FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SHART

Read available SHART lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aye Mere Chaman Main Hu Woh Kali

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Aye Mere Chaman Main Hu Woh Kali

aur kaha hu yeh na tu jaan sak meri aawaz se pehchaan jo pehchaan sake aye mere chaman main hu woh kali - 2 jo khiza mein tujhse bichhad gayi kisi badnaseeb ki baat hu - 2 jo bani toh banke bighad gayi aye mere chaman main hu woh kali (meri hasraton ne garoor se tujhe aaj dekha jo durr se) - 2 hain kasam teri meri jaan mein - 2 nayi ek jaan si padd gayi aye mere chaman main hu woh kali (zara dekh le mujhe ek nazar tujhe kya khabar mere bekhabar) - 2 meri zindagi ki bahaar to - 2 teri aarzoo mein yu ujadd gayi aye mere chaman main hu woh kali jo khiza mein tujhse bichhad gayi kisi badnaseeb ki baat hu jo bani toh banke bighad gayi aye mere chaman main hu woh kali

Chaand Ghatne Laga

Singer: GEETA, CHORUS

Lyrics of Chaand Ghatne Laga

(chaand ghatne laga raat dhalne lag aarzoo mere dil ki machalne lagi) - 2 meri neendiya se bojhal yeh ankhiyan kahe paas baithon zara kutch kahe kutch suney thandi thandi hawa ab toh chalne lagi aarzoo mere dil ki machalne lagi chaand ghatne laga raat dhalne lagi aarzoo mere dil ki machalne lagi raat jaati hai jholi mein taarein liye raah takte hai par ham tumhare liye soyi soyi kali aankh malne lagi aarzoo mere dil ki machalne lagi chaand ghatne laga raat dhalne lagi aarzoo mere dil ki machalne lagi deeptaro ke bujhane se pehle sanam aaj kehna hai jo kutch bhi keh le sanam aag sulgi hui dekh jalne lagi aarzoo mere dil ki machalne lagi (chaand ghatne laga raat dhalne lagi aarzoo mere dil ki machalne lagi) - 3

Chala Kaafila Pyar Ka

Singer: ASHA BHOSLE, CHORUS

Lyrics of Chala Kaafila Pyar Ka

pairon ko is tarah na arey baar baar dek pehlu mein tere bhi hain koi bekaraar dekh (chala kaafila pyar ka - 2 kehle dil ki baat hamara saath fakat ek raat ka) - 2 chala kaafila pyar ka (chupkese chhed de tu baat koi pyar ki laut ke naa ayegi raat yeh bahaar ki) - 2 haath mein le le haath hamara saath fakat ek raat ka chala kaafila pyar ka - 2 kehle dil ki baat hamara saath fakat ek raat ka chala kaafila pyar ka (puchhenge tumse jo kal yeh sitaarein kaha hain musafir woh saathi tumhare) - 2 phir dil mein chhubhegi baat hamara saath fakat ek raat ka chala kaafila pyar ka - 2 kehle dil ki baat hamara saath fakat ek raat ka chala kaafila pyar ka (zara pyar kar le bichhad ne se pehle yeh rangeen mehfil ujadne se pehle) - 2 hai dam bhar ki yeh baat hamara saath fakat ek raat ka chala kaafila pyar ka - 2 kehle dil ki baat hamara saath fakat ek raat ka chala kaafila pyar ka

Dekho Woh Chand Chupke

Singer: LATA MANGESHKAR, HEMANT KUMAR

Lyrics of Dekho Woh Chand Chupke

dekho wo chaand chhupake karataa hain kyaa ishaar shaayad ye kah rahaa hai, hum ho gaye tumhaare ulafat kaa aaj hum ne, ikaraar kar liyaa hai lekin ye kaun jaane, kismat mein kyaa likhaa hai manjil ko chal pade hai, takadeer ke sahaare ayesaa naa ho ke hum ko, raste mein chhod jaao jaa kar kahee kisee kee, duniyaan nayee basaao majadhaar mein rahe hum lag jaao tum kinaare dil mein siwaa tumhaare, koee naheen humaare ye apane dil se poochho, kyaa dil mein hain tumhaare denge meree gawaahee, kudarat ke ye najaare

Dil Mera Hain Deewana

Singer: ASHA BHOSLE

Lyrics of Dil Mera Hain Deewana

(dil mera hain deewana deewana mohabbat ka ek shama ka parwana parwana mohabbat ka) - 2 hai hai hai (ruut yeh suhaani pyara zamana duniya ke gam se dil hai begana) - 2 hothon pe hai afasana - 2 afasana mohabbat ka dil mera hain deewana deewana mohabbat ka ek shama ka parwana parwana mohabbat ka hai hai hai (bhoola musafir behki nigaahein khoj rahi hai pyar ki raahein) - 2 aankhon mein hai mehkhana - 2 mehkhana mohabbat ka dil mera hain deewana deewana mohabbat ka ek shama ka parwana parwana mohabbat ka

