FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from HUMNASHIN

Read available HUMNASHIN lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aankhain Hai Ya Jaame Sharaab

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Aankhain Hai Ya Jaame Sharaab

Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab - Dilwaalon ka haal kharaab - 2 Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab Halaka halaka baadal hai jaise usaka aanchal hai - 2 Raat bhi kitani paagal hai dekh rahi hai chaand kaha - 2 Dekh rahi hai chaand kaha - 2 Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab Saqi hai tanahai hai dil par masti chayi hai - 2 Tauba kya angdai hai tut na jaaye shakhe gulab - 2 Tut na jaaye shakhe gulab - 2 Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab Rut aayi hai pine ki lon bhadaki hai sine ki - 2 Do hi rahe jine ki ek mohabat ek sharaab - 2 Ek mohabat ek sharaab - 2 Aankhain hai ya jaame sharaab dilwaalon ka haal kharaab Dilwaalon ka haal kharaab - 6

Ek Husne Benaqaab

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Ek Husne Benaqaab

Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi- Kal raat khud sharaab ne muzhase kaha ke pi Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi Usake badan ki shakh ne rah meri rokali - 2 rah meri rokali Honto ke do gulab ne mujhase kaha ke pi - 2 Kal raat khud sharaab ne mujhase kaha ke pi Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi Rukhsar lab nigaah badan sab sharaab the - 2 sab sharaab the pyase har ek khwab ne mujhase kaha ke pi - 2 Kal raat khud sharaab ne mujhase kaha ke pi Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi Khushboo bhare varak the jo khulate chale gaye - 2 khulte chale gaye Masti bhari kitab ne mujhase kaha ke pi - 2 Kal raat khud sharaab ne mujhase kaha ke pi Ek husne benaqaab ne mujhase kaha ke pi

Gore Gaal Pe Kala Til

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Gore Gaal Pe Kala Til

Gore gaal pe kaala til hain - 2 woh ladki badi chanchal ha Deewaana kar dala deewaana mujhe kar dala Kabhi hosh udale jaaye - 2 kabhi neend churaale haaye Deewaana kar dala deewaana mujhe kar dala Gore gaal pe kaala til hai Honth gulaabi chal sharaabi nain hai usake tikhe Usake roop ki dhoop ki aage chaand sitaare phike Use dekh ke koyal gaaye - 2 use dekh ke baadal chaaye Roop bada matwaala - 2 Deewaana kar dala hoy deewaana mujhe kar dala Gore gaal pe kaala til hai Phoolon se wo baatein karati chaandani ke sang khele use dekh ke lag jaate hai geet ghazal ke mele Sangeet khanak uthata hai - 2 har geet mehak uthata hai Wo masti ka pyala - 2 Deewaana kar dala hoy deewaana mujhe kar dala Gore gaal pe kaala til hai Shaayar usape geet likhe aur gaayak tan lagaaye Taar sitaar ke chede saragam aur bansuri gaayein Wo phoolon ki hai wadi - 2 wo pariyon ki shehajaadi Premrang rang dala - 2 Deewaana kar dala hi deewaana mujhe kar dala Gore gaal pe kaala til hai woh ladki badi chanchal hai Deewaana kar dala hi deewaana muzhe kar dala Gore gaal pe kaala til hai

Kuchh Bhi Bacha Na Kehne Ko

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Kuchh Bhi Bacha Na Kehne Ko

kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi - Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi - 2 Tauba ke tutane ka mujhe bhi malal hai - 2 Par kya kare ke shehar mein barsat ho gayi - 2 Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi Phir yu huva ki waqt ka phaasa palat gaya - 3 Umeed jeet ki thi magar maat ho gayi - 2 Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi Naksha uthake koi naya shehar dhundiye - 2 Is shehar mein to sabase mulakaat ho gayi - 2 Aao kahi sharaab piye - 2 raat ho gayi kuchh bhi bacha na kehane ko har baat ho gayi

Sooni Sooni Thi Fiza

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Sooni Sooni Thi Fiza

Sooni sooni thi Fiz Maine yu hi uske baalon mein gondi ghamoshiyon ko chhu liya chhu liya Sooni sooni thi Fiza Woh moodi thodi hansi main bhi hansa - 2 Phir hamaare saath nadiya wadiya baadal phool shehar jungal Sabke sab hasne lage - 2 Sooni sooni thi Fiza Ek mohhale mein kisi ghar ke kisi kone ki chhoti si hansi ne - 2 Dur tak faili hui duniya ko roshan kar diya hai zindagi mein zindagi ka rang phir se bhar diya hai (bhar diya hai) - 2 Sooni sooni thi Fiza Maine yu hi usake balon mein gondi ghamoshiyon ko chhu liya chhu liya Sooni sooni thi Fiza

Tumse Milkar Hi Yakeen Hota Hain

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Tumse Milkar Hi Yakeen Hota Hain

Tumse milkar hi yakeen hota hain - Koi itana bhi haseen hota hain Tumse milkar hi yakeen hota hain Woh samajhte nahi khamoshi ko - 2 Hum se izhaar nahi hota hain - 2 Koi itana bhi haseen hota hain Tumse milkar hi yakeen hota hain Tumako dekhe bhi to dekhe kaise - 2 dil kahi hosh kahi hota hain - 2 Koi itana bhi haseen hota hain Tumse milkar hi yakeen hota hain Ek hi baar behakati hai nazar - 2 Ishq sau baar nahi hota hai - 2 Koi itana bhi haseen hota hain Tumse milkar hi yakeen hota hain

Zindagi Jaam Se Behlaane Chale Jaayenge

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Zindagi Jaam Se Behlaane Chale Jaayenge

Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - Gum sataayega to - 2 maikhane chale jaayenge Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2 Tere maikhaane ki rounak hai hamaare dum se - 3 Tune mooh moda to - 2 deewaane chale jaaayenge Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2 Hum samjhate hai teri aankhon ki kimat saaqi - 3 Deke kuchh hosh ke - 2 nazaraane chale jaayenge Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2 Meri khaamoshi ne rakhha hai aaj tera bharam - 3 Kal bahot door ye - 2 afasaane chale jaayenge Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2 Gum satayega to - 2 maikhane chale jaayenge Zindagi jaam se behlaane chale jaayenge - 2

Zulf Ghata Bankar Lehraaye

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Zulf Ghata Bankar Lehraaye

Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye - Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye aur ghazal ho jaaye Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye Jis deepak ko haath lagaado jalein hazaaron saal - 2 jalein hazaaron saal Jis kutiya mein raat bitaado TajMahal ho jaaye - 2 Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye Kitani yaadein aa jaati hain dastak diye bagair - 2 dastak diye bagair Ab itana bhi sunaapan kya ghar jungal ho jaaye - 2 Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye Tu aaye to pankh lagaakar ud jaati hai shaam - 2 ud jaati hai shaam Milon lanmbi raat simatakar pal do pal ho jaaye - 2 Shaayar tumako palbhar soche aur ghazal ho jaaye Zulf ghata bankar leharaaye aankh kawal ho jaaye - 2
Back to Film List

About HUMNASHIN Songs and Lyrics

Explore the HUMNASHIN soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for HUMNASHIN.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics