Lucknow: The City of Laxman & Rich Heritage | Uttar Pradesh, India

Songs from film ZOR

Explore all the lyrics from this amazing film and get lost in the music!

Gam Na Karo

Singer: AGOSH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

gam na karo ye gam ke din beet jaayenge
badlega phir ye mausam ham geet gaayenge
ham aaj haare hain to kal jeet jaayenge
badlega phir ye mausam ...

is tarah kyon baithe ho tum zindagi se roothe roothe
ye tumhein kya jaane ho gaya
saamne hai apni manzil thak gaye kyon chalte chalte
hausala kyon aise kho gaya
ham aaj haare hain ...

tumne dekha mujhko aaise yu laga patjhad mein jaise
phool mere dil mein khil gaye
tumne pakda haath mera mit gaya dil ka andhera
chaand suraj mujhko mil gaye
o gam na karo ye gam ...

Main Apna Naam Bhoola

Singer: ALKA YAGNIK., VINOD RATHOD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

tere pyaar mein teri yaad mein
main apna naam bhooli saara jahaan bhooli
ye subah-o-shaam bhooli main bekaraar
tere pyaar mein ...

tera bhi haal aaisa mera bhi haal aaisa jaane ye saal kaisa hoy
main apna naam bhooli ...

jaane aur kya kya ab hone vaala hai tere pyaar mein
neend meri chain mera khone vaala hai tere pyaar mein
ham dono dekho kaise paagal hain ham dono
panchi hain paagal hain premi hain ghayal hain
masti mein aajkal hain
main apna naam bhoola ye subah-o-shaam bhoola
saara jahaan bhoola main bekaraar
main apna naam bhooli ...

anjaana sa koi jaadu chalta hain tere pyaar mein
bin tere jalte hain barsaaton mein bin tere
bas teri baaton mein jagte hain raaton mein le ke dil haathon mein
main apna naam bhooli ...

tera bhi haal aaisa mera bhi haal aaisa sohani mahivaal jaisa hoy
main apna naam bhooli ...

Main Kudi Anjaani

Singer: HEMA SARDESAI

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

Main kudi anjaani hoon, shaher anjaana h
Kahan main chali aayi ho, kahan tha mujhe jaana ho
Yahan pe bhanwre, vahan pe bhanwre
Kahan pe hai voh mera parwaana
Main kudi anjaani hoon, shaher anjaana ho
Kahan main chali aayi ho, kahan tha mujhe jaana ho
Yahan pe bhanwre, vahan pe bhanwre
Kahan pe hai voh mera parwaana
Sab ki nigaahon mein dhoka hai, dhoka hai
Hey, sab ki nigaahon mein dhoka hai, dhoka hai
Dil ne mere yeh mujhe roka hai, roka hai
Dil lene waale dekhe, dil dene waale dekhe
Dekha nahin hai koi jaan dene waala
Ho, dil lene waale dekhe, dil dene waale dekhe
Dekha nahin hai koi jaan dene waala
Nigaahein sab dekhe, adaayein sab dekhe
Dekhe na koi mera sharmaana
Main kudi anjaani hoon, shaher anjaana ho
Kahan main chali aayi ho, kahan tha mujhe jaana ho
Yahan pe bhanwre, vahan pe bhanwre
Kahan pe hai voh mera parwaana
Aankhen churaake mujhe jaane do, jaane do
Hey, aankhen churaake mujhe jaane do, jaane do
Daaman bachaake mujhe jaane do, jaane do
Voh pyaar karne waale zamaane se niraale
Baaqi to saare rang roop ke shikaare
Haai re, voh pyaar karne waale zamaane se niraale
Baaqi to saare rang roop ke shikaare
Alag hai aji haseen lagi, alag hai voh dil ka lagaana
Main kudi anjaani hoon, shaher anjaana ho
Kahan main chali aayi ho, kahan tha mujhe jaana ho
Yahan pe bhanwre, vahan pe bhanwre
Kahan pe hai voh mera parwaana, ooi maa
Main kudi anjaani hoon, shaher anjaana ho
Kahan main chali aayi ho, kahan tha mujhe jaana ho
Yahan pe bhanwre, vahan pe bhanwre
Kahan pe hai voh mera parwaana
Aha, main kudi anjaani, shaher anjaana
Kahan main chali aayi, ho...

Pehli Pehli Baar Jaaga

Singer: VINOD RATHOD

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

pehli pehli baar jaaga hain pehla pyar tere hi liye - 2
hain yahi dua tere mere pyar ko nahi lage nazar kisi ki
rab se maangu aur kya

nain jhuke hain yu sharam se kya kahu main kasam se
kya kya armaan dil mein jage ki paaya hain jab se pyar tera
dil ko lubha jaaye teri sharm ye bholapan
thi kismat hamari sanam ki laakhon mein tumko paya hain
ab yahi dua mere pyaar teri kushiyon ko na lage kabhi nazar gam ki bhi
rab se maangu ...

pyaar ka safar hain ye pyaara
kar lo ye vaada le ke haathon mein haath mera
chaloge mere sang yu hi sada
ho dhoop ya chaya ho andhera ya ujaala ho khushi ka ya gam ka samaa
ab tera ye daaman chhoote na
hain yahi dua teri baahon mein jeena marna ho tere kadmon mein
pehli pehli baar jaaga ...

Zor Dekho Zor Dekho

Singer: AAGOSH

Music Director: N/A

Lyricist: N/A

Lyrics

zor
zor dekho shor dekho thoda kaho thoda suno
zor dekho shor dekho thoda ruko thoda chalo
kisi ne kisi se kaha macha hai shehar mein ye shor ye hain zor

zindagi khushnuma waqt khilta hua
jo sapanon mein tha vo bhi haasil hua
dil ko baandhe hue pyaar ki dor hain
ye kahaani to hai jab talak zor hain
zor dekho shor dekho ...

jab bhi dar sa lage chaand chupne lage
ho andhera bada tum agar ruk gaye
ye nahi dekhana raat ghanghor hain
yaad rakhana zara tum mein bhi zor hai
zor dekho shor dekho ...

Commercial Ad Space

Another Ad Space

Back to Film List

Loading engaging content about ZOR ...