FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from BABUL

Read available BABUL lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chod Baabul Ka Ghar-Part1

Singer: SHAMSHAD

Lyrics of Chod Baabul Ka Ghar-Part1

sha : chod baabul ka ghar, mohe pee ke nagar aaj jaana pada o aaj jaana pada Cho: : chhod baabul ka ghar, mohe pee ke nagar aaj jaana pada sha : yaad maike ki tan se bhulaaye chali Cho : haan bhulaaye chali sha : preet saajan ki man mein basaaye chali Cho : haan basaaye chali sha : yaad kar ke ye ghar, royi aankhen magar muskurana pada o aaj jaana pada Cho : ( chod baabul ka ghar, mohe pee ke nagar aaj jaana pada ) -2

Dhadke Mera Dil Mujhko

Singer: SHAMSHAD, CHORUS

Lyrics of Dhadke Mera Dil Mujhko

sha : ( dhadke mera dil mujhko jawaani raam kasam na bhaaye bachpan yaad aaye ko : ho bachpan yaad aaye ) -2 sha : ho o o ko : ho o o sha : rum-jhum aai hai aai hai sha : ho o ko : rum-jhum aai hai aai hai sha : ho o saawan ki rut albeli ko : saawan ki rut albeli sha : baadal garje bijali chamke ko : baadal garje bijali chamke sha : kaise rahu main akeli ko : kaise rahu main akeli sha : ho kaise rahu main akeli kaun sune baalam bin dil ki baat kahi na jaaye bachapan yaad aaye ko : ho bachapan yaad aaye sha : ho o ko : o o sha : ek to thandi pawan chale, pawan chale ho o o o ko : ek to thandi pawan chale, pawan chale sha : ho o aur dil khaaye hichakole ko : aur dil khaaye hichakole sha : dooje mundere kaaga bole ko : dooje mundere kaaga bole sha : sun ke mera man dole ko : sun ke mera man dole sha : ho sun ke mera man dole bal-bal jaaun kaaga par jo pee ka sandesa laaye bachapan yaad aaye ko : ho bachpan yaad aaye sha : dhadke mera dil mujhko jawaani raam kasam na bhaaye bachapan yaad aaye ko : ho bachapan yaad aaye

duniyaa badal gayee

Singer: NAUSHAD

Lyrics of duniyaa badal gayee

duniyaa badal gayee, meree duniyaan badal gaye tookaden huye jeegar ke, chhuree dil pe chal gayee duniyaa badal gayee, meree duniyaan badal gayee ayesee chalee hawaa ke khushee dukh mein dhal gayee dil khaak ho gayaa, ye kisee ko khabar nahee sab ye samaz rahe hai, tamannaa nikal gayee barabaad ho gayaa meree ummeed kaa chaman jis daal par kiyaa thaa baseraa wo jal gayee

Husn Waalo Ko Na

Singer: TALAT

Lyrics of Husn Waalo Ko Na

husn waalo ko na dil do ye mita dete hain zindagi bhar ke liye rog laga dete hain khoob karte hain ye beemaar-e-mohabbat ka ilaaj dard badhata he rahe aaisi dava dete hain haay kuch in ki mohabbat ka bharosa he nahi pehale dil lete hain phir dil ko bhula dete hain dil lagaaye na zamaane mein haseeno se koi log kehate hain ki ye dil ko daga dete hain

Huve Majboor Ham

Singer: LATA, SHAMSHAD

Lyrics of Huve Majboor Ham

sha : huve majaboor ham aur dil mohabbat karke pachhataya khushi ko lootkar meri bataao tumane kya paaya kisi ke dil mein rehna tha -2 to mere dil mein kyon aaye basaayi thi koi mehafil -2 to is mehafil mein kyon aaye kisi ke dil mein ... la : mera dil le ke mere pyar ko thukra diya tumne sahara deke aankhein pher li ye kya kiya tumne kisi ke dil mein ... sha : khabar kya thi ke armaanon pe tum bijli gira doge meri hansti hui aankhon ko rona bhi tum sikha doge kisi ke dil mein ... la : tumhare geet main gaati thi hardam ho ke deewani mere dil ki magar aawaaz tumne na pehachaani kisi ke dil mein ... sha : basaai thi koi ...

Jadu Bhare Naino Mein

Singer: SHAMSHAD

Lyrics of Jadu Bhare Naino Mein

jaadu bhare naino mein jaadu bhare jaadu bhare naino mein dole jiya, teri kasam dil hai tera deewana dil hai tera dil hai tera deewana bole piya, teri kasam main saawan main saawan aur tu ghata teri-meri preet hai -2 jo dhun papeeha gaaye -2 wo hi mera geet hai -2 maine tujhe dil de ke mainne tujhe mainne tujhe dil de ke jeet liyaa, teri qasam haathon mein haath rahe haathon mein haath haathon mein haath rahe -2 ho haath nahi chodana saath nahi chodana o dekho ji yaad rahe -3 o vaada nahi todana -2 koi nahi is dil mein koi nahi koi nahi is dil mein tere siwa, teri kasam

Jhingoda Jhingoda

Singer: TALAT, SHAMSHAD , RAFI

Lyrics of Jhingoda Jhingoda

ko : jhingoda, jhingoda, jhing jho layi hai ho rabba hai ho ra : nadiya mein utha hai shor chhayi hai ghata ghanaghor jaana door hai sha : ha nadi kinaare, saath hamaare, shaam suhaani aayi chaand ke rath par baith ke jhil-mil -2 raath ki raani aayi shaam suhaani aayi ta : aa ha ha ha naye zamaane, naye taraane, le ke jawaani aai sun-sun jisko naach uthe dil -2 aaisi kahani laai shaam suhani aai ko : jhingodaa, jhingodaa, jhing jho laayi hai ho rabba hai ho -4 ra : nadiya mein utha hai shor chayi hai ghata ghanghor jaana door hai sha : o dharti par aakash hai jab tak ho dil ka nagar aabaad rahega ta : dhalta suraj dhoop sunahari aaj ka mausam yaad rahega -2 sha : rut ye rangeeli pyaar ki saajan -2 ban ke nishaani aayi shaam suhaani aayi do : nadi kinaare, saath hamaare, shaam suhaani aayi ta : aa

Lagan More Man Ki Balam

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Lagan More Man Ki Balam

lagan more man ki balam nahi jaane -2 balam nahi jaane sajan nahi jaane lagan more man ki balam nahi jaane laaj ki maari main to munh se na bolu munh se na bolu bhed kisi se kabhi dil ke na kholu dil ke na kholu thes jiya pe laage -2 chhup-chhup ro lu -2 tadap birhan ki balam nahi jaane balam nahi jaane sajan nahi jaane lagan more man ki balam nahi jaane doob na jaaye kahi aasha ke taare aasha ke taare nain chura ke haay saiyaan hamare saiyaan hamare neha lagaane gaye -2 sautan dwaare -2 kadar mere dhan ki balam nahi jaane balam nahi jaane sajan nahi jaane lagan more man ki balam nahi jaane

Milte hi aankhein dil huwa

Singer: TALAT MEHMOOD

Lyrics of Milte hi aankhein dil huwa

Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika Poochho na mohabbat ka asar, haay na poochho haay na poochho Poochho na mohabbat ka asar, haay na poochho haay na poochho Dam bhara mein koyi ho gaya, parwaana kisika Dam bhara mein koyi ho gaya, parwaana kisika Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika Hanste hi na aa jaaye kahi, aankho mein aansoo aankho mein aansoo Hanste hi na aa jaaye kahi, aankho mein aansoo aankho mein aansoo Bharte hi chhalak jaaye na, paimaana kisika Bharte hi chhalak jaaye na, paimaana kisika Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika

Na Socha Tha Yeh

Singer: SHAMSHAD

Lyrics of Na Socha Tha Yeh

na socha tha ye -2 dil lagane se pehale -2 ke tootega dil -2 muskuraane se pehale -2 ummidon ka suraj -2 na chamka na dooba -2 gahan pad gaya -2 jagmagane se pehle -2 na socha tha ye -2 dil lagaane se pehale -2 agar gam uthana -2 tha kismat mein apni -2 kushi kyon mili -2 gam uthaane se pehle -2 na socha tha ye -2 dil lagaane se pehle -2 kaho bijaliyon se -2 na dil ko jalaayen -2 mujhe phoonk den -2 ghar jalaane se pehle -2 na socha tha ye -2 dil lagaane se pehle -2

Zamane Mein Khushi Ke Saath

Singer: TALAT

Lyrics of Zamane Mein Khushi Ke Saath

zamane mein khushi ke saath, lakhon gam bhi hote hain jahan shehnai bajti hain, wahan matam bhi hote hain mera jeevan sathi bichhad gaya, lo khatam kahani ho gayi lo khatam kahani ho gayi (kismat ne kiye jo dil pe sitam do chahane wale mil na sake ) - 2 kehane ko bahar aaayi thi magar do phul khushi ke khil na sake armanon ka gulshan ujad gaya barbaad jawani ho gayi lo khatam kahani ho gayi (dil deke yahan sab haar gaye duniya mein hamari jeet kahan ) - 2 hothon pe hain shikwe kismat ke vo pyar bhare ab geet kahan jab khel he dil ka bigad gaya har baat purani ho gayi lo khatam kahani ho gayi
Back to Film List

About BABUL Songs and Lyrics

Explore the BABUL soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for BABUL.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics