FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SHARARAT

Read available SHARARAT lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Ajab Hai Dastan Teri Ay

Singer: MOHD RAFI

Lyrics of Ajab Hai Dastan Teri Ay

Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindag Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi Kabhi Hasa Diya Rula Diya Kabhi Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi Tum Aayi Maa Ki Mamta Liye To Muskuraye Hum Ke Jaise Phirse Apne Bachpan Mein Laut Aaye Hum Tumhare Pyaar Ke Isi Aanchal Tale Phirse Deepak Jale Phirse Deepak Jale Dhala Andhera Jagi Raushani Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi Magar Bada Hi Sangdil Hai Yeh Malik Tera Jahan Yahan Maa-Beton Pe Bhi Log Uthate Hai Ungliyan Kali Woh Pyaar Ki Sulagte Reh Gayi Har Taraf Aag Thi Har Taraf Aag Thi Hasane Aayi Thi Rulakar Chali Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi Kabhi Hasa Diya Rula Diya Kabhi Ajab Hai Daastan Teri Aye Zindagi

Dil Ne Pyar Kiya

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Dil Ne Pyar Kiya

Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se Pachtaarahen Hein... Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha.. Tum Pe Waara Tha., Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se... Kal Tum Ne Jo Hamse Waade Kiye The, Kahan Hai Kahan Hai Kahan Hai.. Voh Waade.., Kal Tumne Jo Hamse Khayin Thi Kasame, Kahan Hai Kahan Hai Kahan Hai.. Voh Kasame.., Na Itaraayi Yeh Na Muskaayi Yeh, Sharmaayiye.. Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha.. Tum Pe Waara Tha., Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se... Ay Jaan-e-jaan Tum Ko Pooja Hai Ham Ne.., Zara Yaad Kijye Voh Raaten Suhaani, Humraaz Thi Tum Meri Zindagi Ki, Magar Aaj Badali Huyi Hai Kahani, Yeh Kya Hogaya, Yeh Kyon Hogaya, Samaj Na Saka.. Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha.. Tum Pe Waara Tha., Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se... Ay Gulbadan Sabse Mumtaaz Thi Tum, Mahal Pyar Kaa Ik Banaya Tha Maine.., Yeh Kiski Nazar Se Jala Aashiyaana, Bade Naaz Se Ghar Sajaayatha Maine, Luti Zindagi, Miti Bandagi.. Mili Bekasi.. Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha.. Tum Pe Waara Tha., Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se... Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se, Pachtaarahen Hein... Dil Hamara Tha, Humne Haara Tha.. Tum Pe Waara Tha., Dil Ne Pyar Kiya Hai Ek Bewafa Se...

Ek Ladki Mujhe

Singer: SONU NIGAM AND ALKA YAGNIK

Lyrics of Ek Ladki Mujhe

--MALE- Ek ladki mujhe chaahti hai magar - 2 Bolti kuch nahin, main kya karoon --FEMALE-- Ek ladka mujhe dekhta hai magar - 2 Bolta kuch nahin, main kya karoon --MALE-- Meri tamanna usko pataa hai Anjaan hai voh sab jaankar Usne to meri duniya badal di Uski mohabbat mein hai asar Uske binaa ab tanhaa lage hai Mujhko meri zindagi --FEMALE-- Aisa lagta hai kyoon, vaisa lagta hai kyoon - 2 --MALE-- Aisa lagne lagaa, main kya karoon --FEMALE-- Mehsoos har pal karti hoon usko Voh dhadkanon ka ehsaas hai Dil keh raha hai usko bataa doon Voh meri saanson ki pyaas hai Bas jaaoongi main uski nazar mein Doongi usse har khushi --MALE-- Keh rahi bekhudi, kab milegi khushi - 2 --FEMALE-- Sharm aaye mujhe, main kya karoon --MALE-- Ek ladki mujhe --FEMALE-- Ek ladka mujhe --BOTH-- Mmm hmm hmm hmm hmm hmm Hum kya kare

