FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SHARAABI

Read available SHARAABI lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

De De Pyar De - Male

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of De De Pyar De - Male

meena arey meena aa gaya tera deewan bata bata arey kaha hai tera thikana hum bande hai pyar ke maange sabki khair apani sabse dosti nahi kisise bair (de de pyaar de de de pyaar de pyaar de pyaar de re hamein pyaar de )-2 duniya wale kuchh bhi samajhen ham hain prem deewane jahaan bhi jaayen tujhe pukaaren gaa ke prem taraane de de pyaar de ... aane ko to roz hi aate suraj chaand sitaare ho phir bhi andheri hai ye duniya tu hi raah dikhaaye prem pyaar sukh chain ki varshaa teri nazar se barsen ye dukh dard ki aag mein bhi koi dil naa pyasa tarse de de pyaar de ... yahaan dilon ke bich khadi jo vo deewar giraa de haan dil mein soyi soyi aisi pyaar ki jot jagaa de pyaar ho dil mein to lagti hai saari duniya pyari ham saari duniyaa ke saari duniyaa hamaari de de pyaar de ...

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen Wahin Raat Ho Gulzar Mehfil Rangeen Jame Dhoom Mache Daur Chale Mast Mast Nazar Dekhe Naye Chamatkar Jahan Chaar Yaar... One O Clock In My House There Was A Cat There Was A Mouse Khel Rahe The Danda Gilli Chooha Aage Peechhe Billi Choohe Ko Pad Gaye Jaan Ke Laale Bola Mujhko Koi Bachale Mere Paas Tha Bhara Gilass Pee Gaya Chooha Saari Whisky Kadak Ke Bola Kahan Hai Billi Dum Dabake Billi Bhaagi Choohe Ki Phuti Kismat Jaagi Khel Risky Tha Whisky Ne Kiya Beda Paar Mehfil Rangeen Jame... Ek Tha Husband Ik Thi Wife Miserable Thi Unki Life Drunkard Husband Fighter Wife Roz Ke Jhagde Roz Ke Lafde Lafde Jhagde, Jhagde Lafde Biwi Ki Thi Ek Saheli Usne Usko Kuchh Samjhaya Tab Biwi Ki Samajh Mein Aaya Raat Ko Husband Peekar Aaya Darwaze Pe Phir Chillaaya Us Din Biwi Ban Gayi Bholi Kundi Kholi Haske Boli Janeman Zara Andar To Aao Pehle To Kuch Khao Vaao Phir Bistar Pe Hongi Baatein Bade Pyaar Se Katengi Raatein Husband Chauka , Yeh Bhule Se Maein Kiske Ghar Aa Gaya Yaar Meri Biwi Mujhe De Nahin Sakti, Kabhi Itna Pyaar Husband Bistar Chhodh Ke Bhaaga Kundi Taala Todh Ke Bhaaga Bola Devi Mujhe Maaf Kijiye Mere Saath Zara Insaaf Kijiya Mujhko Apne Ghar Jaana Hai Warna Biwi Phir Maregi Tab Biwiki Samajh Mein Aaya Peena Chhoot Gaya Biwine Itna Diya Pyaar Phir Dono Aise Mile Pyaar Mein Hi Doob Gaye Pyar Agar Mile To Har Nasha Hai Bekaar Jahan Chaar Yaar...

Kabhi Na Kabhi

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Kabhi Na Kabhi

kabhee naa kabhee kaheen naa kaheen, koee naa koee to aayegaa apanaa mujhe banaayegaa, dil mein mujhe basaayegaa kab se tanahaa ghoom rahaa hoon, duniyaan ke wiraane mein khaalee jaam liye baithhaa hoon kab se is mayakhaane mein koee to hogaa meraa saakee, koee to pyaas bujhaayegaa kabhee naa kabhee, kaheen naa kaheen, koee naa koee to aayegaa apanaa mujhe banaayegaa, dil mein mujhe basaayegaa kisee ne meraa dil naa dekhaa, naa dil kaa paigaam sunaa mujh ko bas aawaaraa samajhaa, jis ne meraa naam sunaa ab tak to sab ne thukaraayaa, koee to paas bithhayegaa kabhee naa kabhee, kaheen naa kaheen, koee naa koee to aayegaa apanaa mujhe banaayegaa, dil mein mujhe basaayegaa kabhee to degaa sannaate mein, pyaar bharee aawaaz koee kaun ye jaane kab mil jaaye raste mein humaraaz koee mere dil kaa dard samajhakar do aansoo to bahayegaa kabhee naa kabhee, kaheen naa kaheen, koee naa koee to aayegaa apanaa mujhe banaayegaa, dil mein mujhe basaayegaa

Log Kehte Hai Ke Main Sharaabi Hoon

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of Log Kehte Hai Ke Main Sharaabi Hoon

Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan ... Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon Kisipe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha Kisike Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha Kisiko Dekhke Saanson Se Ubharta Hai Nasha Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha Hava Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon... Thodi Aankhon Se Pila De Re Sajni Deewaani Tujhe Maein Tujhe Maein Tujhe Naulakha Manga Doonga Sajni Deewaani...

Manzile Apni Jagah Se

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of Manzile Apni Jagah Se

Manzilo Pe Aa Ke Lootate Hai Dilon Ke Caaravaa Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyaar Ki Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah (2) Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa (2) Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa Fir Kyaa Kare Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunaah Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Meraa Sanam Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hauslaa Fir Kyaa Kare Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare

Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain

Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain Dilon Ke Carava Kashtiyaan Saahil Pe Aksar Doobti Hain Pyaar Ki Manzilen Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah Jab Kadam Hi Saath Na De To Musafir Kya Kare Yoon To Hai Hamdard Bhi Aur Hamsafar Bhi Hai Mera Badh Ke Koi Haath Na De Dil Bhala Phir Kya Kare Doobne Wale Ko Tinke Ka Sahar Hi Bahut Dil Behal Jaaye Fakat Itna Ishaara Hi Bahut Itne Par Bhi Aasmaan Wala Gira De Bijliyan Koi Batlade Bhala Yeh Doobta Phir Kya Kare Pyaar Karna Jurm Hai To Jurm Hamse Ho Gaya Kaabile Maafi Hua Karte Nahin Aise Gunha Sangdil Hai Yeh Jahan Aur Sangdil Mera Sanam Kya Karen Josh-E-Junoon Phir Hausal Phir Kya Karen

Mujhe Le Chalo Aaj Is

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Mujhe Le Chalo Aaj Is

Mujeh Le Chalo, Aaj Phir Us Gali Mein Jahan Pehele Pehele Yeh Dil Ladkadaaya, Voh Duniya Voh Meri, Mohobbat Ki Duniya, Jahan Se Mein Betaabiyan Le Ke Aaya, Mujeh Le Chalo... Jahan So Rahi Hai, Meri Zindagani, Jahan Chod Aaya, Mein Apni Jawani, Wahan Aaj Bhi Ek Chokat Mein Taaza, Mohobbat Ke Sajadon, Ki Hogi Nishani, (2) Mujeh Le Chalo... Voh Duniya Jahan, Uske Naksh-e-kadam Hai, Wahin Mere Khushiyan, Wahin Mere Gam Hai, Mein Le Aavunga Khakh, Us Rehguzar Ki, Ke Us Rehguzar Ke, Tho Zar-e-sanam Hai, (2) Mujeh Le Chalo... Wahan Ek Rangin, Chilman Ke Peeche, Chumakta Huva Uska, Ruksaar Hoga, Basalunga Aankhon Mein, Voh Roshni Mein, Yunhi Kuch Ilaaj-e-dil-e-zaar Hoga, (2) Mujeh Le Chalo... Mujeh Le Chalo, Aaj Us Gali Mein, Jahan Pehele Pehele Yeh Dil Ladkadaaya, Voh Duniya Voh Meri, Mohobbat Ki Duniya, Jahan Se Mein Betaabiyan Le Ke Aaya, Mujeh Le Chalo...
Back to Film List

About SHARAABI Songs and Lyrics

Explore the SHARAABI soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SHARAABI.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics