Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film WAARIS

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Gazab Kiya Tere Vaade Pe

Singer: RAJKUMARI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

gazab kiya tere waade pe aitabaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intazaar kiya

sautan ghar na ja o more saiyaan -2
sautan ghar na ja bairan ghar na ja o more saiyaan
sautan ghar na ja o more saiyaan

kabar na thi ke hamein ashqabaar kar doge
hamaari kushiyaan kisi par nisaar kar doge
tod ke mera pyaar ka sapana -2
na ja padu main tore paiyaan o more saiyaan -2
sautan ghar na ja bairan ghar na ja o more saiyaan

Kabhi Hain Gam Kabhi

Singer: TALAT MOHAMMAD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

kabhi hain gam kabhi khushiyan yahi to zindagani hai
kabhi lab par hansi hai aur kabhi ankhon mein pani hai
kabhi hain gam

na ghabra asaman par chha gaya hai aaj agar badal - 2
ke ye badal hi chanda ke nikalne ki nishani hai - 2
kabhi hain gam

bhara karate hain zakhm-e-dil aur aansu bhi hain tham jaate - 2
aur ansu bhi hain tham jaate
banai jisne duniya ye usi ki meharbani hai - 2
kabhi hain gam ...

Mere Pyaar Ki Umar Ho Itni Sanam

Singer: LATA MANGESHKAR & VINOD RATHOD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Mere Pyaar Ki Umar Ho Itni Sanam
Tere Naam Se Shuru, Tere Naam Pe Khatam
Teri Khushi Se Hai, Khushi, Tere Gham Se Hai Gham,
Tere Naam Se Shuru, Tere Naam Pe Khatam
Mere Pyaar Ki...

Mere Sapne Gulaabi Neenden Ho Gayi Jawaan
Lo Aake Teri Baahon Mein, Ho, Lo Aake Teri Baahon Mein
Maein Kho Gayi Kahaan
Haazir Hai Jaan, Jaan-E-Man, Jaan Ki Qasam,
Tere Naam Se Shuru...

Bin Tere Ik Pal Bhi Mujhse Raha Nahin Jaye
Ye Door Door Rehna,
Ye Door Door Rehna, Ab Sahaa Nahin Jaye
Teri Pyaar Bhari Baahon Mein Hi Niklega Dam,
Tere Naam Se Shuru

Raahi Matvaale Tu Ched Ek Baar (Slow Version)

Singer: TALAT, SURAIYYA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

raahi matavaale, tu chhed ik baar, man ka sitaar
jaane kab chori chori aai hai bahaar, chhed man ka sitaar
raahi matavaale, raahi matavaale

raahi matavaale, raahi matavaale
(dil ka suruur tuu, maang ka sinduur tu
man kahe baar baar aayega zaruur tu
aayega zaruur tuu) -2
tujhako bulaaye mere ansuon ki dhaar -2
aaja ek baar

raahi matavaale, tu aaja ek baar, suuni hai sitaar
tere bina ruuth gayi hamase bahaar, tu aaja ek baar

aankh na milaaye mose bairan nindiyaa, bairan nindiyaa
aankh na milaaye mose bairan nindiya
piya kahaan piya kahaan, (puuch rahi bindiya )-2
aankh na milaaye mose bairan nindiyaa, bairan nindiya
ruuth raha mujhase mera hi singaar -2
aaja ek baar

raahi matavaale, tu aaja ek baar, suuni hai sitaar
tere bina ruuth gayi hamase bahaar, aaja ek baar

Raahi Matwaale Tu Ched Ek Baar

Singer: TALAT, SURAIYYA

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

raahi matwaale, tu chhed ek baar, man ka sitaar
jaane kab chori-chori aayi hain bahaar
chhed man ka sitaar

(dekh dekh chakori ka mana hua chanchal
chanda ke mukhade pe badli ka aanchal) -2
kabhi chhupe, kabhi khile, roop ka nikhaar,
khile roop ka nikhaar

kali-kali choom ke pavan kahe khil ja
kali-kali choom ke,
khili kali bhanvare se kahe aa ke mil jaa
a piya mila jaa, kali-kali choom ke
dil ne suni kahi dil ki pukaar -2
kahi dil ki pukaar

(raat bani dulhan bheegi hui palkein
bheeni-bheeni kushbu se saagar chhalke) -2
aaise mein naina se naina hon chaar
zara naina ho chaar

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about WAARIS ...