Kuch tum kaho, kuch hum kahe

Singer: SONU NIGAM

Lyrics of Kuch tum kaho, kuch hum kahe

(Kuch tum kaho, kuch hum kah Phir ho shuru yeh daastaan) - 2 Yeh to kahaani hai apne pyaar ki Betaab dhadkan ke ikraar ki Dil mein hai kya, tum jaan lo Jo hum kahe maan lo Jaan lo, maan lo, jaan lo Kuch tum kaho, kuch hum kahe Hosh hai kahin na qaraar hai Dard hai ajab sa khumaar hai O, kya kare, deewanon sa haal hai Har ghadi tumhaara khayaal hai Neend bhi aaye na raat bhar Dhoondhti tumhe har ghadi nazar Tumko nahin shaayad iski hai khabar Chaahega na koi tumko is kadar Dil mein hai kya, tum jaan lo Jo hum kahe maan lo Jaan lo, maan lo, jaan lo Kuch tum kaho, kuch hum kahe Hum teri baahon mein so gaye Chain ke panaahon mein kho gaye O, ek haseen suhaani se shaam de Aa tujhe mohabbat ka naam de Hum sabhi rasmon ko tod de Tum kaho to duniya bhi chhod de Hoke judaa ek pal na reh paayenge Royenge, tadpenge, hum mar jaayenge Dil mein hai kya, tum jaan lo Jo hum kahe maan lo Jaan lo, maan lo, jaan lo - 2 Kuch tum kaho, kuch hum kahe Phir ho shuru yeh daastaan

Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai

Singer: HARIHARAN, ARVINDER SINGH

Lyrics of Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai

Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akel Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela Humko Aisa Laga Jab Hame Tu Mila Surmiye Raat Mein Chand Jaise Kila Tere Charon Taraf Hai Laga Sitaron Ka Yeh Mela Sitaron Ka Yeh Mela Bhola Hai Sada Hai Tu Koyi Shehzaada Hai Hum Tujhko Chahenge Apna To Yeh Vaada Hai Gham Ho Chhaye Khushi Keh Rahi Zindagi Tujh Pe Qurbaan Hai Apni Jaan Deewane Muskura De Deewane Muskura De Deewane Muskura De Aankhon Mein Sapne Hai Anjani Yeh Raatein Hai Tum Se Woh Kehni Hai Is Dil Mein Jo Baaten Hai Tu Shararat Kare Hum Se Jagda Kare Phir Bhi Hum To Tujhe Apna Maane Yeh Raaz Tune Jaane Yeh Raaz Tune Jaane Yeh Raaz Tune Jaane Lambhi Umr Ki Hum Tujko Duaen De Chume Tera Maatha Teri Balaye Le Mamta Ke Aanchal Mein Tujhko Sulaye Gaye Tujhse To Hai Koyi Naata Lage Tu Hame Pyaara Tu Sab Se Hai Nyaara Hamara Tu Sahara Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela Mastana Albela Sirf Ek Tu Hai Laakhon Mein Akela Humko Aisa Laga Jab Hame Tu Mila Surmiye Raat Mein Chand Jaise Kila Tere Charon Taraf Hai Laga Sitaron Ka Yeh Mela Sitaron Ka Yeh Mela Sitaron Ka Yeh Mela

Mehki Hawaaon Mein

Singer: SONU NIGAM AND K.K.

Lyrics of Mehki Hawaaon Mein

--MALE 1- Hmm hmm, mm mm eh hey, ay ra di de, re re (Hey mehki hawaaon mein chaaron dishaaon mein Nikla main aazaad hoke Manzil meri jaane kahan hai Mujhko nahin hai pataa) - 2 Dil kahe jhoom loon, aasmaan choom loon - 2 Beete din tanhaai ke Masti ke pal aaye hai Yaaron is deewane ki Khushiyaan vaapas laaye hai Mujhko un veeraanon mein Lautke jaana nahin --MALE 2-- Hmm, tera unse bhalaa ab hai kya vaastaa Jo mili har khushi, dard hai kis baat ka --MALE 1-- Bekhabar ho gaya, main kahan kho gaya - 2 Hum to aise panchhi jo pinjre se ud jaate hain Karte apni marzi ki Haath kisi ke na aate hai Humko saare zamaane ka Dard aur gham bhool jaana hai --MALE 2-- Hmm, khoshishe teri saari ho jaayengi na kaam Chain se na kategi teri subh-o-shaam Yaad unki jab aayegi to rulaayega dil Ab kabhi na main bhool paayega dil

Na Kisi Ki Aankh Ka

Singer: TALAT AZIZ

Lyrics of Na Kisi Ki Aankh Ka

Na kisi ki aankh ka noor hoon - Na kisi ke dil ka qaraar hoon Jo kisi ke kaam na aa sake Main voh ek musht-e-ghobaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Mera rang roop bigad gaya Mera yaar mujhse bichhad gaya Jo chaman fizaa mein ujad gaya Main ussi ki fasle bahaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Na kisi ke dil ka qaraar hoon Main kahan rahoon, main kahan basoon Na yeh mujhse khush, na voh mujhse khush Main zameen ki peeth ka boj hoon Main falak ke dil ka ghobaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Paye faateha koi aaye kyoon Koi chaar phool chadaaye kyoon Koi aake shamma jalaaye kyoon - 2 Main voh bekasi ka mazaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Na kisi ke dil ka qaraar hoon Jo kisi ke kaam na aa sake Main voh ek musht-e-ghobaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Singer: TALAT AZIZ

Lyrics of Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoo Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Mera Rang Roop Bigad Gaya Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Yeh Main Kahan

Singer: SONU NIGAM

Lyrics of Yeh Main Kahan

--MALE 1- (Yeh main kahan aake phas gaya Na josh hai, nahin shor hai) - 2 Do hi ghadi mein ghabra gaya Yahan zindagi badi bore hai Aaye nazar na koi raasta Kinse padaa hai mera vaasta Samajh mein kuch bhi aaye na Main kya karoon bhalaa Yeh main kahan aake phas gaya Na josh hai, nahin shor hai Koi jaane na, yaaron ke binaa Khoya khoya sa main rahoon Yaad aa rahe beete din mujhe Kaise yeh ghutan main sahoon Dekho to gaur se achha sa jhel hai Tum saare rehte jahan Na koi khwaab hai, na koi rang hai Na koi hai daastaan Neend se jaago, saath mere bhaago Mushkil hai jeena yahan --MALE 2-- Poocho zara hai kaisi zindagi Jaise jeeyo hai vaisi zindagi Jahan hai gham vahin khushi Yeh socho to zara --MALE 1-- Yeh main kahan aake phas gaya Na josh hai, nahin shor hai --MALE 2-- Nafratein yahan rukti hi nahin Is duniya mein pyaar hai Begaana hai yahan koi bhi nahin Aisa yeh parivaar hai Dharti ki gaud mein yeh apna swarg hai Hanske yahan rehte hain hum Hai unche hausle umeedein bhi hai jawaan Humko na yahan koi gham Naadaan hai, baccha hai Akal ka tu kachcha hai Tujhko nahin kuch bhi pataa --MALE 1-- Buddhe ped ho, kuch na paaoge Jhukoge na jo tum, to toot jaaoge Na zid karo re maan lo Yeh kehna tum mera --MALE 2-- Aati jaati hain mushkilein badi Haar hum kabhi maante nahin Jaan jaaoge, maan jaaoge Tum abhi hamein jaante nahin Yeh bataayenge beta kal tujhe Buddhe ped hi denge phal tujhe Buzurgon ki jo na sune Voh roye baad mein --MALE 1-- Yeh main kahan aake phas gaya Na josh hai, nahin shor hai
Back to Film List

About SHARARAT Songs and Lyrics

Explore the SHARARAT soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SHARARAT.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics