kids: (repeat)
Lata: Sar pe hai taaj bhi baadshah ke jaisa
Kids: (repeat)
Lata: O, o o o o a a a a
Baadal dekhe chham-chham naache albela mastaana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya? Bolo na
Kids: Mor.., Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana
Lata: Chhajje upar ladki naache laka hai deewana, ichak dana
Kids: (repeat)

Mukesh: Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana -2

Chaale woh chalkar dil mein samaaya
Aap hi gaya woh kiya hai safaaya
Tum bhi dekho bachkar rehna chakkar mein na aana, ichak dana -2
Raaj, Kids: Bolo kya?
Lata: Ghum?
Raaj: Huh!, hum..

O Jaanewale Mud Ke Zara Dekhte Jaana

Singer: LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

tumhe kasam hai mere dil ko yu na tadpaaa
yeh iltejaa hai ke mud mud ke dekhte jaao
(o jaanewale mud ke zara dekhte jaana
zara dekhte jaana ) -2
dil tod ke toh chal diye mujhko na bhulana
zara dekhte jaana

(fariyaad kar rahi hai khaamosh nigaahe
khamosh nigaahe) - 2
aankhon ki tarah aankh se mujhko na girana
zara dekhte jaana
o jaanewale mud ke zara dekhte jaana
zara dekhte jaana

Pyaar Hua Ikraar Hua

Singer: MANNA DEY AND LATA MANGESHKAR

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

--MALE-
(Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil) - 2

--FEMALE--
(Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil) - 2

--MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

--FEMALE--
Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

--MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

--FEMALE--
(Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa)

--MALE--
Kaho ki apni preet ka geet na badlega kabhi

--FEMALE--
Tum bhi kaho is raah ka meet na badlega kabhi
Pyaar jo toota, saath jo chhoota

--BOTH--
Chaand na chamkega kabhi

--MALE--
Aa ha ha, aa ha ha
Aa aa aa, aa aa aa

--FEMALE--
(Aa ha ha, aa ha ha
Aa aa aa, aa aa aa)

--MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

--FEMALE--
Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

--MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

--FEMALE--
(Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa)
Raatein dason dishaaon se kahengi apni kahaaniyaan

--MALE--
Geet hamaare pyaar ke dohraayegi jawaaniyaan

--FEMALE--
Main na rahoongi, tum na rahoge
Phir bhi rahengi nishaaniyaan

--BOTH--
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil
(Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil) - 2

--MALE--
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

--FEMALE--
(Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa)

Shaam Gayi Raat Aayi

Singer: LATA MANGESHKAR, CHORUS

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

shaam gayi raat aayi ke balam aaja -
taaron ki baraat aayi ke balam aaja - 2
o balam aaka ab toh sanam aaja - 2
shaam gayi raat aayi ke balam aaja

raat aur din ke milan ki ghadi mein
thandi thandi saawani ki chhadi mein
do dilon ne jo baandhe the bandhan
unmein khoyi khadi main khadi main
yaad mulaakat aayi ke balam aaja - 2
o balam aaka ab toh sanam aaja - 2
shaam gayi raat aayi ke balam aaja

meechu aankhein toh teri suratiya
cham cham chamken jaise bijuriya
pyar bhar tere naino ke rang mein - 2
bheege mann ki chunariya chunariya
jaise barsaat aayi ke balam aaja - 2
o balam aaka ab toh sanam aaja - 2
haam gayi raat aayi ke balam aaja
taaron ki baraat aayi ke balam aaja

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about SHREE 420 ...