Jaana Na Chod ke

Singer: ASHA BHOSLE, CHORUS

Lyrics of Jaana Na Chod ke

ho o o o na na na na na na na - (jaana na chhod ke dil mera tod ke sajan na na na na na na hamko toh pyari laagi tumhari lagan na na na na na na ) - 2 (raat singaar ki nahi takraar ki pyar ki pyar ki re boi koi reet se piya mann preet se jeet le jeet le re) - 2 (haathon mein haath le saajan ke saath chal ulfat ke raahi tujhe durr hain jaana) - 2 bhool kabhi jana na dil mera dukhana na - 2 laagi hain dil ko gori teri lagan na na na na na na jaana na chhod ke dil mera tod ke sajan na na na na na na hamko toh pyari laagi tumhari lagan na na na na na na (gori mori kho gayi dusre ki ho gayi milna milana gori chhod na dena) - 2 saath kabhi chhute na prem kabhi tuute na - 2 suna ho jaaye nahi dil ka chaman na na na na na na na jaana na chhod ke dil mera tod ke sajan na na na na na na hamko toh pyari laagi tumhari lagan na na na na na na (raste mein pyar ke kaaten bichhe hai daaman bachana gori laaj bachana) - 2 raah bhuul jaana na chot kabhi khana na - 2 chalna bachake jaa najuk badan na na na na na na na jaana na chhod ke dil mera tod ke sajan na na na na na na (hamko toh pyari laagi tumhari lagan na na na na na na) - 2

Mere Hamsafar

Singer: ASHA BHOSLE

Lyrics of Mere Hamsafar

shaam aayi hai mohabbat ki kahani leke chaand nikla hai tamanna ki jawani leke din nikalte hi mujhe durr kahi jaana aakhri raat ki aakhon mein nishani leke (mere hamsafar tujhe kya khabar hai chala kidhar mera karwaa) - 2 jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan hai chala kidhar mera karwaa mere hamsafar meri zindagi toh hai raat bhar koi baat sun koi baat kar - 2 meri maut mujhko bula rahi jara chhed de koi dastaan mere hamsafar zara aur bhi mere paas aa mujhe dekh dekh ke muskura - 2 ghadi do ghadi ki yeh phursati hai likhi naseeb mein phir kaha jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan hai chala kidhar mera karwaa mere hamsafar

Mere Taqdeer Ke Maalik

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Mere Taqdeer Ke Maalik

kaha pe leke aai hai kaha majbooriyan mer zubaan khamosh aankhein keh rahi hai dastaan meri meri taqdeer ke maalik mera kutch faisla kar de bura chahe bura kar de bhala chahe bhala kar de meri taqdeer ke maalik mujhe itna bata de main kaha jaaun kidhar jaaun kahi jaane se achha hai tere kadmon mein marr jaaun sahara de nahi sakta toh phir beaasara kar de meri taqdeer ke maalik nahi duniya mein mera dusra koi thikana hain mujhe toh bas yahi apna muqaddar azamana hain liya hain dil toh meri jaan bhi tann se juda kar de meri taqdeer ke maalik mujhe barbaad karne mein jo hota ho bhala tera bujha de apne haathon se charaage zindagi mera nahi koi gila tujhse agar chahe fanaah kar de meri taqdeer ke maalik

Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Luta Ho

Singer: HEMANT KUMAR

Lyrics of Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Luta Ho

mohabbat mein meri tarah jo luta h mere saath woh bhi gale mil ke ro le mohabbat mein meri tarah dukhe dil toh meri tarah chhup rahe woh kisise kabhi haaledil na kahe woh kaleje ka yeh daag ashkon se dho le mere saath woh bhi gale mil ke ro le mohabbat mein meri tarah jo luta ho mere saath woh bhi gale mil ke ro le mohabbat mein meri tarah

Na ye chaand hoga

Singer: HEMANT KUMAR

Lyrics of Na ye chaand hoga

Aa Na ye chaand hoga, na taare rahenge Magar ham hamesha, tumhaare rahenge Na ye chaand hoga� Bichhadkar chale jaaye tumse kahi To ye na samajhna mohabbat nahi Jaha bhi rahe ham tumhaare rahenge Na ye chaand hoga� Zamaana agar kuchh kahega to kya Magar tum na kehna hamein bewafa Tumhaare liye hain tumhaare rahenge Na ye chaand hoga�

Piya Main Toh Hui

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Piya Main Toh Hui

piya main toh hui baanwri - aankhiyaan tori hain jaadubhari piya main toh hui baanwri - 2 main toh hui re baanwri hui re - 2 more naram karejwa mein chubh gayi sui re haai hui re baanwri hui re bhaai mann ko surat teri saawri re saawri main toh hui baanwri baanwri baanwri baanwri piya main toh hui baanwri - 2 (dil ki lagi mori jaane na tumne tadpe re mora jiya) - 2 (laaj ki maari main kutch na boli aankhon ne sab keh diya) - 2 teri bholi adaa pe piya main mari re main mari main toh hui baanwri baanwri baanwri baanwri piya main toh hui baanwri - 2 rutt aayi re pyar ki aayi re - 2 chahu or jawani chhayi re chhayi re rutt aayi re pyar ki aayi re more mann mein bahe hai mithhi baansuri re baansuri main toh hui baanwri baanwri baanwri baanwri piya main toh hui baanwri - 2 aankhiyaan tori hain jaadubhari piya main toh hui baanwri - 2
Back to Film List

About SHART Songs and Lyrics

Explore the SHART soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SHART.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics